Aaina Sheheryar/ Part 5

5.1K 324 42
                                    

"Tumne ammi se batameezi kyu ki hai?" Sheheryar gritted out angrily making Aaina confused. She didn't particularly remember misbehaving with her mother in law since they had been quarreling quite a lot off late.

"Aap kya bol rahe hai? Main aapki ammi se batameezi kyu karungi?" His anger increased when he heard her. He took a deep breath as he remembered his mother sob into the phone an hour back. 

"Tumne ammi ko nahi bola ki apne kaam se kaam rakhe aur zyaada hamare ghar mein dhakal na dein? Kya tumne meri ammi ko yeh nahi bola ki yeh ghar unka nahi hai?" Aaina bit her lip as she remembered her conversation with her mother in law. She looked down and played with her fingers, not knowing what to say.

"Ab kuch bologi bhi? Ya saari raat laga deni hai tumne jawaab dene mein?" He held her chin and made her look at him, she gulped seeing his angry eyes.

"Wou aunty ne ghar ke saare mulaazimo ka number le rakha hai aur harr choti baat par mujhe call karke tokti rehti hai. Unhone kaha ki main aapka zara khayaal nahi rakhti kyuki nausheen ne unse shikayat ki main roz proper meals nahi banwati aapke liye." Sheheryar continued looking at her, urging her to tell him more.

"Mera yeh bilkul matlab nahi tha jab maine aunty ko bola ki yeh ghar sirf mera hai aur yahan mere rules chalenge. Main unka dil nahi dukhana chahti thi par unhone meri ammi se meri bohot shikayat ki hai, aaj se pehele aise kisine ammi ko mere khilaaf kuch nahi bola. Aunty aaj kal choti choti baato ka masla banati hai, pehele aisa nahi tha. Wou pehele bohot achi hua karti thi, I mean abhi bhi achi hai par typical saaso wala rawaiya hogaya hai. Hum saath nahi rehte aur unhe itni shikayat hai, pata nahi kya hota agar hum saath rehte." 

"Tou tumhe laga ki meri ammi se aisi batameezi karkay hisaab barabar karogi? Aaina, maine tumhe shaadi ke baad bataya tha ki tumhe mere gharwalo ki izzat karni hogi kyuki main batameezi nahi bardasht karunga, khaaskar apni ammi ke khilaf." She opened her mouth and shut it, wondering why was Sheheryar being so harsh while talking. 

"Aur wou mere saath batameezi kar sakte hai? Kya main aapki family mein nahi aati? Sheheryar maine aapki ammi se maafi bhi maangi, unhe itne dramay karne ki koi zarurat nahi thi. I didn't mean anything that I said, hamesha hi wou kuch na kuch bolti hai aur main chup chaap sun leti hoon. Aap yeh mat samajhye ki main aapki ammi ki izzat nahi karti, par main chup rehne walo mein se nahi hoon. Agar wou batameezi karti hai tou unhe bhi aage ke jawaab ke liye tayaar rehna chahiye." He looked at her as though she had lost her mind. 

"Aaina apni hadd paar mat karo. Ammi hai wou meri, unka haq banta hai iss ghar par. Unka decision tha ki hum alag reh par iska yeh matlab nahi hai ki wou decisions nahi le sakti iss ghar mein. Unhone kuch galat tou kaha nahi waise, tum proper meals nahi banwati. Harr roz kuch na kuch bahar se magwaati hou aur ghar par bhi ajeeb khaaney pakwati hou. Agar wou humari health ke baare mein care karti hai tou ismein burai kya hai?" He literally yelled the last part, making her flinch.

"Aur jo wou mujhe bacchay ke liye taane maarti hai uska kya? Unhe tou yeh nahi pata na ki humne apni marriage consummate hi nahi ki hai. Jab jab phone karti hai, tab tab bolti rehti ki kiska baccha hua aur kaun pregnant hai, mujhe nahi sunna yeh sab. Behtar yeh hoga ki aap apni ammi ko bata dein ki hamara aisa rishta hi nahi hai ki hum unhe pota ya poti de sakein. Aapne pehele hi sabko dinner par warn kiya tha iss topic ke baare mein par wou yeh baat nahi samajhti, meri ammi ko bolti rehti hai ki main unhe ek pota ya poti bhi nahi de sakti. Mujhe nahi padi ki wou ghar ke saath kya karti hai par wou mujhe baccha na hone ke taane nahi de sakti." She said the last part with so much hatred towards her mother in law that it made Sheheryar much more furious than he already was. 

"Tum ek number ki jhooti hou Aaina, meri ammi aisa bol hi nahi sakti. Tum apne thoughts meri ammi ka naam lekar mat bolo. Tumhe bas harr time ya tou pyaar muhabbat ki baate karni hoti hai ya tou yeh shaadi consummation ki baat. Tumhe main kitni baar samjhao ki jab tak main tumse pyaar nahi karta, tab tak mujhe physical relationship nahi start karna. Main nahi chahta ki tum physical relationship ko pyaar samajh baitho. Aur haan agar tum issi tarah meri ammi se batameeziya karti rahogi tou mera tumse pyaar karna tou bhool hi jaao." Aaina teared up at this and narrowed her eyes at him.

IshqWhere stories live. Discover now