🌸 Trust 2 ✓

1.3K 111 5
                                    

Continued from Previous part.

Anubhav entered in the room. Hassena was standing infront of the window. Anubhav approached her with baby steps and put his hand over her shoulder.

She turned back. Her eyes watery and red. His heart broke Seeing his wife in such a condition and hugged her, but she didn't reciprocated the hug. She started sobbing. Anubhav got worried and broke the hug.

Anubhav (broken voice)- Hassena ji, hamara yakin Kijiye, voh Preeti jhoot bol rahi hai. Hamari unse koi shaadi nahi hui hai aur na hi voh beti hamari hai. Hum jaante hai aapke maan mein kai sawal hai, jinka Uttar hum swayam khojne ka prayas kar rahe hai. Baas aapka...

Hassena (determined)- Hum aapke saath hai Anubhav.

She said shocking Anubhav. He eyed her confusingly. She smiled weakly.

Hassena (cupping his face)- Aapne hamara bharosa fir ek baar jeet chuke hai Anubhav. Aur hamara manana hai ki kisi bhi rishte mein bharose se jyada aapse samajh hona bohot jaruri hai... Hum aapko samajhte hai isiliye toh inn ankhon mein hume guilt ya gussa nahi hamare liye pyaar najar aya.... Aur humara din yeh keh raha hai ki aap humse bohot pyaar karte hai kabhi hume dokha nahi de sakte.

Anubhav- Hassena ji, hume samajh mein nahi aa raha kya kahe. Humne aapka bharosa toda hai ek baar nahi do do baar. Fir bhi aapko yakin hai hum Dhokhebaaz nahi hai. (She smiled) Hum kitne bhagyashali hai jo hume aap patni ke roop mein mili hai.

He hugged her. She hugged him back. His smile wasn't ready to drop from his face. After some time, they broke the hug and pressed their lips for a kiss. After breaking the kiss they joined their foreheads.

Hassena- Aab aap bataenge ki Yeh Preeti aapko kaise jaanti hai?

Anubhav- Batate hai. Aap pehle baithiye toh sahi...

He made her sit on bed and himself sat on ground and kept his head on her lap. She chuckled at his antics and caressed her hair.

Anubhav- Hum dono senior college mein saath mein padhte the Hassena ji. Hamari pehli mulakat college mein hi hui thi. Fir padhai ka naam lekar voh hamare karib ane ki koshish karne lagi. Hum chahe jitna bhi usse dur bhagne ki koshish kyu na kare. Fir bhi voh humse dur nahi rahi aur hume dosti ka prastav diya. (He signed). Hum bhi kitne murkh the jo uska yeh prastav swikar kar liya. Dhire dhire vakt bita aur ek din kuch aaisa hua jiske karan hamare aur hamare ek mitr ke bich ladai ho gayi, jiske karan aab voh hamara mitr humse nafrat karta hai.

Hassena- Par uski vajah se aapke aur aapke dost ke bich mein ladai kaise ho gayi?

Anubhav- Hamara mitr aur Preeti uss vakt Relationship mein the. (Angrily) Ek din Preeti hamare ghar ayi aur hamare karib ane ki koshish karne lag gayi. Hum usse dur hatate rahe par fir bhi voh hamare karib ati rahi. Hum kuch kar bhi nahi paye kyuki voh ek ladki hai.

Hassena (angrily)- Ek minute, uski himmat kaise hui aapke saath misbehave karne ki? Par Karan toh abhi aapne bataya hi nahi...

Anubhav- Batate hai.... Ek toh voh hamare karib ati ja rahi thi, upar se hamare samajh mein kuch aa hi nahi raha tha. Achanak se usne kab hamara haath khicha aur hume sofe par khich liya hume pata hi nahi chala. Voh bilkul hamare niche thi. Hum itna baukhla gaye the ki bata bhi nahi sakte.

Hassena- Uss Preeti ko toh hum chodenge nahi.... Fir?

Anubhav- Fir, hume pata chala ki hamare ghar ka darwaza usne khol diya tha isliye Rahul andar aa gaya, aur usne saab dekh liya. Usse dekhte hi Preeti ne hume dhaka maara aur Rahul ke piche jakar chip gayi. Usne Rahul se kaha ki hum uske saath battamizi kar rahe the. Hume uske saath jabardasti karne ki koshish ki. Fir kya Rahul ne hume maara. Hume usse samjhane ki kitni koshish ki lekin voh nahi mana. Uss raat hamara jhagda dekhte hue, maine usse muskurate hue dekha.

Hassena (gritting her teeth)- Voh ladki hai yah chudail? Usne aapke upar itna ghatiya iljam kaise lagaya? Aur aapne aapne dost ko fir se samjhane ki koshish nahi ki?

Anubhav- kya karte Hassena ji? Jab usse hamare upar vishwas hi nahi tha toh. Usse Uss Preeti par jyada Bharosa tha jo ek pal uski dusre pal kisi aur ki ho jati thi. Hume pata chal gaya Hassena, ki dosti uss se hi karni chahiye, jo aapke upar Bharosa kar sake.

He lifted his head from her lap and looked at her with teary eyes. She too was having slight tears in her eyes. She wiped his tears and kissed his face.

Hassena (determined)- Hum aapse vada karte hai Anubhav, ki uss Preeti ko jail nahi bhijwaya na toh ham bhi SHO Hassena Mallik nahi.

Anubhav (taking her hand and Kissing it)- Hume aapke upar pura Bharosa hai.

Hassena smiled.

* * *

After some time,

Maa- Kya hua Hai Hassena? Kyu bulaya hum sab ko?

Preeti- Ha mujhe bhi jaan na hai, ki kab Anubhav ka picha chod rahi ho, taki mujhe, uski real aur first wife ko uska hak vapas mil sake?

Karishma (angrily)- Dekho aapna muh band rakho tum...

Ammi- Karishma shant raho... Ha Hassena bolo...

Hassena nodded and walked towards Preeti. All fixed their gaze on Preeti.

Hassena (smiling)- Tumhe Anubhav ki patni ka hak chahiye na, toh thik hai diya hak.

All were shocked, Preeti too.

Karishma- Bhabhi yeh ka keh rahi hai aap?

Hassena- Hum jo bhi bol rahe hai soch samajh kar hi bol rahe hai Karishma. Isse Patni hone ka hak chahiye toh denge, lekin hamari ek shart hai. Tumhe yeh sabit karna hoga ki yeh bacchi Anubhav ki hai. DNA test karke.

Hearing DNA test, Preeti's face turned pale for a second but then returned to its formal expression.

Preeti (confidently)- Thik hai. I bet ki tumhara jo mere pati par bharosa haina, voh muh ke bal girega. Yeh bhi sabit hoga voh Hamari beti hai. Lekin uske baad hum jayenge Court. Anubhav ke upar case karenge, physical abuse ka, marital rape ka, mental torture ka, aur mujhe dhoka dene ka. Fir dekhte hai ki kya hota hai? (She smirked)

Hassena (fully confident)- Tumhe jo karna hai karo, lekin DNA test ke baad. (She smirked)

**************

Will be continued...

Pata hai do hi part the lekin, word count jyada ho gaya. 😅.

𝑼𝒏𝒊𝒒𝒖𝒆- 𝑺𝒉𝒐𝒓𝒕 𝑺𝒆𝒓𝒊𝒆𝒔, 𝑶𝑺, 𝑻𝑺Where stories live. Discover now