Chapter 4

160 17 109
                                    

"Ap dono aik doosray ko jantay hain?" Marukh asked curiously.

"Hmmm jantay hain balke bohat achi tarah se jantay hain" Mirha replied, gritting her teeth.

"Wait a minute......bhai, kahin ye wohi to nahi hain jinhon ne apko kan khajoora kaha tha?"

"Tumhay ye zaroor bolna tha?"

"Iske ilawa agar kuch or bolti to woh isse zyada badtar tha or mai apne bhai ki beizzati bardasht nahi karsakti"

Mirha bit her cheek to stifle her laughter.

"Tum ghar chalo lagwata hoon class tumhari mama se ke apki beti ko kisi ke samne baat karne ki tameez nahi hai"

"Haan bus ye yehi chahta ke iski shan mai koi gustakhi na karay kiun ke ye sirf isi ko allowed hai"

"Tum beech mai mat bolo ye meri or meri behan ka maamla hai" Zain said sternly.

"Kiun na bolay? dost hai woh meri, Mirha inki fiqar nahi karo, ye awaen bharkain martay hain sunta inki koi bhi nahi hai" Mahrukh added, fueling the fire.

"Haan andaza hogaya hai mujhe"

"Tum mera peecha kartay kartay yahan tak pohanch gayi, or ab yahan meri behan ko apni side karliya hai, bari shaatir mind ho tum"

"Excuse me,mai tumhari tarah stalker nahi hoon tum mai aisa hai hi kiya siwaye iske ke tumhari zabaan qainchi ki tarah chalti hai"

"Is baat se to mai sou feesad agree karti hoon, inki zabaan waqayi bohat tez hai-"

"Tum kuch zyada fasadi nahi ban rahi aj?" Zain furiously questioned Mahrukh.

"Who's talking about Fasad jo khud chalti phirti machis ki teeli hai" Mirha retorted, her tone sharp.

"Mirha ap yahan?" Saad interjected, holding cold drinks in his hand.

"To ap bhi yahan hain"

"Jee, jahan Zain wahan mai, ap yahan kese?"

"Baba ke saath aie hoon"

"Aik ye bhi shaitan ki tarah chipka rehta hai" Zain muttered under his breath.

"Kuch bola tu nay?" Saad inquired.

"Nahi kuch nahi"

"Mera khayaal hai hum sub ko yahan se chalna chahye isse pehle ke ye shakhs deewaron se bhi larna shuroo karde" Mirha suggested, her tone tinged with sarcasm.

"Khuda ka wasta hai chali jao or kabhi mere samne na ana, achay bhalay mood ka-"

"Busssss, tum log yahan per bhi larna shuroo hogaye" Saad intervened, trying to diffuse the situation.

"Mirha tum meray saath chalo, bhai ka kiya hai, inhain bachpan se hi maliya kholiya hai"

Mahrukh remarked, prompting laughter from Mirha and Saad.

"Tum ghar chalo zara" Zain threatened her.

"TUM GHAR CHALO" Mahrukh imitated him.

"Chalo Mirha"

Mahrukh held her arm and left with her.

"Aa pooch ke atay hain uncle se ye yahan kese" Said said.

"Isliye kehta hoon kaan saaf karliya kar, behray! bata kar to gayi hai apne abbu ke saath aie hai"

"Aqal ke andhay, yehi poochna hai ke iska father or teray abba jee ka kiya connection hai"

Acing Love: Rivals Unite?Where stories live. Discover now