Preeti's Birthday

1.2K 173 18
                                    

A week passed... Naina woke up early and went to temple with Chachaji and came back with Prasad.. She went straight into room and put on music in tape recorder to wake up Preeti. She went near to bed and whisper in her ear loudly.... Happy Birthday Preeti....

Preeti wake up with jerk and saw Naina sitting next to her with a smile on her face and spread her hands to hug her.... they both had a bone crush hug and she again wish her birthday....

Preeti : aaj bhi hamesha ki tarah tune hi mujhe wish kiya hai sabse pehle... thank you thank you so much ... I love you... ab chal jaldi se apne haath ka bana prasad bhi de... mujhe pata hai tu mere liye prarthna karne mandir gayi hogi subah subah uth kar....

Naina feeds her prasad : bhukkad... yeh le ... achchha hota tu bhi mere saath chalti... par koi nahin mein hun na tere liye .. aaj maine bhagwan se tere liye saari duniya ki khushiyan maangi hai...

Pooja didi enter and also wish Preeti... humein pata tha Naina aaj mandir jaroor jayegi isiliye humne pehle wish nahin kiya tujhe... aur yeh le tera gift.. tere jijaji ne pehle se hi kharid kar saath mein diya tha... aur Naina yeh tere liye....

Naina surprisingly... arey par mera nahin iska birthday hai... phir mujhe kyun...

Pooja said lovingly careeing hre head, "toh, tu apna birthday manati kahaan hai... humein wish tak to karne nahin deti theek se..... vaise bhi Varun ji ke liye tum donon ek barabar ho... chalo ab yeh sab chhodo aur apna apna gift dekho.... Hope you will like it...

Then trio hug each other and later Anand, Bela all wish Preeti and give her so many gifts too...

Naina (in her mind) : Kaash mein bhi koi gift la paati... har saal isse mere surprise gift ka sabse jyada intzaar rehta tha.... akele mein market jaa nahin sakti aur iske saath jaati to surprise kahaan rehta... Pooja didi ko bhi saath nahin le ja sakti thi... par koi nahin meri wishes toh hai na uske saath...

Rohan and Sameer get ready for college and waiting for Munna Pandit...

Rohan impatiently : Yaar yeh log itana late kyun ho rahe hai.... thoda jaldi nahin aa sakte kya ek din bhi...

Sameer : Relax yaar, abhi bahut time hai.. tu aaj itna utawla kyun ho raha hai...

Rohan (shyly) : Voh yaar... actually... voh aaj Preeti ka birthday hai to socha sabse pehle college jaakar usse wish kar deta hoon ....

Sameer : Haan toh kar dena na.. ismein itni besabri kyun.... wait ... wait... matlab tu itna Sharma raha hai.... voh bhi Preeti ke naam se..... kuchh chhupa raha hai kya.....mujhe toh bata de yaar.....vaise kuchh gift liya hai uske liye... mujhe pata hota toh mein hi le aata...

Rohan (nervously) : arey nahin na... mein kya chhupaunga... aisa kuchh nahin bas ab hum achchhe friends hai toh bas yun hi... haan vaise gift laya hun varna kachcha kha jayegi mujhe....

Sameer (teasingly) : Vaise ladki achchhi hai... aur tujh jaise bhondu kitabi keede ke liye toh us jaisi strong ladki hi sahi rahegi.....

Rohan dreamingly said : Haan hai to bahut pyari... poori duniya se alag.... talented bhi bahut hai, kitni aasani se har waqt ladne ke bahane dhundh leti hai...... anokha talent hai usmein...

Sameer : Haan toh hum ladate bhi toh usi se hain jisse sabse jyada pyar karte hai...

Rohan : Matlab tu kehna chah raha hai ki voh aur me... I mean hum donon.... No ways yaar ... ek number ki ladaka hai voh... daaku Hasina types....

Sameer laughed but somehow understood his brothers' feelings developing for Preeti, he keeps thinking : Chalo achchha hai ek aur love story shuru hui... hey bhagwan sab ki help kar dena bas mera hi number nahin aa raha....

Kuchh Ankahi BaateinTahanan ng mga kuwento. Tumuklas ngayon