"Arzoo chapter 9"

0 1 2
                                    

Alam Sha zafar Durrani (P.O.V)

Aaj  buhat busy din hai q k aaj gawon may shadi hai aur dusri taraf mujhe Islamabad  b jana hai meeting ke silsily may to dono ko miss nai kar sakta q k dono buhat zaroori hain so may jaldi say ready ho kar room say nikla aur dining room puhancha jahan is waqt sirf ammi jaan aur chachi jaan hi hain q k un ko nashte ka intezaam diakhna hota hai jo abhi kitchen may mulazmon ko kaam samjha rahe hain 

may bhi chupchaap dining room may kar chair may baith gaya aur  shaad ahmad raza mere business partner ko call ki us say aaj ke meeting ke bare may aur mere jaane ke bary may  bataya isi dawran dadi jan bhi a gayi aur un ke peche babajan bhi a gaye  aur yun may ne phone band kar ke un ko salam kiya  jis par dadi nay pyaar say sar per hath phera aur salam ka jawab diya  dadi ko chair may bitha kar may b wapas apni chair ko wapas a kar bath gaya 

alam aap aaj dining room may jaldi nai a gaye dadi ne pucha to mere jagah babajan ne jawab diya ammi aaj alam ko islamabad jaana hi kaam ke silsily may is liye 

aur dadi asal may aaj haider ke haan shadi pe bhi jaana hai to may ne sucha q na may aaj islamabad jane say pehle un ko mil lon q k k wapasi may deer ho jayegi may ne jawab diya to dadi ne b acha kaha 

itne may chachi jaan aur ammi jaan bhi a gayi nashata le ke aur yun hum ne nashta karna start kiya 

per dadi kuch such rahi thi k bol pari          Alam baita.........

may ne nashta karte karte sar utha kar kaha ji dadi jaan kiya howa

woh may such rahi thi k kal jo baat humari howi thi tum sure ho us bare may  main baat kar lon aaj nadia aur bashir say 

kon si baat dadi may jaan bujh ke anjaan ban gaya 

babajaan b question mark face pe liye daikh rahe the aur bole kiya baat ammi jaan 

 is per ammi jaan aur chahi jaan be hairan sa dadi jaan ko daikh rahe the aur may is ka khoob maza le raha tha aur dil hi dil may hass b raha tha

dadi jaan ne ghussay say mujhe daikha aur phir babajaan ki taraf muhatib ho kar boli yahi k ab alam aur arzoo ki shadi karni chahiye alam tum bhool gaye ahmaq kahin ke.....

ohh acha aap is bare may baat kar rahin hain sorry dadi may to bhool hi gaya tha haan aap aaj un say baat kar lian mujhe koi atiraaz nai jiss per ammi jaan jaan to jaise nili pili ho gayi aur boli ammi kiya baat kar rahi hain aap ko pata hai k alam ne us waqt saaf inkar kar diya tha woh nai manege ab 

is baat per mujhe b ghussa a gaya aur  may ne ammi ko ghusse ki naigh say daikha aur kaha aap itne yaqeen say kaise keh sakti hain k bashir chahu nahi manege  .

ammi zara si sehmi howi boli nai woh.... woh may is liye keh rahi thi ke iss baat ko waise b buhat waqt hogaya hai aur unho nay inkaar kiya to rishto may darar a jayegi 

ohh to iss liye humay baat hi nai karni chahiye aap ke hayal may may ne table pe hath mar kar kaha jiss per sub sehem say gaye 

may to sirf keh rahi thi alam is may itne ghusse may aane wali kiya baat hai ammi jaan  boli 

alam baita ... dadi boli Alam ghussa choro may ne kaha na may baat karongi aur is may  faisla mera hoga koi mujhe inkaar nahi kar sakta aur inkaar ki koi baat hi nai hai aisa to nai k unhon nay arzoo ke liye koi aur chun rakha hai aur na hi aisi koi baat howi hai jiss say lagay k woh kisi aur ko arzoo ke liye pasand kar rakhe hain

dadi ki baat sun k mujhe zara sakoon mila aur mera ghussa kum howa itne may chacha jaan b a gaye aur andar aate hi bole bhai kiya baat ho rahi hai sub itne sunjeeda q hain aur dadi ki left chair may baith gaye 

yahi kehna tha k chachi jaan ne khushi say baat shuru ki Alam ki shadi ki baat ho rahi aap ko pata hai ammi jaan aaj nadia aur bhashir bahi saab say baat karne wale hain jis per chacha jaan b hairani say sub ko daikne lage ACHA..............

such may ..........sub nay khushi say sar hilaya siwaye ammi jaan ke jo table pe ankhe jammaye baithi thi jaise is waqt maiz say zyada kuch intresting room may kuch ho hi na ...

well..... chacha jaan kuch dair ko ruke aur phir kaha yeh to buhat khushi ki baat hai may buhat khush hon Alam tum nay bhuat sahi faisla kiya hai dadi aur chacha jaan aisi baaton may lag gaye aur may arzoo ke khayalon may gum hogaya  us ka masoom cute sa face us ki gulabi rose ki pankhari jaise honton per woh khoobsoorat sai muskurahat sub ankhon ke samne tairnay lag gaya

itnay may chacha jaan  nay Kaha alam yeh sub howa kaise jitna mujhe yaad hai tum nay to arzoo say shadi karnay say inkar kar diya tha to ab achanak say kaise ..

may ne thakan say chehere per hath phaira aur ammi jaan ko daikha jo mujhe hi daikh rahi thi aur phir chacha jaan ko daikhte howe kaha may nay inkar nahi kiya tha aap ko to pata hai us waqt may london jaa raha tha us waqt may zimidari laynay ki halat may nahi tha mujhe study karni thi pehle apna carear set karna tha aur arzoo b to choti thi  per ab jub arzoo b apni study complete kar chuki hai to i think it's time ....

but meri ghalti yeh thi k itne saal yeh baat dohrai b nahi gayi iss liye shayad sub bhool gaye k arzoo aur meri baat howi thi per ab yeh baat honi chahiye ab mujhe nai lagta is may koi deer karni chahiye

hmmm..... chacha jaan meri baat ghor say sun rahe the kaha 

Acha... phir chalo achi baat hai mujhe khushi hai baita k aap akhir shadi kar rahe hain buhat mubarak ho aap ko bhai jaan aur bhabi aap ko b mubarak ho 

jawaid buhat shukriya aap ko bhi mubarak ho aap nay sahi kaha akhir yeh maan to gaya mujhe to lagta tha k yeh kabhi shadi hi nai karega babajaan bolly 

haan bhai mujhe b yahi lagta tha dadi jaan nay kaha aur sub hanss pare.. sub ke chehron per buhat waqt bad khushi ke nishaan the jise daikh ker mere dil ko sakoon mila  phir dadi jaan ne kaha isi liye aaj bashir jub ayega may baat karne wali hon aaj us say shadi ki date fix kar ke hi jaane dongi wapas usay kiya hayal hai zafar theek hai na...

ji ammi jaan mera bhi yahi hayal hai ab deer kaisi shadi jitni jaldi ho jaye behter hai baat karte howe babajaan ne sub ko aik nazar daikha jis per sub nay khami bhari aur yun may wahan say nikal gaya  shadi wale ghar ke liye  aur wahan kuch waqt guzarnay ke bad may Islamabad ke liye nikal gaya 

rasta sara isi soch may aur muskurate howe guzar gaya k arzoo ko kasia lagega yeh new sun ke

 kiya woh b meri tarhan khushi say pagal hogi hahaha..... nai woh to dar ke mare peeli per jayegi i'm sure q k usay mujh say dar hi itna lagta hai 

par aik baat ka dar b lag raha tha k kahin chachaji aur chachi ji kahin such may inkar na kar dain dadi jaan ki baat to nai taal sakte woh itna to may janta hon is pe thora mutmain to hogaya per phir b dil may kahin thori si baychaini si rahi pata nai q khuda khair kare ........



❤️آرزو ❤️Where stories live. Discover now