The Divorce Paper

1K 181 109
                                    

◦•●◉✿ TWO 𝗠𝗢𝗡𝗧𝗛 𝗟𝗔𝗧𝗘𝗥 ✿◉●•◦

Haseena's POV

"Do mahine ho gye hai hume ghar chhode huye, lagbhag har roj hum maa Baba se milne jata hai aur jis din hum nhi ja pate..maa Baba khud humse milne aa jate hai, par Hero ko dekhe huye mano saalon ho gye hai, aisa nhi hai ki woh ghar par nhi hote par jab hum jate hai toh woh khud ko room mein hi lock kar lete hai....kya nhi hai hamare is ghar mein...servants, aaram wali life par jo sukoon aur pyaar us ghar mein hai woh yahan is eet ki deewaron mein nhi ho sakta...na jane aisa kya gunah kar diya humne ki Hero ne hume yeh saza de di yeh jante huye bhi ki hum maa Baba ke pyaar ke liye kitna tarste hai..! "

Anubhav's POV

"Hume jald se jald kuch karna hoga warna Haseena ke liye pareshaani badhti jayegi...woh hume bhool kar kabhi apni zindagi mein aage nhi badh payengi...bas yeh mission khatm ho jaye hum dusre shahar mein chale jayenge taki Haseena Maa Baba se mil bhi sake aur humse door bhi rah sake...warna jitni baar hume dekhengi unhe utni hi takleef hogi is rishte se nikalne mein....!"

Black Petal Club (fictional), Mumbai

"Haseena chal yaar maza aayega...!" Her friend said while trying to drag her to the dance floor.

Haseena-nhi Diya hum tumhari request par club toh aa gye par yeh dance nhi hoga humse...(she denied politely).

Diya-yaar Haseena tum to USA mein rahi ho uske baad bhi yeh bol rahi ho....

Haseena-hamara mood nhi hai abhi...

Diya-mood nhi hai toh ban jayega bas vibes par dance karte jao aur sari tension ko bhool jao...(she said, giving her a glass).

Haseena-yeh kya hai?

Diya-tumhare mood ka intezaam, ek ghut mein pi jao...sari tension hi khatm....(she said, winking at her).

Haseena-nhi hum nhi....

Diya-Haseena forgot about your husband for now and enjoy your life....(she said to Haseena who is looking someone with angry eyes).

Diya looks at there where Haseena is looking and see a girl is drooling over Anubhav while he was lost in his own thoughts.

Diya-Haseena.....(she snapped her fingers in front of her).

Haseena-hum ghar ja rahe hai....(she said, looking at Anubhav).

Diya-Anubhav yahan isliye?

Haseena-nhi, hamara sardard kar raha hai....

Diya-kab tak aise rahogi Haseena, ek baar baat karke puchh kyu nhi leti ki woh kya behave kar raha hai aisa...

Haseena-kis hak se jakar puchhe...(she smile sarcastically).

Diya-jis hak se tum jealous ho rahi ho kisi aur ladki ko unhe ghurte huye dekh kar....

Haseena-hum jealous nhi ho rahe hai...(she said nervously).

Diya-mana itni purani dosti nhi hai hamari par tumhe itna toh jaan hi chuki hoon ki tumhari aankhen padh saku (Haseena turns her gaze), nazare churane se sach jhooth nhi ho jayege Haseena..agar pyaar hai toh bol do unse warna puri umar is baat ka pachhatava rah jayega ki ek baar koshish kar li hoti toh shayad bahot kuch badal jata....

Haseena-agar sach bol diya toh shayad ka pata nhi par us sach ke baad unka gussa hamare liye aur badhna tay hai...

Diya-toh gusse ke dar se puri umar aise hi rahogi..

The Shooting Star ✔Where stories live. Discover now