Part 2

848 86 29
                                    

Third person POV

" ji haan bade papa , mein aapse kuchh baat karna chahti hoon phele aap aayiye yahan par bethiye ." Bade papa sat on a nearby chair and Mishti knelt down in front of him, taking his hands in her she started,

" Bade papa aankhe band kijiye aur batiye ki jo kuchh hua.......  kuhu ki photo cover page par na aana, ghar mein jhagda hona , Abir aur Kunal ka ghar se chale jana kya yeh sab meri sirf meri galti thi."

Bade papa shook his head disagreeing with her
" Par Mishti beta iska solution toh aapko hi nikalana padega na....."
             

                         " Par kyun bade papa akeli mein kyun agar galti hum dono ki hai toh sari expectations sirf mujhse hi kyun......."

*Silence*

                     " Aapne kal kaha tha ki aapko maa se hath jod kar mafi magni padegi , par kyun baat toh husbands aur wives ke beech mein hai na
toh maa kyun interfere kar rahi unko yeh bhi pta hai unke bete theek hai, safe hai toh vo aapko kis haq se pareshaan kar rahi bade papa. Aap bhi achhe se jante hai ki yeh galat hai toh aap kyun jhuk rahe hai".

*Silence*

              " Aapne kal kaha ki mujhe mafi mangni padegi un beton se aur unki maa se  jo aaj ek dusre se door hai, batiye bade papa kya vo meri galti hai, kya unki demand galat nahi ki vo chahte ki 10 saal ki problem ka solution 2 din mein nikal jaye, yeh toh sirf tabhi possible hoga jab koi ek jhuk jaye , par batiye kya vo sahi hoga aur hum sab jante hai ki vo ek kon hoga."

*Silence*

                 "Aapne kaha tha ki ' Abir aapke pati hai , humsafar hai,sukh dukh mein aapka saath dena unka farz hai yeh bachkane jhagde suljhana unka farz nai hai Mishti ' par bade papa jo jhagde bachpan se ho rahe ho vo bachkane nai rehte .
Mein nahi ladna chahti kuhu se par main chup bhi nahi reh sakti jab vo bina vajah blame karti hai bade papa."

And at this time  both of them has tears in their eyes. Mishti continued,

                               " Aapne kal puchha tha ki 'Agar kuhu ne fir ulti seedhi baat keh di toh kya aap apne gusse par kabu rakh payengi ' toh mein nahi rahungi chup bade papa aur vo mera ego nai meri self-respect hogi jo aapne di hai bade papa , aapko yaad hai Kunal aur kuhu ke rishtey ki jab baat chal rahi thi aur ek din party mein meine maafi mangi thi tab aapne kaha tha ki 'pariwar se mafi nai mangi jati' Ik aapne galat kaha tha jab galti ho toh sorry bolne se koi chhota ya bada nahi ho jata , par agar galti nai hai toh pariwar se mafi nai mangi jati hain na bade papa.........

Bade papa nodded,

           ............. Aur uss din ki tarah aaj bhi akele meri galti nahi hai toh mein mafi nai mangungi.
Sorry bahut chhota word hai par iska meaning chhota nai hai bade papa , aur yeh uske samne bolna chahiye jo iski qadar kare , aur maa aur kuhu sorry nai deserve karte. Aapko aur Abir ko mein sorry bolti hoon , ki aap dono ko lagta tha ki mein yeh sab apne aap sort kar lungi par nai kar payi bade papa . meine aap dono ko disappoint kiya isliye hath jod kar mafi mangti hoon." Till now she is crying bitterly.
The courageous Vishwambhar Maheshwari is despondent now after seeing his daughter in this state who is complaining him just like a baby about the people who hurted her  You know, what is the worst thing that he is also among those people. He is looking at her devoid emotions indicating her to continue,

                "Bade papa phele aap meri har baat bina kahe hi samajh jaate the, mujhe bolne ki jaroorat bhi nai padti thi , aap mere har decision mein help karte the , mujhe support karte the
Ab kya badal gaya bade papa , kya yeh sachh hai...ki.....sa.....sadi....k...ke........

Yeh Rishtey Phele Se Behtar (COMPLETED)Where stories live. Discover now