Ch:-21 hum Nahi sudharenge !!

1.5K 103 22
                                    

Annirudh :- toh aaj ham sab study me chale ? Mai , bondita , tapur , som , batuk !!

Batuk :- nhi dada !! Abhi abhi toh ham 12vi kaksha se nikle h , azaad chidiya bane h , Mai firse nhi padh Raha !! Bohot hogya !! Ab Mai seedha college me padhunga !!

Annirudh :- nalayak !! Mai study me khelne ke baare me bol Raha tha !! Chalo koi baat nhi , tumhe nhi aana na study me !!

Batuk :- ab aap itna keh rahe h toh aa hi jaata Hu !!! Maine aajtak kya Kabhi Apne dada ki baat taali h ?

Annirudh :- chalo , ham log study tak race lagaenge !!

All :- theek h !!!

Annirudh :- ready !?! Steady !?! GO !!!

all started running !!! Annirudh was leading , bondita was behind him , then tapur then batuk som was slow !!

Kaka , binoy and thaaku maa were watching them !! They all smiled !!

Kaka :- hamari bondita bahu , pichle 9 Saal se iss Ghar me reh rahi h , bohot mushkile aayi aur gayi , annirudh aur bondita bahu ke beech me takraar bhi aayi , lekin bahu ne uss takraar Ka asar Kabhi Ghar par nhi padne Diya !! Iss haveli ko Ghar hamari bahu ne banaya h !! Hamari dugga maa swaroopi bahu ne !!!

Binoy :- annirudh aur bondita , dono ki harkate milti julti h , dono hi fitoori h , dono samaaj ke khilaaf ladte h , lekin ek fark h , bondita samajhdaar h !! Agar Zindagi ke mor bondita apni samajhdaari na dikhati toh hamara Ghar kabka toot Gaya hota daa !!

Kalindi :- Mai bondita ke Saath zyada samah toh nhi bita payi Hu , lekin Uske bachpan ke Jo Kuch haseen pal the na , vo bahut khubsurat the !! Meri bondita hamesha se badi pyaari h !!

In one corner of the house

Sampoorna :- pichle 9 saalo me Maine bas iss parivar ko todne ka socha h !! Iss Ghar ki Malkin banne Ka socha h !! Lekin , Kabhi Yaha Ka sadasya nhi ban payi !! Shayd Mai hi nhi banna chahti thi, isiliye kisi ne mujhe Yaha Ka sadasya nhi maana !! Lekin , ab Mai badlungi !! Sabka Dil jeetungi !!  Mujhe Apne bacche ke liye badalna padega !! Agar sab mujhse nafrat karte rahenge toh mere hone wale bacche ko Kabhi bhi parivar Ka pyaar nhi mil payega !! Mai abhi jaake binoy babu aur jeth ji se maafi mang leti Hu !!

Sampoorna goes from there and comes to the hall where Kaka, to be kaki , and binoy were present !! They all were about to leave !! Just then sampoorna came and stopped them !

Kaka :- kya h ? Kyu aai ho ?

Sampoorna :- jeth babu , binoy babu , Mai aap sabse maafi maangna chahti Hu !!

Kaka :- ye bhi iski koi Nahi chaal h !

Binoy :- kaise vishwas karle ham tumhara !!! Hamne tumhe itne mauke diye , lekin tum Kabhi nhi sudhri !! Iss Ghar me tum sirf meri biwi ho ! Sirf Mera rishta h tumhare Saath , na daa tumhe apni bahu maante h , na mere bacche tumhe apni maa !

Sampoorna :- kripya krke mujhe maaf kardijiye !! Mai ......Mai tahe Dil se Apne sabhi kukarmo ki maafi maangti Hu !! 

Kaka :- kaise vishwas krle tumhara ?

Sampoorna :- Mai ....Mai Apne kokh me pal rahe bacche ki kasam khaati Hu , Mai dubara koi bhi galti Nahi karungi !!

Kaka glared binoy !!! Binoy looked away adjusting his specs

Kaka murmured :- mana Kia tha binoy ko ki iss sampoorna se koi BACCHA na Kare , lekin nhi !!! Budhappe me baap banna h ise !! Teen teen nalayak paida Karke chain nhi Mila Jo ab isse bhi pet se kardia !!!

Binoy :- Aapne Kuch Kaha da ?

Kaka :- kehne ko Kuch bacha h? Sampoorna Kahi tum jhooth toh nhi bol rahi ho ? Tumne pehele bhi maafi maangi thi , lekin tum sudhri nhi thi !

Mera bhi aatm samman h !! जहाँ कहानियाँ रहती हैं। अभी खोजें