Arzoo (Pov) Continue... chepter 2

5 2 0
                                    

جائے کس کی تلاش ان کی آنکھوں میں تھیآرزو کے مسافر بھٹکتے رہےجتنا بھی وہ چلے اتنے بچھ گیے راہ میں فاسلے

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

جائے کس کی تلاش ان کی آنکھوں میں تھی
آرزو کے مسافر بھٹکتے رہے
جتنا بھی وہ چلے اتنے بچھ گیے راہ میں فاسلے

Arzoo POV

meri ammi nadia baigum buhat hi naram mizaj ki khatoon hain aur abbu buhat hi khush akhlaq admi hain aur hum say be pannah pyaar karte hain mere abbu bashir shah ne hum may kabhi b farq nai kiya k mere bhai aur mujhe kabhi mehsoos hi hone nahi  diya k may larki hon ya woh larke hain mujhe apni life apne tareeqe say guzarne ki purri azadi hai may kabhi kabhi khud ko buhat khush naseeb samajhti hon meri tarbiyat may abbu ammi ne koi kami nai anne di Islam ke dairee may reh ker apni zarooriyaat puri kar rahi hon aaj tak kisi baat per mujh pe rok tok nai hoi

aur mere bhai b buhat khush akhlaq aur mujh say buhat pyaar karte hain mere bhai baqi ghar k mardon say buhat alag hain aur larka larki k farq ko woh b  pasand  nahi karte.

na k mere bare chacha aur un ke bary baite ki tarhan jo London  may reh kar b un ki such may zara sa b farq nahi aya mere bary chacha ke 2 baite hain aik Alam Shah Zafar aur dusra Waseem Shah Zafar Alam 35 saal ke hain aur Waseem 25 k jo k aaj kal London may engineering kar raha hai un ki ammi Naseen Shah Zafar buhat hi mutaqabbir aur maghroor aurat hain baatain kar rahi hon to lagta hai zeher ugal rahi hain kisi say nai banti us ki apne bache b un say baat karna pasand nai karte aur bary to khamosh ho gaye hain q k woh ab un ko pata hai k woh badalne wali nai hain aur chote to izzat ki wajah say  hi khamosh hain q k bari  hain to kuch keh nai sakte jab b kabhi hum gawon jaate hain aksar ammi pe tanzz karti hain ammi to un ko buhat buri lagti hain q k agar ammi ki shadi abbu say na hoti to aaj un ki apni behen un ke nikah may hoti.

iss liye humari family to un ko dushman lagti hain un ki ankhon say pata chalta hai k un ko humara wahan jaana kitna bura lagta hai abbu ko ammi pasand na ati to  abbu ki bachpan may un ki behen say mangni ho gayi thi to woh hi phir abbu ki wife banti per kismat ka likha koi nai badal sakta per un ko kon samjhae k yeh taqdeer may tha iss may meri ammi ka koi hath nai hai.
woh koi muqa nai chorti k ammi ko nicha dikha de per ammi khamosh rehti hain q k ammi kehti hain k kahin na kahin is may un ka b hath hai . per choti chachi buhat achi hain Noreen Jawaid , jawaid chacho jo buhat hi khush basdh aur naram mizaj k admi hain khud b muskurate hain ur dosron ko b khush rakhte hain jahan jate hain khushiyan bekherte hain isi tarhan un ki baigum b hai meri 22 saala zindagi may may nay unhe kabhi kisi say buri baat yah lehja istimal karte nahi daikha humare jaane per humara buhat khayal rakhti hain ammi aur un ki buhat banti hain aisaa jaise behne hon

un ke 3 bache hain un ki bary baiti mere humumar hain noor jawaid shah FA karne k bad us ko aur pardhne ki ijazat nai thi ithna b woh abbu ke zoor daine per hi pari warna yeh b na kar pati to age nai pardh saki aik saal pehle hi humare gawon k rishtedaron may us ki shadi ho gayi hai meri aur noor ki buaht banti hai jaise ammi aur chachi ki tarhan .

❤️آرزو ❤️Where stories live. Discover now