Anirudh has a plan

695 45 2
                                    

After Anirudh got to know the truth, he made a plan to make sampoorna and her mother confess their plan. He went back to bondita's room. KSJ and bihari babu followed him.

Bondita:- Kya hua pati babu?

Anirudh:- Maine kaha tha na bondita ki main tumse kuch nahi chupaunga. To tumhe ek baat batani hai.

Bondita:- Boliye pati babu, kya batana hai aapko. Sab theek to hai na?

Anirudh:- Darasal bondita, tumhe baar baar agwah karwane ke peeche sampoorna aur mami ka haath tha.

Bondita:- Kyaaaa???😨😨 Lekin aapko kaise pata?

Anirudh:- Maine bihari ko bheja tha tulsiphr haveli mere kapde laane ke liye. To usne wahan sampoorna aur mami ko baat karte suna. Aur jaanti ho undono se aisa kyu kiya? Unhone aisa isiliye kiya taaki sampoorna tumhaari jagah le sake haveli mein.

Bondita:-Mughe sampoorna didi se yeh umeed nahi thi pati babu. Kitna samman diya hamne unhe, kitna pyaar diya aur unhone badle mein yeh?

Anirudh:- Vohi na bondita. Hamne unhe itna samman diya aur unhone yeh sila diya. Are agar kuch chahiye tha to maang leti na hamse, ham mana thodi karte. Bas ab bahut hua aur nahi. Ab unhe saza bhugatni hogi. Unke karan meri bondita ki jaan khatre mein padi. Ab unhe unke saare karmon ki saza milegi.

Bondita:- Lekin pati babu....

Anirudh:- Nahi bondita. Har baar tumhaare kehne pe maaf kiya maine undono ko. Nahi to sazaa to main unhe tab hi de deta jab unhone meri bondita ko heera mandi jaise nark mein jaan boojh kar bheja tha. Please bondita ab mat rokna.

KSJ:- Haan beta, iss baar unhe sazaa bhugatni hogi. Agar abhi hamne kuch nahi kiya to unka sahas aur badhta jaaega.

Bondita:- Theek hai pati babu lekin aap unhe pakdenge kaise?

Anirudh:- Uske liye mere pas ek bahut achchi tarkeeb hai. Meri baat aap sab dhyaan se suniye. Main apni awaaz badal kar tuslipur apni haveli mein telephone karunga aur sampoorna ko aisa jataunga ki main vohi aadmi hoon jise mami ne bondita ko agwah karne bheja tha. Aur unse kahoonga ki bondita mere kabze mein hai. Isi bahane dono ko yahan bulaunga. Aur phir jab vo vahan aaenge to bondita tum behosh hone ka natak karna. Main police ko le aaunga. Iss prakar vo apna gunaah apne mooh se qabool bhi karenge aur pakde bhi jaaenge.

KSJ:- Waah anirudh, kya tarkeeb hai!!! Ati uttam👌👌

Bondita:- Lekin pati babu, isse pehle ek aur kaam karna hoga.

Anirudh:- Kya bondita?

Bondita:- Sasurji rangoon gaye hai na? To hamein yeh sab karne se pehle ek baar unhe telephone karke batana hoga ki undono ne kya kya kiya hai aur ab sampoorna didi aur mami ko sazaa milna zaroori hai.

Anirudh:- Are haan bondita. Maine to yeh socha hi nahi. Bilkul sahi kaha tumne. Baba ko batana zaroori hai. Kaka aap karenge unse baat?

KSJ:-Hamein koi aitraaz nahi hain binoy se baat karne mein lekin hamein lagta hai ki agar bondita baat karegi to zyada achcha hoga.

Bondita:- Theek hai KSJ, aap kehte hain to main baat kar leti hoon Sasurji se. Pati babu aap unhe telephone laga dijiye.

Anirudh:- Haan. (He makes the call. After some time, he picks it up.)

Sasurji:- Hello.

Bondita:- Hello, namaste sasurji. Main bondita.

Sasurji:- Aree bondita? Khush raho bondita. Kya hua, aaj apne sasurji ki yaad kaise aayi?

Bondita:- Aapse baat karne ka man kiya to kar liya telephone. Kuch galat kiya kya?

Sasurji:- Are nahi nahi. Bahut achcha kiya. Wahan siliguri mein kaisa hai sab? Tumhari padhai kaisi chal rahi hai?

Bondita:- Darasal vohi baat karni thi aapse sasurji. Pehli baat to main hostel mein nahi hoon. Aur dusri baat yeh ki.... (She tells everything about her and anirudh's accident and then about mami and sampoorna's deeds.)

Sasurji:- Kya?? Sampoorna ne aisa kiya? Mughe usse yeh ummeed nahi thi. Mughe laga ki wo sudhar gayi hogi lekin nahi......abhi bhi vaisi hi hai vo.😡😡😡😡

Bondita:- Isiliye Sasurji, ab unhe sazaa deni anivarya hai.

Sasurji:- Haan unhe saza milni chaiye. Kadi se kadi sazaa dilwana unhe. Agar main wahan hota to yeh kaam main khud karta. Aur bondita beta, mughe maaf kardo. Meri patni ke kaaran tumhe itna sab jhelna pada.

Bondita:- Nahi nahi sasurji aap yeh kya keh rahe hain. Aapki koi galti nahi hain. Please aap aisa mat boliye.

Sasurji:- Ab tum araam karo beta. Ham prathna karenge tum jaldi se theek ho jaao. Rakhte hain ab ham. Khoob khush raho.

Bondita:- Namaste sasurji😊😊😊

So, that is it for today guys. I hope you all like it. Do let me know in the comments section. 👇👇👇And yes, a humble request to all the silent readers, please leave a vote after reading. And if there is something that stopped you from voting, comment it down. I hope you understand. The next part will be uploaded soon. Till then stay tuned!

Thankyou❤❤❤❤

Anidita- Growing stronger than ever.Where stories live. Discover now