Part 3

775 81 21
                                    


======================================
                                     A/N

Meenakshi Rajvansh is grey character
She did a lot of wrong things due to which both the families had to suffer,
She crossed all limits to separate Misbir
And because of this, she got a lot of hatred from family members and the audience.
Par show mein hume kayi baar iss character ka postive side dekhne ko mila par jyada der tak nahi..... Usko fir villian mein change kar dete the
Toh iss sabki shuruaat kahan se hui....
There is a reason behind everything..... be it good or bad
Meenakshi Rajvansh's love life was not successful..... marriage was not successful
Jab unko apno saath chahiye tha uss time unhe hi sahara dena pada...... Bhai abhi chhota tha....Business ko kisiki jarurat thi..... She had to be strong..... she didn't have any choice and along with  strong, she forgot to be soft.
Vo pyaar karna hi bhul gye.
Unka bahut phele hi pyaar mein se vishwas uth gya .... Shayad isiliye unhone kabhi Mishbir ka pyaar samajh hi nahi aaya
I know yeh koi defence nahi hai unki galatiyon ka ..... Yeh justification bilkul bhi nahi hai unke galat kaam ka......par may be a reason hai unki kadwahat ka.....
Unki insecurities ne usse aise gher liya ki usse apne pariwar ki khushiyan hi dikhni band ho gyi...
Vo khud hi kisiko apne paas aane nahi deti aur shayad Mishti mein yeh quality hai ki vo yeh sab theek kar sake isliye Meenu Ben Mishti se door rehti hai par agar.......😁
Ab agar unhe koi realise karvaaye ki jo kuchh vo soch rahi vo galat hai ya apne mann mein ek galat dharna bna kar rakhi vo usse change kare
I mean yeh bhi ek possibility hai toh....
Par Agar unhe yeh realise ho jaye ki Mishti hi.......
Let's see....😁

=======================================
At Rajvansh sadan,

" Benba aapki dawai , yeh lijiye ." in meenakshi's room.

                     " Himmat kaise hui uss ladki ki Meenakshi Rajvansh se aise baat karni ki janti nahi vo ki mein kya kar sakti hoon. Kar diya na jiska mujhe hamesha se darr tha , nai sambhal payi vo iss ghar ko , shuru se janti thi main isliye mein iss rishtey ke khilaaf thi parul . "

" Kon Benba vo 20 saal phele vaali Meenakshi ya  Mishti . Aap kisse naraz ? Main kuchh samajh nahi pa rahi."

                           " Aap kya kehna chahti hai Parul saaf  saaf kahiye , main samjhi nahi. "

" Benba mujhe aaj Mishti ko dekh kar garv hua jaise aapko dekhkar hota tha 20 saal phele."

                                    " Parul aap yeh kya keh rahi hain hai . Hosh mein toh hai..........."

" Yaad hai Benba aapne hi ek baar mujhe bataya tha ki jab aapko Mehul ki sachai pata lagi thi aur aapne unke khilaf complaint ki thi tab sare samaj ne aapko hi neecha dikhaya tha ki aapne khud hi aapna ghar tod diya , aap apne pati ko sambhal kar nahi rakh payi.......... jab mera sach pta laga tha, aur Mehul ki maa unhone aapko Mehul ke ghar se nikalne ki koshish ki thi tab aapne kya kiya tha. Chali gyi thi ? Nahi na , toh aaj Mishti ne kya kiya.
Ab dikhayi di 20 saal phele ki meenakshi aaj Mishti mein. Ben ba sach sach btatiye .....kya aapne Mishti ko sache dil se kabhi apnane ki koshish ki hai ? Nahi na , aapne  uss bachi mein sirf vo dekha jo aap dekhna chahti thi , jisme uski koi galti nai thi , Aaj batayiye aap * loudly* kyun pasand nai karti usse, kyunki vo Swabhimani hai?  samajhdaar hai ? apne faisle le sakti hai aur unki jimmedaari utha sakti hai ? Yeh toh aap bhi kar sakti hai........ matlab aap apne aap ko bhi pasand nahi karti . Ya fir isliye aapko Mishti pasand nai kyunki ....... vo ek tute hue ghar se aayi hai , toh aapko toh Abir aur Kunal bhi pasand nahi honge haina kyunki vo bhi toh........"

                                        " Bas kijye Parul...................

" Nahi Benba , aaj mujhe bolne dijiye.....mujhe nai pta ki Mishti se aapko kya takleef hai , bus itna janti hoon ki bachpan se do log sacha pyaar dhoond rahe the  ........... Aur un dono ko ab apna sacha pyaar mila hai , ek doosre mein sukoon aur apna chhota sa lekin bahut pyara ghar mila hai ....... mat chhiniye unka sukoon . *Tears rolled down from her eyes*  Main janti hoon ki aap hi vajah hai ki aaj kuhu ke mann itni nafrat kyun hai , agar apne uss nafrat ki aag hai tel ki jagah mitti dali hoti toh aaj kahani kuchh aur hoti. Aapko pta hai aaj Abir aur Kunal  ghar par nahi hai iski vajah kon hai ...... nahi iski vajah Mishti ya kuhu nai balki aap hai... vo vahan par Rajshri ji ke paas gye apne dukh ka nivaran karne par aapke paas nahi aaye.....kyunki aapne khud unhe door kiya hai. * Wiping her tears*  Benba abhi jyada kuchh nahi bigada nayi shuruaat kijiye sambhal lijiye apna ghar . Aise nai jaise aap chahti hain par veise sab chahte hai . Aur main janti hoon ki aap yeh karegi  , aapki aankho ne jawab dediya ."
* Smiling *

Yeh Rishtey Phele Se Behtar (COMPLETED)जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें