Chapter 19

558 61 22
                                    

Renuka was feeding Harsh. He was quite well now but still doctor told him for the bed rest.

"Harsh wo Randhir bol raha tha ke NGO ki ladkiyo ko leke picnic jayega. Aachhi baat hain na!" Renuka said when Harsh hummed only.

"Aachha hain sabko change mill jayega aur Rono ko vi. Bechara subha se shaam tak wohi par raheta hain." Renuka said expecting some reaction from Harsh but he kept quiet.

"Harsh tum kab tak Rono se naraz rahoge? Mana ke ussne galti ki hain lekin aab repent vi toh kar raha hain. Keya tum usse kabhi maaf nehi karoge?" Renuka asked slowly.

"Keya usski repent karne se Sanyukta ki aankhen wapas aah sakti hain? Keya usski rishto par biswas wapas aah jayegi? Keya usski insaniyet par biswas wapas aah jayegi? Keya usski zindegi pehele jaisi ho jayegi? Keya wo sab kuch bhula kar ek normal life phir se jee payegi? Aagar inn sab ka jawab haan hain toh phir main Randhir ko maaf kar dunga." Harsh said sternly when Renuka kept mum.

"Renuka Randhir ne koi galti nehi gunhaa kiya hain. Ek ladki ki zindegi badbaad kar diya hain. Aur main kuch nehi kar saka! Gunhaa kisne kiya aur saza kisko mill rahi hain! Zindegi bhad ke liye uss bachhi ke samne mujhe gunhegaar kar ke rakh diya." Harsh said in a gloomy voice when a lone tear escaped from his eyes.

"Sab thik ho jayega Harsh, tum dekhna. Mera dil kaheta hain Rono ka sacrifice bekar nehi jayega." Renuka said wiped his tears when Harsh hold her hand.

"Renu mere dono aankhein hote huye vi main kitna lachar mahesus kar raha hu toh phir Sanyukta ke ware mein socho. Uss bechari ke pass toh koi vi nehi hain, bilkul aakeli hain wo." Harsh said feeling helpless when Renuka hold his hand.

"Don't worry Harsh aab Rono hain usske saath, wo usse kabhi vi aakele nehi chhodega." Renuka assured him when Harsh closed his eyes. Renuka came out from their room after Harsh slept and checked the time.

"Aare aabhi tak Rono nehi aaya itna late ho geya." She was about to call him when Randhir came to the house.

"Beta aaj bahut late ho geya!" Renuka said offering him a glass of water.

"Haan mom wo doctor Palit se milne geya tha. He is the best eye surgeon in the country, unnse Sanyukta ka case discus kar raha tha." Randhir replied.

"Keya kaha doctor ne?" Renuka asked curiously.

"Mom Sanyukta ki surgery toh ho sakti hain but usske liye pehele hume ek potential donor chahiye." Randhir informed Renuka.

"Don't worry beta donor mill jayega." Renuka assured him.

"Aur aagar donor nehi mila toh phir Sanyukta ki zindegi mein humesha ke liye andhera ho jayega mom. Wo vi meri wajase, sirf aur sirf meri wajase." Randhir gulped hard when Renuka placed her hand on his shoulder.

"Nehi beta aaisa mat socho. Dekhna koi na koi jarur aayega Sanyukta ki zindegi mein usski zindegi roshon karne." Renuka assured him.

"Aachha bahut raat ho geyi hain tum fresh hoke khana kha lo pehele." Renuka said and about to go but stopped hearing Randhir's word.

"Mom what if aagar main Sanyukta se shaadi kar lu!" Randhir said nervously thus Renuka looked at him shockingly.

"Keya?" Renuka asked surprisingly.

"Haan mom aagar main Sanyukta se shaadi karu toh phir keya aapko koi aitraaj hain?" Randhir asked hesitatingly.

"Randhir tumhari wajase Sanyukta ki aankhein chali geyi keya sirf issi liye tum usse shaadi karna chahate ho?" Renuka asked curiously.

"No mom aaisi baat nehi hain." Randhir said slowly.

"Look beta I know you are regretting, aandar hi aandar tumhara guilt tumhe khaye jaa raha hain. I can see that in your eyes. Lekin uss guilt se nikalne ka yeh rasta keya sahi hoga! I mean Sanyukta ki zindegi mein roshni lane ke chakkar mein kahi tumhari zindegi aandhera na ho jaye!" Renuka said worriedly.

"Mom aap aaisa kyu soch rahi hain! Aaisa vi toh ho sakta hain ke Sanyukta ki mere zindegi mein aane se meri zindegi roshon ho jaye." Randhir replied.

"Matlab!" Renuka asked confusingly.

"Mom wo....I-I love Sanyukta." Randhir said slowly yet little shyly when Renuka became shocked.

"Mom aab aap please vamp mat baniyega. Please." Randhir pleaded don't get any response from Renuka when she rolled her eyes.

"Aabhi biwi ghar mein vi nehi aayi aur aabhi se main vamp baan geyi!" Renuka said sternly thus Randhir's face fall.

"No mom aaisi baat nehi hain!" Randhir stammered a little when Renuka smiled.

"Okay aane do Sanyukta ko iss ghar mein vamp kaisi hoti hain main vi batayungi!" Renuka said teasingly and Randhir hugged her next.

"That means aapko koi problem nehi hain mom?" He asked happily.

"Aare mere bete ko pyar ho geya hain toh phir main bich mein vamp kaise bann sakti hu!" Renuka said playfully thus Randhir smiled brightly but his smile vanished next.

"But mom dad?" Randhir asked breaking the hug.

"Harsh ka chinta tum mat karo, main unnhe raazi kar lunga but what about Sanyukta? Keya wo raazi hogi?" Renuka asked thus Randhir's smile got vanished again as he doesn't think about it.

"I don't know mom. Meri wajase usski dosti par se biswas uth geya hain pyar par biswas kaise karegi!" Randhir sighed helplessly.

"Don't lose hope beta, jab Sanyukta ko pata chalega ke tum puri tarhase badal chuke ho usse na sirf dosti par walke tumhare pyar par vi biswas ho jayega." Renuka assured Randhir thus he hugged her again.

"Saach mom? Sanyukta mujhe maaf kar degi na?" Randhir asked hopefully with moist eyes.

"Mark my word Rono Sanyukta tumhe maaf vi karegi aur tumhare pyar ko vi aapnayegi. Tum dekh lena." Renuka said determinedly thus Randhir smiled in satisfaction.

"Aab chalo khana kha lo phir mujhe bahut saari conspiracy vi sochni hain." Renuka said thus Randhir looked at her confusingly.

"Conspiracy mom!" He was confused.

"Haan wo daily soap mein vamp saas conspiracy karti hain na aapne bahu ki against toh phir mujhe vi karni padegi na aab!" Renuka said playfully thus Randhir felt embarrassed.

"Keya mom aap vi!" He said shyly and left from there when Renuka smiled softly.

"I wish Sanyukta mann jaye toh phir sab kuch thik ho jayega." And she sighed helplessly.

* * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * * *

So friends how was the part? Do you like it or not?

Keep commenting, sharing your views, keep voting.

Wishing you all a very Happy Ramadan. ❤❤

Love you all. 😍 😘

#Bandita 🌹🌹

Ray of Hope Where stories live. Discover now