Married?

1.2K 153 91
                                    

A Few hours later

AS-Haseena kaisi hai doctor hai?

Doctor-woh ab thik hai abhi antihistamine diya hai jiski wajah se unhe relax milega allergy se....

AS-waise pata chala unhe kis cheej ki allergy hai?

Doctor-Mashroom se, aapki wife ko pata toh hai, unhone hi hosh mein aane par hume bataya...

AS-woh mehmaan hai hamari....

Doctor-oh! dhyan rakhiyega unka kyunki ek do din unhe problem ho shayad...

AS-ji....hum mil sakte hai unse...(he asked).

Doctor-bilkul....(he left).

Anubhav enters the patient room where Haseena is. She smiles blinking her eyelashes, seeing him angry.

Haseena-aap hume dante usse pehle hi hum bata rahe hai ki humne mana kiya tha pizza mein mashroom daalne se par pata nhi kaise galat order de gaye hume....(she said with an innocent face)

Anubhav-aapko dikhai nhi diya kya ki use mashroom pada hai?

Haseena-woh hum movie dekhne mein busy the aur pehle wala pizza normal tha isliye nhi dekha.....

Anubhav-aapki ek laparvahi ki wajah se aaj aapki jaan sakti thi par aapko kya farak padta kyunki aapko kuch hua toh aapke gharwale hume sunkar jayenge....(he scolded her angrily).

Haseena-aisa kuch nhi hoga aur aapne bacha liya na hume toh phir kyu tension le rahe hai....

Anubhav-aaj bacha liya lekin kal ka kya, kyunki jis hisab se musibatein aapse chumbak ki tarah chipakti hai, agli wali aati hi hogi...(he said tauntingly).

Haseena-aisa kuch nhi aur  hum aapko bata de ki humne aapko aawaz dene ki koshish ki par hamari aawaz hi nikal pa rahi thi aur isliye ghar ka saman giraya taki uski aawaz se bhi aap aa sake par aap aaye hi nhi....(she said with a grumpy face).

Anubhav-cushion aur baratano ki aawaz se hume kaise pata chalega ki aap kisi musibat mein aur ek baat bataiye ki kaun se cushion se itni tez aawaz hoti hai jo hamare room tak pahuch sake....

Haseena-us time hamara dimag band ho chuka tha jo samjh aaya woh kiya aur ab chhodiye yeh sab baatein aur ghar chaliye, maa Baba aane wale honge....

Anubhav-ab aapko hamare ghar jane ki avshyakta nhi hai kyunki hum aapke chachaji ko bula rahe hai aapko le jane ke liye...(he said with a smile).

Haseena(shocked)-kyaaaa.... ???

Anubhav-ji...

Haseena-par kyu?

Anubhav-kyunki hum nhi chahte ki aapko kuch ho jiska dosh hamare parivaar par aa jaye, isliye aap unse miliye aur uske baad agar aapke chacha ji ne permission di toh aap hamare ghar chal sakti hai....

Haseena-aapko humse dikkat hai toh bol dijiye hum chale jayenge yahan se, kam se kam kahin aur shanti se rahenge....(angrily).

Anubhav-aapki jankari ke liye bata de ki humne aapko kabhi aagya nhi di hai, aap hamare ghar mein sirf maa Baba ki wajah se hai.....

Haseena-aap....(she stopped as she noticed a nurse).

Nurse-sir aap yeh dawaiyan le aaiye...(she said to Anubhav).

Anubhav-ji....(he sees Haseena and then walks towards the dispensary).

After half an hour he enters the room but does not find Haseena in the room.

Anubhav-yeh kahan chali gyi...(worried).

Anubhav-Haseena...aap andar hai kya...(he knocked on the bathroom door).

The Shooting Star ✔Where stories live. Discover now