Chapter 8

184 19 24
                                    

Two hours before Mirha's arrival, Zain paced back and forth in his room, his mind consumed by thoughts of Zoha's revelation about Mirha. A strange sensation of unease and restlessness prevented him from breathing peacefully. This feeling had plagued him since that day, but Saad had always been there to console him, assuring him that they would find a solution. However, today, it felt like the end of the road for him. He needed to talk to her, to resolve things calmly.

After much deliberation, he retrieved his phone from his pocket and dialed Saad's number

"Haan bol Zain"

"Saadi koi jugaar laga sakta hai Mirha or meri baat karwane ka?"

He questioned, tensed.

"Yaar at least uni to-"

"Saadi please uni ke chakkar mai rahay ga to menay zaroor apne murdon ke paas pohanch jana hai"

"Zain jazbaati honay ki zaroo-"

"Tu bata koi solution de raha hai yan mai khud kuch karoon?"

"Acha acha ruk sochne de mujhe, khud kuch karega to is baar to tu seedha Firon ke paas pohancha diya jaye ga"

He didn't say anything further, and silence filled the room. Saad was lost in thought, while Zain continued pacing back and forth. After a couple of minutes, Saad broke the silence once more.

"Zain"

"Haan?"

"Tu kisi tarah Mahi se keh ke usay ghar bula le"

"Woh nahi aye gi, saal hogaya hai, woh pehli or akhri dafa aie thi uske baad kabhi nahi"

"Yaar tu koshish to kar"

"Us say kiya hoga?"

"Dekh agar tu usay ghar bula leta hai to sharafat yani tameez yani pure tameez yani jangli hue beghair yani-"

"Yani yani karna band kar or agay bak"

"Mai sirf chahta hoon tu us say tameez se bol ke tu us say baat karna chahta, according to you, you love her to thora sa pyaar lehjay mai utaar kar bolin ke tu us se baat karna chahta hai"

"Woh nahi manegi uska bas nahi karta ke woh mujhe goli marday"

"Jesi teri harkat thi us hisaab se ab tak mardeni chahye thi lekin tu zinda hai badqismati se"

"Tu kitna khabees hogaya hai, tu zyada over hua na maine tera scene chalne se pehle hi close kardena hai"

"Poori duniya ki lanat teri gandi boothi pe"

"Agay bak"

"Abay usko mai manaloon ga, tu bus kuch is tarah kar ke woh tere ghar ajaye lekin baat ghar pe na karin"

"Phir ghar kiyun bulaoun, seedha bahir hi kahin-"

"Ghaday tere paas aqal nahi hai? Bahir kesay bulaye ga? Or agar Mahi se keh ke bulawaye ga to Mahi ki maujoodgi mai us se khul ke baat kar sakay ga"

"Point to be noted"

"Hmmm....baki mai sambhaal loon ga lekin remember, tameez se baat karega to woh sunay gi mai usko jitna janta hoon mujhe pata hai woh dil ki buri nahi, koi us se tameez se baat karega to woh jawab bhi tameez se degi or haan, uske abba mai uski jaan basti hai us din tu ne jo harkat ki thi woh usay apnay se zyada apne abba ki waja se buri lagi thi to remember usse sahi apologise karin"

Acing Love: Rivals Unite?Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ