Chapter 25

1K 49 0
                                    

They slept in that position for a couple of hours until Kartik's phone rang. It was from set!

N to K: Tum bolo unhe tum aa rahe ho! No arguments! Me apna dhyaan rakhungi aur koi heropanti nai karungi! Mujhe mera lesson mil gaya he! Ab aage koi carelessness nai...
K: Pakka na?!
N: Haa baba pakka...tum bilkul guilty mat feel karo, waise bhi aaj ka hi din he sirf, kal se toh tumhari vo nurse aa jayegi mere sar par baithne ke liye....

Kartik chuckles.
Kartik recieves the call & informs them that he'll reach in some time.

Sometime later, he leaves for work.
Naira stays back at home taking complete rest, having all food and medicine on time.
In late evening, Kartik returns.
At night, they have dinner and sleep cuddling together.

Day 5

Morning, 9am

Kartik was chilling on the sofa reading a magazine & Naira was lying on the bed lost is some deep thoughts. Kartik notices Naira was upset & was thinking about something really serious. To distract her attention he utters

K: Naira dekhna tum, ek din is magazine ke cover pe meri photo hogi!

Naira without listening to what he just said utters : Hmmm

K *in a little louder tone* : Nairaaa! Kaha khoyi ho tum, tumne suna mene kya kaha?
N *still inattentively* : Haa tum bohot ache lagoge magazine cover pe..

Kartik goes near her on the bed and slowly taps the magazine on her head. Naira comes out of her thoughts.

K: Kya soch rahi ho? Tumne ye magazine ka heading dekha...

Naira looks at the magazine, it was titled '7 mistakes of my life'.

N *embarrassed*: Sorry vo mera dhyaan nai tha.
K: Kya soch rahi ho?
N: Kuch nai bas aise hi..

Kartik holds Naira in his arms and caresses her hair.

K: Kya hua jaan? Pain ho raha he?
N: Nai nai zyada pain nai ho raha
K: Toh fir kahan khoyi ho? Batao mujhe
N *while randomly staring at a showpiece on the table accross the bed*: Kartik agar mera hath amputate kar dete toh? Mera matlab ki agar operation me mera..
K interupts: Ye sab kya soch rahi ho tum aur kyu! Aise sab  bakwaas mat socho. Kaise kuch hota. Me hu na, me kuch nai hone dunga tumhe..
N *while looking at Kartik*: Haa Kartik mujhe pata he tum mujhe kuch nai hone doge par fir bhi ye toh aisa tha jo tumhari control me nai tha na. I mean me bhagwanji se bohot bohot bohot thankful hu ki unhone sab theek kar diya par mujhe sirf ye soch ke hi itna darr lag raha he ki agar situation control se bahar ho jaati aur mera..

Naira stops in her words & a tear rolls down her eye. After a brief pause.

N : Mera hath hi nai hota toh kaise *sniffs*  Mujhe 5 din school na jaane se itna adhura adhura lag raha he, toh fir agar kuch ho jaata toh me school kaise jaati, padhati kaise, mere bacho se kaise milti.  Wapas padha bhi paati ya nai, bacho ke saamne wapas jaane ki, padhane ki himmat juta bhi pati ya nai. Padhana chodo ek hath ke sath roz roz ke kaam kaise karti! Zindagi bhar apni ek bewakoofi ki saza kaatni padti. Mujhe bhi aur tumhe bhi! Aapni life ke saath tumhari life bhi kharab kar deti...

Kartik puts a finger on her lips.

K: Shushhhh

Kartik wipes her tears and plants a kiss on her forehead.

K: Naira tumhe pata he mene abhi abhi ye magazine me kya padha?
N *nods a no*: Kya?
K: Fear is our greatest enemy. Hum sab ye mistake karte he, apne aap ko test kiye bina hi haar maan lete he. Jo hua hi nai uske baare me soch soch ke darr jaate he. Tumhe pata he tumhari school me saare bache tumhe itna pasand kyu karte he? Isiliye nai kyuki tumhare paas do hath he, yaa do aankhe he, isiliye kyuki vo tumhe, tumhare attitude ko, tumhare teaching style ko pasand karte he. Ye haath vagere se koi farak nai padta. Tum koi bhi situation me kya kya kar sakti ho vo confidence tumhe apne andar se aana chahiye. Aur waise bhi tum hamesha se fighter rahi ho, ye aise chote chote accidents se kaise darr sakti ho. Meri Naira bohot strong he aur kaisi bhi situation ho, vo sab kuch best hi karti he aur aage bhi karegi. Aur haa aur ek baat, aage se aise kabhi mat kehna ki tumhari wajah se meri life kharab ho jaati, kyuki aisa kabhi nai ho sakta.

Naira is overwhelmed at his words.

N *tightens her grip on him*: Tum hamesha aise hi mere sath rehna!
K: Aur kaha jaunga me!

Kartik hugs Naira more tightly and again kisses her head. Naira also reciprocates with a tight hug.

Naira thinks to herself: Thank you Krishnaji mujhe Kartik dene ke liye.

..

Love is not just about hugs, kisses or staying together; it's about being there for the OTHER HALF when he/she requires the most.
Standing strong like a pillar when the other one is falling apart.
Reassuring them of what they are capable of doing.
Making them realise no matter what happens, there is going to be one CONSTANT. ❤️
..

Crash & CareWhere stories live. Discover now