Dil ki baat

1.5K 169 16
                                    

Sameer was totally confused, lost, irritated and hell tired due to the happenings... no one is there with whom he can ask whatever has happened is correct or has he done anything wrong...

Sameer : Yaar voh girane wali this, ab bachata nahin to usse chot lag jaati..

Inner soul : Bachane ka to bahana he.. tu to subah se usse gale lagane ka soch raha tha.. ab bahane banata hai.. jhutha kahin ka

Sameer : Haan to sirf socha hi to tha... jabardasti toh gale lagane nahin chala gaya tha na usako

Inner soul: par mauka milate hi toot pada na uspar... bechari kitna darr gayi thi aur tu aankhen phaad phaad kar usse aise dekh raha tha jaise khaa hi jayega...

Sameer : ab yaar, itane paas se aaj pehli baar usse dekha tha... hosh kho gaye toh me kya karun... aur usaki aankhen, uskaa chehra ... kitni khamoshi si he uname...kitni gehrai he.. lagta he doob hi jaaunga... aur usake hoth..

Inner soul : Dekha.. maine kaha na tere man mein hi chor he.. kya kya soch raha hai usake baare mein.. sharam kar.. sharam

Sameer : sharam? sharam kis baat ki... haq hai mera uspar... maine aaj tak kabhi buri niyat se kisi ladki ki taraf dekha tak nahin... par usse dekhata hun to voh apni si lagti hai (dreamingly) man karta hai bas dekhta hi rahun... hamesha hamesha ke liye... bas voh aur mein....

Nanu went straight to his room after knowing his grandson's restlessness from Ramdhari... Seeing Sameer so much confused and talking to himself, Nanu came to him and jerker him hard.. "Sameer kya ho gaya he tujhe... kab se apane aap se hi baatein kar raha he.. tu theek to hein na..tera match kaisa raha...."

Sameer back to normal : Nanu, achchha hua aap aa gaye, mein aapko hi Kiss... nahin nahin matlab Missssss kar raha tha (in mind.. paagal kya kya bole ja raha he... control kar varna lene ke dene pad jayenge)

Nanu pretending he didn't hear : Kya... kya kaha tune.. tu kya kar raha tha

Sameer : Arey baba, aapko yaad kar raha tha aur kya... aap bhi na Nanu... Achchha yeh sab chhodo aap aur mere paas baitho......

Nanu : Haan, ab bata kya puchhna hai?

Sameer in shocked : Aapko kaise pata mujhe kuchh puchhna he aapse

Nanu : Kyunki tu meri jaan he, meri dhadkan he... bina kahe tere dil ki saari baatein samajh leta hun mein...

Sameer hugged him and said : I love You Nanu...

Nanu : Love you too beta... achchha ab bata kya hua

Sameer put his head in his lap and asked : Nanu ek baat bataiye, agar aapki niyat saaf ho aur aap kisiki madad karna chahte hai aur kisi ki bhalai ke liye agar aap thodi si maryada tod dein, voh bhi galti se, to kya ye gunaah hai...

Nanu got confused by his words but understood that his son needs his support and guidance severely, he said : Beta is duniya mein sabse bura hota hai kisi ka vishwas todna.... jo koi aap par aankh band karke karta ho... Bas kisi massom ka dil na toote itna dhyan rakhna baaki sab us bhagwan par chhod dena chahiye.. sachche dil se kiya koi bhi kaam gunaah nahin ho sakta....

Nanu makes Sameer realize that he is not much wrong, and his action was just to save her not to make her feel bad... With light heart, he went out to have dinner with Nanu... after that he detailed his whole day about event, match, his win & spent good time with Nanu

In Night, when finally, he came back to his room, while standing at window and doing his favorite job of watching and talking to Moon, he promised himself that tomorrow he will make sure to talk Naina if she is angry with him and apologize if needed so....

Naina was also standing at her balcony and watching Moon ...

Naina POV:

Aaj pehli baar aise kisi ladke ko chhua, par bura nahin laga.... Vaise bhi voh sirf mujhe bacha raha tha aur voh bhi dusri baar, par maine toh aaj tak usko thanks nahin kaha... kya sochta hoga kitni rude ladki hai.. nahin... nahin voh mujhe jaanta hain, mein bilkul rude nahin hun... par kaise janta hoga, humne to kabhi baat bhi nahin ki... toh kya hua, itne mahino se mujhe roj dekhta toh hai... par aaj uske itna paas aakar ek ajeeb si feeling hui jo pehle kabhi nahin hui... laga jaise koi apna hi ho, jise haq ho mujhe yun chhune ka, mera haath pakdane ka... ek ankaha sa rishta sa ban gaya hai usake saath.. 

Kuchh Ankahi BaateinWhere stories live. Discover now