Chapter 2

177 16 36
                                    

"Tum mera peecha karte karte yahan tak agaye ho?" Mirha fiercely asked.

"Mujhe kisi pagal kuttay ne nahi kata ke mai tum jesi larki ko follow karta phiroon," Zain responded fiercely too.

"MUJH JESI? Mujh jesi se kiya matlab hai tumhara?"

"Mirha, just leave him yaar, class ka time honay wala hai," Zoha put her hand on her shoulder and tried to calm her down.

"Subha ka aghaaz hi itna bura hua hai is stalker ki waja se," Mirha muttered to herself but Zain could hear it.

"Excuse me, tum konsi malka Pukhraaj ho jo mai tumhain stalk karta phiroon ga?"

"Zain, chor de yaar janay day," Saad tried to calm him done but it was of no use.

"Mai kiya karoon? Ye larki hi mera peecha nahi chorti."

"Oh hello, tumhe kya lagta hai mera paas bohat free ka time hai jo tum pe zaya karti phiroongi?"

"Allah janay, kya pata ho bhi, warna aise to baar baar ittefaqaat to nahi hotay na."

Saad and Zoha moved to a side, hands on their foreheads as an indication that they were tired of Zain and Mirha's quarrels.

"Tum ja ke apne dost ko qaboo kiun nahi kartay?" Zoha asked Saad.

"Ye mamla aise nahi sambhalne wala, ab Zain ko sirf Allah hi rok sakta hai... tum jaake apni dost ko kiun nahi rokti?" Saad replied.

"Jitnay woh ghussay mai hai is waqt to meri bhi nahi sunay gi."

"Chalo phir milkay dua karte hain kisi professor se inki aj izzat afzai hojaye."

Zoha immediately turned and looked at him upon hearing what he just said,

"Kese dost ho tum, pehlay din hi apnay dost ki repo kharaab karwanay ki duain kar rahay ho."

"To phir larnay do, khudi ruk jayenge warna in ka koi end nahi hai."

"Ye tum dono kya git mit kar rahay ho?" Farwa asked, as she came near to them.

"Ijtamayi dua kar rahay hain ke ye jhagra jald apne ikhtetaam ko pohanch jaye, ap bhi hamaray saath dua karain," Saad answered.

"Bajaye ye larayi rukwanay ke tum dono yahan kharay tamasha dekh rahay ho."

"Meri behan, abhi mai us khoonkhuwar jaanwar ke qareeb bhi gaya na to woh mujh ghareeb ko daboch le ga, meray tukray cheel kawwon ke agay phenk de ga or mai abhi bhari jawani mai marna nahi chahta."

"Aisa darpok mard maine pehle kabhi zindagi mai kiun nahi dekha," Farwa muttered but Saad could hear her.

"Ye to apki ghalti apko pehle dekh lena chahye tha, baharhaal koi nahi ye aizaaz mujhe haasil hua hai tou I am proud of it."

"Taubaa-"

"Achaaaaa busssss, ab tum dono na larne beth jana pehle hi woh dono kam hain," Zoha finally spoke after getting exhausted from another about to start banter.

"Zoi tumhe pata hai meri nature nahi hai larne-"

"Fari, mai keh rahi hoon na bus to bus, abhi ye socho un do paglon ko kese chup karwana hai."

"Ruko let me think," Saad suggested.

Meanwhile, Mirha and Zain were having a non-stop quarrel which was nowhere near to ending soon.

"Tumhare mai aise konsay surkhaab ke par lagay hue hain jo mai tum jesay vailay, nikammay shakhs ko thori si bhi importance doon gi."

"Mai kisi churail ki importance chahta bhi nahi hoon lekin kya karain tum jesi churailain peecha bhi to nahi chortin," Zain replied in a dramatic way.

Acing Love: Rivals Unite?Where stories live. Discover now