The GAME OF DESTINY

577 53 31
                                    

Rani pari uses her magic and magical Rays starts going toward him.But suddenly Rays gets diverted from its path and enters in Ananya's body.Rani pari looks at the Ananya shockingly.She knows that being pari shakti she can absorb magic .
Ananya(telepathy)-"Hum pari lok jayenge per aaj nhi.Hum inhe aaj inka din dena chahte hai"

Rani pari-"per pari shakti.."
Ananya-"humne keh diya  to keh diya"

Baal veer and Ananya reaches at the temple .They both starts ascending stairs simultaneously with rising Sun .Balveer and Ananya together do seven parikarma of temple holding each other hand .Ananya remember her parikarma around holy fire during marriage.After that Both of them do 'pooja' of ardhnarishwar form of Maa parwati and Mahadev.

Balveer-"tumhe pta hai ye ardhnarishwar swaroop ka matlab kya hota hai?"

Ananya nodded no.
Balveer-"ye swaroop btata hai ki Maa parwati aur Mahadev ek dusre ke purak hai .Shiv aur Shakti ek dusre ke bina adhure hai.Shiv ke bina shakti nhi ho shakti aur waise si Shakti ke bina shiv bhi shav saman hai.Kehte hai har Purush Shiv ka  aur har sitri  shakti ka swaroop hoti hai .Aur Vivahit joda ardhnarishwar ka ek roop hai  jo ek dusre ke bina adhure hai.BILKUL WAISE HI JAISE HUM EK DUSRE KE BINA ADHURE HAI "

Ananya looks at him speechless.He takes Sindoor which is kept there and fill Ananya's head .

Balveer(holding a small plant)-"Humari Vivah ke ek varsh pure hone per hum yaha ye vriksha lagayenge .Jab hum budhe ho jayenge aur humare Vivah ki 50 saal baad jab hum yaha aayenge to ye vriksh ke jaad humare rishte ki majbooti darshayegi.Isske paate hume batayenge ki humne saath mil kar dukh sukh ke kitne mausam bitaye hai.'
Ananya's eyes starts welling up hearing him but she look aside hiding her tears.They plants that tree together.

Balveer" Aaj agar mai sochta hu na to lagta hai ki tumse milna ,tum per aakram hona ,mera tumhe bachana ,Varsha hona,humara ek hi ghar me rukna, tumhara mujhe wahi sone ke liye kehne ,logo ka hume sath dekhna,ye sab issliye hua kyuki ki mere bhagya me tumhe jivan saathi ke roop me pana likha tha"

Ananya remember that How badly she wanted to meet him.She always feels connection with him even without meeting and his eyes which she drew from her imagination .How she compell Rani pari to comes to the earth and how she feels strange connection with him only by seeing his figure from distance.

Ananya(looking at tree with determination)-"hum yaha dubara jarur aayenge"

She looks at Balveer smiling.

"Aap janti bhi hai ki aap kya keh rahi hai " asked Rani pari totally shocked by the decision of Ananya.

Baal pari-"Aap dharti lok me kaise reh sakti hai
Ananya- jaise ab tak reh rahe the waise"
Rani pari-"Aap bhawnao me aakar apne kartaya ki andekhi kar rhi hai"
Ananya-"Hum apne kartaywa ki andekhi nhi kar rahe hai Rani Pari. Balki baaki kartaywa ke saath apna ek aur kartaywa bhi nibha rahe hai"

Rani pari-"Pari shakti aap apne swarth ke liye Niyati ke  Virudh jaa rhi hai hai"
Ananya-"Niyati ke virudh kaun ja saka hai Rani pari.Humari Niyati ne hi hume unse milwaya hai"
Baal pari-"ye aap bhawnao ke aavesh me keh rahi hai Pari shakti.Bhawnao me beh kar koi galat nirnay mat lijiye"
Ananya-"Nirnay humara kaha hai Baal pari ?Ye nirnay to humare bhagya ka hai.Yadi hum Vivah ka arth jante hue bhi unse vivah karte ya phir wo humara sach jankar bhi humse rishta jorte to wo galat hota .Tab hum ya wo bhawnao ke aavesh me galti karte per jab humara Vivah hua tab hum dono hi anjan the"

Natkhat pari-"Aap Samajh nhi rhi hai..."
Ananya-"Aap sab nhi samajh rahe hai. BALVEER KE BINA PARI SHAKTI KA KOI ASTITVA NHI HAI .

Rani pari-"Pari shakti aap dharti lok per nhi reh sakti"

Ananya-"Hum aapse anumati mangne nhi aaye the Rani pari.Hum aapko apna Nirnay sunane aaye the.Itna to aap ko yaad hoga hi ki hum aapke aadesh ko man ne ke liye badhya nhi hai.Hum ek baar phir se keh rahe hai.HUM APNE PATI KE SATH HI RAHENGE AUR SATH HI PARI LOK ME BHI APNA DAYITVA NIBHAYENGE.AUR YAHI HUMARA AANTIM NIRNAY HAI."

Ananya looks at them sternly and leaves from there.
In PARI LOK

Fairies are gathered in the court of Rani pari to discuss about this problem.

Rani Pari-"Pari shakti ke iss nirnay se keval pari shakti per hi nhi pure pari lok per sankat aa sakta hai kyuki jo bhi pari shakti ko paayega wo sath hi pari lok ki shaktiyo ka bhi adhikari ban jayega.Aur pariyo ki tarah hi uski aayu bhi  hazaro varsho ki ho jayegi.yahi vajah hai ki kayi buri shaktiya unhe pana chahti hai"

Baal pari-"To kya Balveer ke pass bhi ab shaktiya hao?"

Rani pari-"Nhi ab tak nhi .Kyuki sambhavtah ab tak dono pati patni ki tarah nhi rehte hai.per ye humesha ke liye nhi ho sakta.Aur jis din yeh hua Balveer pari lok ki Shaktiyo ke aadhikari ban jayenge.Aur shaktiyo ke saath jimmedari bhi aati hai.Aur adhiktar manushya Shaktiya milte hi Jimedariiyo ko bhul jate hai aur keval Shaktiyo ka galat isstemal karte hai.

Baal pari-"hume nhi lagta ki Balveer aisa kuch karenge.Hum unhe aadhik to nhi jaant per hume lagta hai ki wo ek achhe insan hai"

Rani pari-"Jitna humne unke bare me jante hai hume bhi yahi lagta hai per keval issliye hum pari lok ko sankat me nhi dal sakte .Ho sakta hai ki wo shaktiya paa kar un shaktiya ka prayog achhai ke liye kare per ye bhi ho sakta hai ki wo unme shaktiyo ka lalach utpan ho jaye aur wo aadhik shaktishali hone ke liye galat rasta apnaya .kuch bhi ho sakta hai.Issliye uchit yahi hai ki pari shakti wapas pari lok aa jaye .

Natkhat pari-"per ye hoga kaise.Pari shakti to kisi ki baat nhi sun rahi .

Baal pari-"Ha Rani pari ,unhe to pura yakin hai ki Balveer ka sath hi unka bhagya hai"
Rani pari (thinking something)-"yakin ,yakin.Baal pari yadi hume apne  Vishwash per pura Vishwash ho to hum koi bhi pariksha dene ke liye taiyar ho jate hai"

Rani pari looks at Baal pari determined

So how was the chapter?
Ab Rani pari kya karegi

HUMARI ADHURI KAHANI- An incomplete love storyWhere stories live. Discover now