Amaanat

1K 172 28
                                    

After few days being Diwali, Naina woke up early and left for Mandir with his favorite prasad - halwa...

Nanu & Sameer were waiting for her. She greets Nanu touching his feet with him - together, "Happy Diwali Nanu".. he blessed them both and they all went upstairs for Puja.. 

They came down and sits at their usual place... Nanu, "teri choice toh bohot achchhi hai, bilkul teri tarah simple but elegant... teri pasand ke gifts ghar mein sabko bohot pasand aaye, par kaash hum bata paate ki voh tu ne pasand kiye the..."

Naina smiled back, "Nanu, sabko gifts pasand aaye itna hi kaafi hai, vaise bhi Sameer aur Rohan ke haath se gift lekar sabka mood achchha ho gaya hoga... itne saalon baad sab ek saath Diwali ke liye ek saath aaye hai toh mein nahin chahti thi ki Diwali par koi bhi udaas ya ek dusre se naraaz rahe... humne theek kiya na"

Nanu smiled and bring out a packet giving it to her, "aur yeh le tera gift meri aur teri Nani ki taraf se.. khol ke dekh"... she excitedly opened the packet and found a beautiful Orange & green traditional heavy pure banarasi silk saree ..

Sameer got amazed to see, "Nanu yeh toh voh shayad Nani ki saree hai na... maine dekha hai aap hamesha isse apne paas rakhte the"...

Nanu's eyes brimmed with tears, "haan yeh teri Nani ki pasand ki aakhiri saree hi hai... uski sabse favorite saree... ek baar hum Banaras gaye the ghumane tab usane yeh saree li thi par kabhi pehni nahin... boli ki yeh toh mein apne Sameer ki dulhan ko dungi apne aashirwaad ke taur par .... aur aaj usaki aakhiri ichchha mein puri kar raha hun... yeh teri hi amaanat hai jo mein aaj tujhe saunp raha hun beta.... ek vishwas aur bharose ke saath ki jaldi hi mein tujhe apne ghar ki lakshmi banaunga... maana haalat abhi thode kharaab hai par mujhe poora vishwas hai ki jaldi hi sab theek ho jayega" he caressed her head, "dekh tu ghabrana mat, mein hun na tumhare saath... mujhe pata hai tu kisi se kuchh nahin kahegi par dil mein darr toh hoga hi na... par mere hote huye kabhi kuchh galat nahin hone dunga, bas thoda waqt chahiye mujhe"

Tears rolled on her cheeks too and she hugged him back, "thank you Nanu, aaj aapne mere bina kahe hi meri har ichchha poori kar di, mere dil se saare darr nikaal diye... thank you so much... aur mein aapse wada karti hun ki jis vishwas ke saath aapne apna aur naniji ka aashirwaad mujhe diya hai, mein hamesha uska maan rakhungi, kabhi aapka bharosa nahin todungi" Nanu hugged both of them together and kissed on their forehead...

Nanu, "Sameer mein chalta hun, tu jaldi ghar aa jaana, factory mein pooja ke liye bhi jaana hai".. before leaving he gave one more saree gift for Preeti from his side... Samaina sit back on their  place to spend some lonely time together...

Naina hit on her forehead with her hand, "oh god, mein toh bhool hi gayi batana... Sameer Chachaji tumse milna chahte hai... tumhein koi problem toh nahin na... I mean tum daroge toh nahin kahin unase milne mein...."

Sameer excitedly said with full confidence, "sachchi Naina tum na paagal ho... mein kyun darunga, mujhe kya problem hogi, balki mein toh kab se unhein milna chahta tha... hamesha tumhara dost ban kar mila hoon lekin ab officially unka damaad ban kar milna chchta hoon... bataao kab milna hai... dekhna kaise ek minute mein hi impress kar lunga apne hone wale sasur ji ko...."

She smiled and said cutely, "bas abhi.. thodi der mein aate hi honge, mujhe mandir chhod kar yahin paas mein hi gaye hai kisi kaam se... bole Sameer se kuchh baat karni hai toh maine haan kar di... theek kiya na maine"

Sameer nervously stammered, "kya.. kya matlab abhi... isi waqt... tum... tum bhi na Naina, aise koi achanak jhatka deta hai kya... pehle batati toh mein kuchh taiyari ke saath aata.. marwa diya tumne toh" 

She laughed seeing him so much nervous, "kyun kyun... darr gaye kya... dekho kaise paseene aa rahe hai... lagta hai Diwali ke bomb tumhare kaanon mein abhi se phoot gaye hai...." 

Kuchh Ankahi BaateinWhere stories live. Discover now