97. KEERTI'S FIRST DAY IN BOUTIQUE

795 50 31
                                    


Naksh was driving.
K- naksh main kar lungi na
N- bahut ache se.

K- ap sath honge toh main kuch bhi kar Sakti hun.
N- main toh hamesha hi apke sath hun. Har kadam pe.

K- main bhi
N- is liye toh Maine apka boutique Krishna ke bilkul samne hi Liya hai. Main jab chahu  apke pas aa sakta hun.

K- oh...toh is liye.
N- ha.. aur main apki help bhi kar sakunga na.

K- bas bas. Jaldi chaliye. Pehle din hi main late nahi hona chahti.
He drives to the boutique.

They both were standing at the door of the boutique.
N- all the best.
K- thank you naksh.

They both enter the boutique.
All the employees there wish them good morning.

Naksh takes her to her cabin.
K- naksh ye kitna acha design kiya hai
N- bilkul apki choice se hua hai. Apko pasand Aya na

K-bahut.
N- ab ap man lagake apna kaam kijiye.
K- aur ap bhi Krishna mein jaiye.

N- jaunga. Lekin kuch der mein
K- nahi. Main mera kaam karungi aur ap apna.

N- Lekin mujhe apke sath Rehna hai
K- ap toh hamesha mere saath Hain. Aur vaise bhi hum kaunse door rehte hain. Samne hi toh hai dono ke office.

N- thik hai. Par apko kuch bhi chahiye toh ap mujhe call karengi.
K- pakka. Ab ap jaiye.

He kissed on her forehead.
N- bye.
K- bye.
Keerti sat on the chair.

She called the employees. All had their introduction.
She worked for the day.

Naksh was constantly calling her .
N- keerti kaisa chal Raha hai
K- naksh Abhi bas 4 ghante hue hain.

N- Lekin mujhe tension ho Rahi hai
K- mujhse jyada ap nervous hain
N- voh chodiye. Main apko 7 baje pick karne aa jaunga

K- ji. Hum sath chalenge.
N- ok.
K- bye. Mere ek client aye hain.

N- ok. Ache se deal kijiye. All the best
K- ok. Ok. Bye.
She has the meeting with the clients.
The meeting went longer till 7.

Naksh came in her boutique
He asked to the receptionist
N- meeting Abhi chal Rahi hai

R- yes sir. Bas khatam ho hi jayegi ab.
N- fine.
He was waiting for her in her cabin.
She had got a deal. She was very happy.

She came to her cabin and was surprised to see him.
She ran to him and hugged him tight.
N- keerti keerti....kya hua

K- naksh mujhe mera first contract mil Gaya
N- wow. First day aur first contract. Impressive Mrs.

K- Mr. Kapoor ki beti ki shaadi ka PURA wardrobe mujhe design karna hai.

N- wow. Congratulations. Ye toh Bhutan bada contract hai.
K- haa. Lekin kaam bhi bada hai.

N- koi nahi. Meri super talented wife aram se kar Legi.
K- apke vajah se ye ho paya hai.

N-ye galat hai. Ap Apne achievement ke credit mujhe kyu de Rahi hain.
K- ap...

N- bas. Ab ghar chalte hain aur sabko ye good news dete hain.
K- thanx naksh
N-chaliye ab.

They go and sit in the car.
Naksh sweet shop par car rok Dena. Hum sabke liye mithai le lenge.

N- iski koi jarurat nahi hogi.
K-kyu
N- apke first day ki Khushi mein ghar pe hi Sabine kuch na kuch Bana Liya hoga.

K- sahi keh rahe hain ap. Sab kitna support karte hain mujhe.
N- ap bhi toh itni achi hai.

Naksh was driving but he noticed a car following them

He thought ye car kabse humare piche hi hai. Aisa lag Raha hai Hume follow kar Rahi hai. Nahi naksh. Aisa kuch nahi hai. Route same hoga. Kuch bhi mat soch.

Keerti was so happy that she was lost in it.
They reached the Singhania house.
She ran in the house.

She went and hugged gayu dadi badi dadi Naitik.
Nai- kya hua beta. Itni khush.

N- papa inhe Inka pehla contract Mila hai
Everyone wish her.

Nai- very good. Aise hi tumhe bade bade contract milte rahe aur tum is boutique Ko asman tak le jao.

K- ji papa. Ye sab ap sabke support ke vajah se hua hai. Ap sab ka pyar aur support rahega toh pakka boutique Ko bahut expand karungi main aur ap sab Ko proud feel karwaungi.

Nai- phir toh pakka. Mujhe pakka Vishwas hai ki tum ye karogi. Aur naksh ko bhi piche chod degi.
N- bilkul .

K- nahi. Hum dono har kadam sath mein chalenge.
Badi dadi said jao bachon fresh ho jao. Main khana lagati hun.

K- rukiye dadi. Main bas thodi der mein ayi. Help Karti hun apki.

Precap
Keerti is followed 😨

KEESH -The story of two broken souls (Completed ✔️)Where stories live. Discover now