Arzoo Chapter 1

3 0 0
                                    

(Arzoo) :POV

Oups ! Cette image n'est pas conforme à nos directives de contenu. Afin de continuer la publication, veuillez la retirer ou télécharger une autre image.

(Arzoo) :POV

phir say wahi routine humari subah to aik hi jaisi hoti hai nimaz padho phir tilawat karo aur us k bad kuch dair nap lo or phir uth k university k liye tayar ho kyun k humay 8 baje ghar say nikalna hota hai tayar ho kar may ammi ka kitchen may hath batati hon q k ghar may sirf ammi aur may hi aurtain hain aik nokrani b hai per woh din may dair say ati hai aksar humare ghar say janne k bad aur hamarae aane tak woh chali jati hain is liya zyada burdon hum per nai aata per subah k waqt ammi akili hoti hain is liye may un ka nashta banane may hath batati hon aur us k bad may b nikal jati hon university k liye abu office aur humaza collage k liye.

asal may hum pathan hain is liye humare haan rivaj hai k ghar k kaam aurtoon ka kaam hai aur business chalana yah job karna larkon ka yahan per aurtoon ko itni khass ahmiyat nai di jati. na un ki study per koi khass tawajah daita hai .larki yahan k logon ko bouj lagti hai aur lakon ko is k bilkul ullat ahmiyat di jati hai un ke paida hone per jashan manaye jaate hain mithaiyan banti jaati hain kyun k un ko khush kismati samjaha jata hai aur larki ko badkismati . q aaj tak may nai jaan saki k agar kisi ghar may larki paida ho to log mubarak baat k bajae dukh ka izhar q karte hain.

boys ka rehen sehen larkiyon say buhat hi alag hai un ko sub say acha daine ki koshish ki jaati hai un ki study per zoor diya jaata hai aur girls matric pass ho kafi hai may b larki hon humare b yahi rewaj hain yahan log zyada tar aik saath rehte hain humari b qafi bari family hai per hum alag rehte hain baqi sub say.
mere 2 bare uncle hain mere abbu sub say chote hain mere bare chacha ghar k sarbarah the 2 saal pehle tak ab un ke bare baite hain jo k London say higher education k liye gaye the   aur ab wapas a gaye hain education complete hone k bad aur ab sari bhag door un k hath may hai hamari family buhat sadiyon say is ilaqy ke sardar hain yeh jagah q k humari abaoajdad ki hai isi liye un ka is per raaj hai yahan ke sare log un ke under rehte hain kaam karte hain.
Yeh log un ki pichli naslon say humare hidmatgaar hain aur humari buhat izzat karte hain un ki rozgar ka aik hum hi zariya hain yahan koi b masla ho humare sardar k mashware ke bina hal nai karte yahan sub ko pata hai k yahan humare ilawa koi b itni hasiyat nai rakhta hai khud koi decision  le sakta hai jo b sardar hota hai wahi decision le sakta hai aur us ka jo b fasla ho wahi mana jata hai

aaj kal q k mere chacha k bare baite hain sardar Alam Shah Zafar Durrani jaise naam sun k khoof hone lagta hai buhat hi arrogent bande hai aur byrehem b.
mujhe to un say buhat der lagta hai woh buhat serious admi hain woh chacha zafar say buhat zyada daraony hain gawon may koi b un ke samne sar nai utha sakta un say baat karna jaise jahad pe jaana ho ;) un ki baat pathar ki lakeer samjhi jati hai un ka kiya faisla woh khud b nai badal sakta gawon may koi b un ki marzi k bina kuch nai kar sakta or kar le to ALLAH hi bachaye unhe

shukar hai mere abbu ammi aise nai hain ammi say sadi k bad ammi abbu peshawer shift ho gaye aur abbu peshwer may family business sambhal rahe hain aur tab say hum b yahin paida huwe aur palle barhe mere 2 bhai hain may sub say bari hon.
(Arzoo Bashir Shah Durrani) 22 saal ki hon mere bad me bhai
(ameen Bashir Shah Durrani) 20 saal ke hain aur londen may hain wahi higher study k liye gaye hain q k yeh humare khandan ka  riwaj hai k humare larke higher study k liye londen jaate hain sub mard  wahi say pardh k aye hain.

mere chote bhai 19 saal ka hai (Humza bashir shah durrani) jo k FS.C kar raha hai aur peshawer may mere sath hi collage jata hai meri university k pass hi us ka collage hai may m.s kar rahi hon aur final year may hon last semester hai hum zayada ter chotiyon may gawon jate jub choite the to buhat jaate the per jub bary howe to sub apni life may busy ho gaye aur yon hum buhat kum wahan jaane lage may last time shayad 2,3 mounth pehle gayi thi us ka bad nai gayi .
aur yahi wajah hai humari perwarish humare cousins say buhat differet howi hai q k gawon aur peshawer k life style may  buhat farq hai aur q k mere ammi abu b baqi sub say alag hain to hum b alag hain un may  aur hum  may zameen asman ka farq hai .

asal may ammi abbu nay pasand say shadi ki thi mere abbu islamabad may kuch waqt rahe hain business k silsile may aur ammi wahan university may pardh rahi thi aur aik din mulaqat hogayi jub abbu kisi kaam k silsile may university gaye the aur yun dono ko aik dusre say pyaar ho gaya aur shadi kar li halann k mere dada is k saht khelaf the per q k mere abbu sub say chote or ladle the to un ki baat manni pardhi un ko phir ammi q k sheher may palli bardhi thi un ko gawon ka mahol pasand nai aya to abbu un ko le k peshawer shift ho gaye ghar may koi b is faisle par khush nai tha per kiya karte abbu k aage hatyaar dalne pardhe aur yun hum alag ho gaye

............................................................................................

1st chapter yahan tak hi see you gays soon bye .

❤️آرزو ❤️Où les histoires vivent. Découvrez maintenant