Epilogue

8.4K 715 49
                                    

13 Years Later...

A 17 year old boy comes infront of Roshni's photo and lights a candle.

"Hi Ma...aaj aapho gaye hue pure 13 saal ho chuke hai. I wont say main aapko miss nahi karta...I do, every day. Par haan Mom aur Dad ne aapki kaami mehsoos hone nahi di. Dont worry, aapki jagah aapke hi rahenge...par agar aapke baad main sabse zyada pyar kisise karta hoon toh woh Mom aur Dad hai. You know, unn dono ne kabhi mujhe mein aur apne bachon mein koi farak nahi ki. Infact Ma toh pakka mujhe Manan aur Manvi se zyada pyar karti hai." Yes this boy was none other than Gaurav Thakkar, now known as Gaurav Malhotra.

"Manan! Manvi!" A woman came downstairs with a guitar and some books. "Haye bhagwan, yeh bache bhi na...apni saare cheeze idhar udhar rakh dete hai!"

"Kya hua Mom?" Gaurav walked towards the woman.

"Haan kya hua meri Jaanu." A man came out and hugged his wife.

"Manik...yeh tumhare dono afat hai na...inn dono ne meri jaan khaa li hai. Saara din inkhe piche bhaaghun main aur phir ghar ka kaam bhi karun....kya zaroorat thi twins paida karane ki?"

Gaurav laughed while Manik just stared at Nandini. "Maine paida ki thi kya? Tumhare pait mein toh tha...aur its not like we can control these things."

"Haan lekin tum hi decide nahi kar paa rahe they ki beta chahiye ki beti...isi liye yeh hua!"

"What!" Manik laughed, "Nandini....thats not how that works!"

"Mom..aap mujhe boliye...Ill help." Gaurav said.

"Yeh tumhare bhai behen, 12 saal ki ho gaye hai phir bhi itni si bhi responsibility nahi hai. Manvi ka yeh guitar and Manan ki saare books bas aise kamre mein bhikre paare they. Ek hafte se kamra saaf karne ki liye bol rahi thi main."

"Good morning Di!" Ankita came downstairs. "Kya hua? Aap itne gusse mein kyun hai?"

"Dont ask Ankita...kacha chaba jayegi tumhe." Manik warned.

"Kya matlab? Main zyada gussa karti hoon?" Nandini glared at Manik.

"No...No jaanu...maine aisa toh nahi bola." Manik sweetly smiled, calming Nandini down.

"Bhabhi, dont mind bhai...inko thodi na paata hai ki aap purre din kitna kaam karti hai."

"Oh bhabhi ka chamcha...chup kar.." Manik smacked the back of Laksh's head.

"Mom...aaj mat dantiye na dono ko. Its their birthday." Gaurav requested. Nandini took a deep breathe.

"Thik hai..tu keh raha hai toh sirf aaj ke din jaane de rahi hoon."

"Thanks mom...love you!"

"Hello Malhotras!" Cabir & Navya came in eith their 13 year old son Abir.

"Hi, Nandini bua...Hi Manik chachu!" Abir greeted Nandini & Manik. "Where is Manvi?"

"Bahar baaki bachon ke saath hai." Nandini replied, "Vaise Cabir bhai...aap itne late kyun hai? Alia aur Dhruv kabke aa gaye hai Ruhi ke saath."

"Woh sab chodo.. Did anyone notice Abir ne sirf Manvi ke baare mein pucha?" Manik asked.

"Lo...Papa mode on." Cabir commented. "Chinta mat kar. They are only 12 and 13, abhi kuch nahi hoga unke beech."

"Good...wait, abhi nahi hoga matlab? Baad mein hoga?" Manik glared at Cabir. Nandini laughed with Cabir.

Then Ravi & the Khanna family entered.

"Hi Nandini Bua, Ankita Bua!" Nisha (Veer's daughter) hugged Nandini & Ankita followed by Siya (Kartik's daughter).

"Ma, Papa...yeh sab kya hai?" Nandini looked in shock at all the gift bags in her family's hands. "Birthday sirf do logon ki hai, Manan aur Manvi....50 logon ki nahi!"


"Yeh unn dodno ke liye hi hai. Yeh saari gifts manvi ki liye aur tere Papa aur Veere ke paas jo hai, Manan ke liye." Kavita replied.

"Aap log na bigar rahe ho unko."

"Toh? Nana Nani hai hum, bigarna humara janam sidh adhikar hai.... samji?" Ravi said. "Aur humne Gaurav ko kaam pyar kiya hai kya?"

"Of course not Nanu." Gaurav smiled and hugged them.

"Haan haan sab milke bigaaro, Nandini toh hai unke life mein villain banne ke liye. Saare discipline karna aur punishment dena mera kaam aur aap sab bas bigaaro!" Nandini grumbled walking away.

"Yaar manik...Nanhi aaj thoda zyada gusse main nahi lag rahi hai?" Rishabh asked.

"7 mahine pregnant hai, aur kya expect kar sakte ho. Uski mood swings na mujhe pe bhaari par rahi hai. Itne mood swings toh Manan aur Manvi ki time pe bhi nahi hua usko!"

Then suddenly, Nandini started crying. Concerned everyone ran to her.

"Jaan kya hua?" Manik asked.

"Main bohot pareshan kar rahi hoon na?" Nandini asked.

"Nahi Mom, aisa kuch nahi hai."

"Aisa hi hai mujhe paata hai!" Nandini cried. "Yeh sab Manik ki vajah se hai!"

"Arre! Ab maine kya kiya?" Manik pouted.

"Mujhe pregnant kisne karwaya?" Nandini asked. "Bache bade ho rahe hai aur tum...tumhe toh babies banane ka shauk hai!"

"Arre par...maine jaan bhuj ke thodi na ki, the condom broke-" He froze realizing he just said that infront of everyone. The family members hid their laughter while Nandini threw a death stare at Manik.

"Sorry..." Manik mouthed holding his ears. Everyone laughed as Manik followed Nandini around like a lost puppy.

Gaurav turned back to Roshni's photo. "Dekha Ma? Dad aaj bhi Mom ki piche purey lover boy banna hai...jaise bachpan mein they. I just wish humara life humesha aisa hi khushi khushi beetey! And I hope aap jahan bhi hai, you know that I'll always love you!"

~𝗧𝗵𝗲 𝗘𝗻𝗱~

Jamai Raja (MaNan FF)Where stories live. Discover now