Raunak

1.4K 189 14
                                    

Rohan Sameer reached home and surprisingly Nanu was also at home...

Sameer worriedly asked : Nanu aap factory nahin gaye... aapki tabiyat to theek hai.. par subah to aap mere saamne nikale the jaane ke liye..

Rohan reveal the surprise : Nanu aur maine tujhe surprise dene ke liye sab plan kiya tha... actually Nanu mujhe pick karne airport aaye the aur unhone hi mujhe tere college drop kar diya tha aur mera luggage ghar le aaye... ab samjha...

Sameer smiled : not bad... good planning.. aur mujhe jara bhi shak nahin hone diya..

Rohan (raising his collars) : aakhir idea kiska tha... They all laugh on his tricks...

Sameer : Rohan tune ek aur surprise ki baat ki thi... voh kya hai ab to bata de bhai..

Nanu : Voh yeh hai ki ab se Rohan bhi tere saath tere college mein hi padega.. uska admission bhi VJN mein hi ho chuka hai.....

Sameer (surprisingly) : what.. yeh to sach mein bahut bada surprise hai... mein bahut khush hun.. tujhe bahut miss bhi kar raha tha... he hugged him tightly..

Rohan (teasingly) : haan college mein tujhe dekh kar lag raha tha kitna miss kar raha hai.... draamebaaj..

Sameer : are yeh sab chhod chal mein tujhe hamara room dikhata hun... ab se tu mere saath hi rahega, jaise Delhi mein rehte the, donon bhai saath saath......

Nanu thinking : donon ko saath aise khush dekh kar kitna sukoon mil raha hai... donon bachchon ka akelapan bhi khatm ho gaya aur iss ghar mein toh jaise raunak aa gayi ho..... chalo koi toh hai jo mere baad Sameer ka saath kabhi nahin chhodega.....

Before leaving to factory her said, "achchha theek hai tum donon baatein karo mein factory jaake aata hun... shaam ko kahin baahar chalenge ghumane... un Rahu ketu ko bhi bula lena, khoob masti karenge aaj hum sab...

Sameer & Rohan settle his luggage in room.. Sameer went to call Pandit to inform him for evening plan. He came back and see Rohan standing near the window looking outside bit serious..

Sameer : Rohan kya hua... kya soch raha hai...ghar ki yaad aa rahi hai kya...

Rohan : Nahin Sameer... voh ... if you don't mind... Naina aur tu.. tune mujhe aisa kuchh bataya nahin.. I was quite surprised seeing her... vaise I must say she is very beautiful and pretty.. tabhi tu usake liye itna paagal hai...

Sameer smile.. chal baith tujhe kuchh batana hai par promise abhi tu kisi ko nahin batayega... Nanu ko bhi nahin...

Then Sameer narrates him all what happened in last few days and why till date he has not proposed to her...

Rohan eyes got wet : Sameer, I really feel very bad for her... she is so cute, innocent but bearing so much pain.. but, are you sure about to spend your complete life with her...mujhe teri intention par shaq nahin ha par phir bhi, yeh bahut bada faisla hai, puri zindagi ka .......

Sameer : Rohan, mein ek baar saanse lena bhool sakta hun par Naina ko nahin... ab toh jitna jyada usse janane laga hun utna hi pyaar bad raha hai mere dil mein usake liye aur respect bhi... mein shaayad nahin bata sakta ki voh mere liye kya maayne rakhti hai...

Rohan smiled : aur jarurat bhi nahin hai... I can see in your eyes that how much you love her... par ab jaldi se usse bata bhi de... mein to aaj hi usse Bhabhi bolne wala tha...

Sameer (smilingly) : Tu chinta mat kar... thoda waqt jarur lagega par mein jald hi usse apne dil ki baat bata dunga... chal tu thoda rest karle, phir Munna Pandit aa jayenge toh ek minute bhi aaraam se baithne nahin denge....

After some time... Sameer picked up the cordless and went out from his room to call Naina as he didn't wasn't to disturb Rohan's sleep..

Sameer / Naina : Hello..

Naina instantly speak : mein theek hoon aur ab dard bhi nahin hai, sachchi......

Sameer surprisingly : tumhe kaise pata maine yahi puchhne ke liye phone kiya tha... lagtaa hai mere dil ki baat samjhane lagi ho.....

Naina laughed : Voh kya hai na.. dost hun.. dost ke dil ki baat nahin samjhungi to aur kisko samjhungi... vaise kahna to nahin chahiye par phir bhi thanks... meri itni care karne ke liye..

Sameer : Madam, hum ne bhi dosti ki hai... nibhayenge poore dil se...

Naina : achchha vaise Rohan kaisa hai... Preeti ki taraf se I am sorry.. voh actually mujhe lekar thodi tensed thi aur ussi gusse mein Rohan se lad padi... varna voh to har kisi se pyar se hi milti hai.. hamesha sabko hasati rahti hai.. too much caring...

Sameer : Preeti ko bhi sorry bol dena... Rohan mujhse milne ke liye itna excited tha ki wait hi nahin kar paya aur late hone ki wajah se chid kar Preeti se lad pada... varna uska nature to bilkul shaant hai... ghar mein to usaki awaaj bhi sunaai nahin deti thi...

Naina : vaise jab dono hi itane achchhe aur sachche hai to lagta hai jald hi dost bhi ban jayenge... hamari tarah...

Sameer : Haan nahin to humein paagal kar denge... dekha tha aaj kaise ghoor rahe the ek dusre ko..... vaise ke khushkhabri bhi hai ki ab se voh yahaan mere paas hi rahega aur Nanu ne uska bhi admission hamare college mein hi karwa diya hai...

Naina : yeh toh bahut achchhi baat hai.. tum khush ho na.. bahut pyaar karte ho na apne bhai se (saying this she gets bit upset remembering Arjun)

Sameer : haan bahut jyada... Nanu ke baad ek voh hi toh hai jisse mein apna pariwaar kah sakta hun... vaise yeh sab chhodo, mujhe toh darr lag raha hai jab kal donon aamne saamne honge... college mein to bhukamp hi aa jayega...

They both laugh on thinking about their behavior in canteen...

Sameer : ek baat kahun Naina.. tumhari hansi bahut pyari hai... hamesha aise hi hansati raha karo....

Naina after a pause : Sameer mein rakhti hun... kal milenge... Bye..

Sameer (smilingly) : Bye ... kal milte hai...

The both disconnect the call and smile remembering their talks...

In evening Nanu came back from factory early and went out with 4 of them to enjoy..

Nanu : Rohan tu kal se hi college jana shuru karega na... vaise bhi kaafi padai nikal chuki hogi teri.... Par tune bataya nahin tujhe college kaisa laga, aaj gaya tha na...

Rohan : Nanu college toh bahut achchha tha aur saare dost bhi, bas kuchh ek ko chhod kar...

Munna (teasing him): haan haan Nanu, Rohan ko college bahut achchha laga... iske aane se toh raunak hi aa gayi hamare group mein...

Pandit added : aur toh aur aaj to aatishbaaji bhi dekhne ko mili... bada maja aa raha tha... kaash aap dekh paate.... Jaise shola aur Shabnam...

Nanu surprisingly asked, "kyun aaj tumhare college mein Diwali thi kya jo patakhe chhode ja rahe the..

Sameer laughed and said, "thi toh nahin par lagta hai ab roj hi patakhe bajenge, aur kabhi kabhi toh rockets bhi chhutenge, kyun Rohan hai na...

Rohan looked all of then frustrated... Nanu aap in logon ko chhodo.... Aap dinner karo... he muttered to them, "tum logon ko bada majaa aa raha hai.. tumhein toh mein baad mein dekh lunga aur us mendki ko bhi.. chhodunga nahin....

Sameer whispers : yaar aaj tak kisi ne bhi ek hi din mein kisi ke itne naam nahin rakhe honge jitney tune rakhe hai Preeti ke... lagta hai kuchh jyada hi yaad aa rahi hai tujhe usaki....

Rohan : ab bas bhi karoge ya maar khaoge mujhse... they all keep teasing him and had good fun time.......

Preeti was keep pacing in room from one corner to another fisting her palm in anger and Naina was sitting on bed looking her roaming around...

Naina : bas kar meri maa... aur kitna gussa karegi us par... chhod bhi de na... vaise bhi tune apna badla le toh liya usse kamre mein bandh karke...

Preeti : dekh tu usaki tarafdaari mat kar... man kar raha hai us mendak ki donon aankhen phod dun, mujhe, kya bol raha tha haan.... Paagal, nakchadi, aur haan idiot bhi bola tha.... gussa nahin aayega kya... agar dobara dikh bhi gaya na toh dekh mein uska kya haal karti hun...

Naina thinking : hey bhagwan bacha lo hum sabko... ek din mil kar yeh haal hai jab dobara milenge toh hum sab ko paagal hi kar denge... abhi isse nahin bata sakti usne hamare college mein hi admission liya hai.... bhagwan jaane kal kaun sa toofan aayega... 

Kuchh Ankahi BaateinWhere stories live. Discover now