The Distance

1K 175 71
                                    

Note- flashback scenes in italic font

His sleep was broken when he felt the warm air around his throat. He opens his eyes and sees Haseena is sleeping while hugging him. In the last one month they shared the bed but she never did, but why is she sleeping by clinging to him today, suddenly his mind asked a question.

He slowly took her hand off his waist and backed away from her.

Anubhav(in mind)-jab se court se aaye tab se yeh aisa ajeeb vyvhaar kyu kar rahi hai...kahin maa Baba ki baat sach toh nhi hai na...(tensed).

A fews days later....

Haseena-Hero...!

Anubhav-Anubhav Singh naam hai hamara, dobara hume is upnaam se bulane ki koshish mat karna....(he said rudely).

Haseena and maa Baba looked at him surprise.

Maa-Anu Tu thik hai na?

Anubhav- ji maa....(he replied after gulping the water).

Baba-toh Haseena se aise baat kyu kar rahe ho aaj kal?

Anubhav-inse hum baat kar rahe hai wahi bahut hai inke liye....(he said, glaring Haseena while she was unknown from his reasons).

Haseena-par humne kiya kya aur aapko achanak hua kya hai, pichle das din se aise behave kyu kar rahe jaise mano humne kitna bada crime kar diya ho...

Anubhav-maa hum office ja rahe hai aur apni ladli beti se kah dijiye ki apne business mein dhyan de aur ab toh sari problem khatm ho chuki hai goh jitni jald ho sake hamare ghar se chali jaye....(she smile sarcastically at him).

Maa-Anu bhool mat biwi hai teri....(angry).

Anubhav- bhoolte tab na jab hume yaad hota ki yeh hamari biwi hai....yeh hamari biwi sirf duniya ke nazaro mein hai, par hamare liye sirf ek mehmaan....

Baba-shaadi tumne khud apni marzi se ki hai isliye baar baar hamari bahu ko mehmaan bolna band karo, samjhe....(scolded him).

Anubhav-maaf kariyega Baba par aapki bahu hai sirf hamare ghar mein kuch mahine ki mehmaan....kyunki inhone khud kaha tha ki jaise hi case khatm hoga yeh jald se jald hume talaak dengi aur yeh ghar chhod kar jayengi (looking at Haseena)...bhooli toh nhi hai na Mrs. Haseena...(he said with a sarcastic smirk).

Baba and Maa looked at each other in shock.

Haseena-woh kya hai na Hero, jab hamari ammi zinda thi tab woh hume roj baadam khilati thi isliye memory bahut acchi hai...tension mat lijiye jald se jald aapko is rishte se aazad kar denge....(she said with a smile).

Anubhav-ehsaan rahega hum par....(he said and went to his room).

Maa-Haseena yeh kya hai...(angrily).

Haseena-sach hai maa, humne Hero se kaha tha aur jab Hero ko humse problem hai toh hum sach mein aaj hi is ghar se chale jayenge....aur unki zindagi se bhi....(calmly).

Baba-tumhe nhi lagta tum uske gusse aur narazgi ki saza apne maa Baba ko dene ka soch rahi ho....

Haseena-nhi Baba aisa nhi hai, hamara bas chale toh hum kabhi aap dono ko chhod kar na jaye par shayad hamari kismat aur Hero dono ko pasand nhi hai isliye hum chale jayenge...

Maa-tum dono ka rishta itna nazuk hai Haseena ki is waqt jaldbaazi aur gusse mein liya gya yeh faisla tum dono ke beech hamesha ke liye dooriyan la dega....(worriedly).

Haseena-dooriyan toh tab aati na maa jab kabhi nazdikiyaan hoti rishte mein....aur hamare rishte mein sivay jimmedaari aur majboori ke alawa kuch nhi hai....(sadly).

The Shooting Star ✔Where stories live. Discover now