🌺 My Lost Love 5 ✓

453 67 21
                                    

Continued from previous part

"Aap dono?", Anubhav uttered in surprise.

Gautam took Anubhav's leave when both approached Anubhav. They were Hassena's parents.

Hassena's f- Ha hum dono, hume apni galti ka ehsaas ho Gaya hai beta! Lekin yeh sab thik nahi ho Raha hai. Aab hamari vajah se hamari nati ki jaan khatre mein hai (he said disappointed at himself)

Anubhav- Aaisa maat kahiye uncle. Abhi tak yeh pata nahi chal paya hai ki yeh sab kya hai. Hamare bacche ki halat hi aaisi hai ki iss mission ke baarein mein kuch bhi sunne ki halat mein nahi hai hum

Hassena's mother sat down beside him and put her hand over Anubhav's shoulder.

Hassena's m- sab thik ho jayega beta Allah par bharosa rakh voh Jo bhi Karega acha hi karega. Hume le chal Hassena ke paas.

Anubhav- Hum le chalte hai lekin aap log Anshul ki halat ke baarein mein please Hassena ko kuch maat batayiye. Unki khudki halat thik nahi hai, voh yeh sadma bardasht nahi kar payegi. (he pleaded and they agreed)

.
Hassena was adoring her child when her parents along with Anubhav entered the ward. Nalini was surprised seeing them so was Hassena. She silently left giving them some privacy.

Hassena- Ammi, abbu! Aap log yaha? (She was too shocked to say anything as Ammi caressed her cheek. Tears formed in mother daughter duo, Hassena Hugged her immediately)

Abbu- Mujhe maaf kar de meri bacchi bohot galat Kiya Maine tere saath. Ek mujrim ke saath nikah Tai kar diya maine. Maine kabhi socha bhi nahi tha Sameer aaisa niklega. Kya yahi vajah thi ki tu shaadi se bhag gayi?

Hassena broke the hug.

Hassena- Nahi abbu aapki galti nahi hai, insaan ko pehchane mein galti ho jaati hai kabhi kabhi par aapko guilty feel karne ki jarurat nahi hai. Hume pehle se hi pata tha ki Sameer ek mujrim hai aur hum jaan bujhkar usse shaadi ke liye raazi hue. (This information shocked all the three)

Anubhav came forward and held her hand.

Anubhav- Kya matlab?

Hassena- Darasal baat yeh hai ki kuch mahine pehle hume Sameer ke khilaf kuch saboot mile the, par itne saboot kaafi nahi the, hume uske khilaf aur saboot chahiye the. Kya kare voh soch hi rahe the tab tak Sameer ka rishta Aya hamare liye. Abbu ne uss rishte ke liye ha keh diya. Aur saboot milenge isiliye humne bhi ha keh diya.

Par musibat yeh ho gayi ki humne Anubhav ko bata Diya tha ki hum pregnant hai. Isiliye hume Anubhav se jhoot bolna pada ki humne aapne bacche ko gira Diya hai.

She smiled tearfully looking at Anubhav and then at sleeping Anshul. Anubhav kept his over hers to comfort her.

Hassena- Apka Dil todna pada hume Anubhav. Kya kare Desh ke liye hamara Jo farz hai uske khatir hume majboori mein aapka Dil todna pata.... Hum saboot dhund hi rahe the lekin humne kabhi socha bhi nahi tha ki Sameer nikah ki tareek itni jaldi Tai kar dega. Humara plan backfire hone ki vajah se hume nikah se bhagna pada.

Anubhav- Par ek baat samajh nahi ayi voh aapse shaadi karna kyu chahta tha?

Hassena- Darasal voh humse nikah karke hamare profession ka fayda uthana chahta tha. Isiliye toh najane kitni ladkiyon ke saath affair karne ke baad usne humse nikah karna munasib samjha.

Anubhav- Aap itne mahine thi kaha?

Hassena- Apni ek saheli ke ghar Delhi mein. Humne vahi apne bacche ko jamn diya lekin jab hume pata laga ki Sameer ke admi hamare piche pade hai hume vaha se bhagna pada. Pregnancy mein complications hone ke Karan hum jyada kuch thund bhi nahi paye.

𝑼𝒏𝒊𝒒𝒖𝒆- 𝑺𝒉𝒐𝒓𝒕 𝑺𝒆𝒓𝒊𝒆𝒔, 𝑶𝑺, 𝑻𝑺Where stories live. Discover now