ARZOO CHAPTER 4

4 1 0
                                    

Alam Shah Zafar Durrani

Zindagi may  koi insan jub tak powerful na ho log ussay paon k niche kuchal kar agge bar jate hain or koi b puchne wala nai hota jo ussay bacha sake

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

Zindagi may koi insan jub tak powerful na ho log ussay paon k niche kuchal kar agge bar jate hain or koi b puchne wala nai hota jo ussay bacha sake . may nay life may yeh cheez buhat kum umar may hi sekh li thi mere dada Dilawer Shah Durrani ne bachpan hi say mujhe aik powerful admi hone ki ahmiyat sekhai may ne bachpan hi say jo chaha woh mila jis ki wajah say agar may kuch chahon to kuch b ho jaye may apni jaan laga leta hon per ussay hasil kiye bina sakoon ka sans nai laita may buhat hi  ziddi hon log mera naam sun k kamp jate hain aisa asar hai mera un per mera naam hi kafi hai logon k paseenay chorwany k liye aur kuch meri  position hi kuch aisi hai hai yahan may apny gawon ka sardaar , wadeera, qazi jo bhi samjho hon aur yahan mujh say poche bina aik patta b nai hil sakta kisi ki himmat nai hud say kuch b karne ki. yahan k logon ki nazron main may aik pather dil, bay rehem, hud gharz, insani shakal may aik beast hon jo kisi ko b nai bahshta .

is gawon may mera kaha pather ki lakeer hai koi mera faisla aaj tak na badal saka hai aur na hi agge aisa hoga kyun k may kisi k liye badalne wala nahi mujhe logon ki ankhon may apne liye khof daikh k sakoon milta hai i feel powerful yeh aik nasha hai jo char ke utarta buhat mushkil say hai aur shayad kabhi nai uterta yeh  keh lo to ghalat nai ho ga may kuch b keh lon ghalat hi ho per mare samne kisi ki ankh utha kar baat karne ki himat nai hoti aur yahi baat mujhe maghror banati hai aur may humesha aisa hi rehna chahta hon aaj tak meri takkar ka koi paida nai howa aur ainda b koi aisa paida ho may hone nai donga .

may apne ghar may sub say bara baita hon aur isi wajah say mujhe ghar aur gawon dono ki sardari mili hai mujhe bachpan hi say mere dada ne is din k liye train kiya tha aik to may bara hon ghar may sub puton say aur dusra may bachpan hi say alag mizaj ka hon mujhe zyada baat karna pasand nahi isi wajah say may zara sanjeeda rehta tha aur ab bhi hon may apni dadi Ruqaya aur dada Dilawer dono ka ladla pota raha hon aur ab q k may yahan kar sarbarah hon koi nahi talta chahe kisi ko meri baat achi lage yah buri .

may is waqt aik jirgy may baitha hon aik faisla karna hai gawon may aur q k sarbarah may hon to faisla mujhe karna hai yeh qawon humara hai yahan ki zameen, baghat, sub kuch huamary hai yahan tak k is gawon ka koi konna aisa nahi jo humara na ho yeh humara abayi qawon hai yahan ka qanon hum hai aur yahan k log hamare liye kaam karte hain aur isis wajah say yahan reh sakte hain yahan ke sub log humare liye kaam karte hain aur humare buhat wafadar hain is gawon may humari marzi k bina koi na a sakta hai aur na ja sakta hai humare banday pure gawon may phele howe hain jo har waqt nazar rakhe howe hote hain k koi khatra aur koi ghaddar ya koi dushman kuch b ho to jaldi say humay ittila karte hain aur agge kya karna ho wo hum decside karte hain asaan lafzon may hum yahan k hukamraan aur badshah hain aur yahan ka qanon hum banate hain Jalala Mardan aur swat k darmyan may ata hai is gawon ki abadi na hi kum aur na hi zyada hai yahan k log simple aur zayada tar uneducated hain.

too may kahan tha?....... haan may aik jirgay may baitha hon q k faisla to mujhe hi karna hai is liye mera yahan hona lazmi hai may akila nai hon mere sath mere babajan aur chacha jan b mojod hain yahan jirga humary baithak may hai is waqt yahan humary ilawa 6-7 log gawon wale hain jin may aik admi 45-50 year ka hoga humare zameeno may kaam karta hai dawood humare zameeno may bachpan say hi kaam karta a raha hai pehle in k  walid the un ke bad ab yeh kaam karta hai aur us ke baad in ka baith jo k abhi chota hai hoga q k yahan ka nizaam aise hi chalta hai

khair un ki baiti jo shadi k umar ko a gayi hai us ka rishta unhon ne apnay aik reshtedar k haan kiya tha jo k isi gawon may humare liye kaam karte hain yeh rishta bachpan may hi in bachon ka ta howa tha aur ab jub shadi ka waqt a gaya hai to larki nay shadi say inkar kar diya hai q k usay koi aur pasand hai larki q k matric pass hai aur usay kisi parelikhe say pyar hogaya hai aur qk jis larke say is ki shadi ty howi hai woh unpar hai woh shadi nahi karna chahti 

ab yeh baat larky k ghar tak puhanch gayi hai aur aisi baatain yahan buhat nazuk masla samajhte hain log... isi liye larky wale ab isay aana ka masla samajhte hain aur apni bezzati ka badla lena chahte hain aur isi baat ka faisla karne yeh log mere pass aye hain aur iss waqt humare baithak may jamma hain sub .

mujhe aisi larkiyan buhat buri lagti hain ....... nahi mujhe nafarat hai hai aisi lakiyon say jo apny handan ki izzat ki parwa nahi karti aaj phir aik baap sar jukaye khara hai q k us ki baiti nay izzat ki parwa kiye bina ishq farma rahi hai ..may khamoshi say un ko sun raha hon larki ka baap larki k zid agge majbor ho kar mangni torna chahta hai woh aisa na b kare to larka ab us say shadi nai karna chahta aisi larki ko kon apnana chahe ga jo apna muon kisi k sath kala kar ayi ho aur larki ki usi larke say shadi ki ijazat mil jaye q k woh apni baiti ki khushiyan chahta hai laiken andar hi andar usay b pata hai k mera faisla kiya hoga akhir woh b isi gawon ka bashinda hai koi naya to nahi jo yahan ke rules say nawakif ho

aur usay kampte khara daikh kar mujhe us per tars nahi a raha q k kahin na kahin is may us ki b ghalti hai itni dheel q di us nay larki ko aisa to hona hi tha dusri taraf larke ka baap hai jo ghusse may lal howa ja raha hai woh apni beezati ka badla chahta hai aur larki ho kari saza daina chahta hai khair woh haq per b hai yahan k rules ke mutabiq larki ko aur us larke ko jo jaante howe k larki kisi ki mangetar hai phir b ishq rachaya moot ki saza di jaye gi aur yeh rule aaj ka nahi balke sadiyon say hi hai jo koi chah k b badal nai sakta mere ilawa per may q badlon aaj agar may ne in ko chor diya to kaal ko 4 aur khare honge jo may bilkul bardasht nahi karonga .

may abhi yahi such raha tha ka kisi ne mere kandhe ko halka sa tap tapaya aur yun may soch say nukal kar haqiqat ki dunya may wapas a gaya mere chachajan jo k mere kande par hatrh rakhe huwe mujhe ishare say bataya k may kiya chahta hon un ki baat samajh kar may ne gala saaf kiya aur sub ko mari taraf muhatib kiya larki ka baap dara dara mujhe daikh raha tha q k usay anjam pata tha k kiya hone wala hai Murad jo larke ka baap hai jo kuch deer pehle tak gusse say cheeh raha tha khamosh ho ka meri taraf mutawaja ho gaya us ka baita b sath baitha howa tha per woh khamosh tha usay daikh lag raha tha k woh b iss baat per buhat gussa hai per bola kuch nahi .

larki ka baap jo abhi tak khamosh sar jukaye khara tha dar dar k mujh say mukhatib howa ..... daikhiye Shah sahib meri baiti nay buhat ghalat kaam kiya hai aur usay saza may b daina chahta hon per woh buhat masom aur kum umar hai is umar may mujh say aik jawan awlad ki lash is kandon pe nahi utha sakta aisa kahte hi woh zaar o katar roo para jis per larke ka baap murad apni jaga say gusse may uth khara howa

 daikhiye dawood sahab .... is qisam ki harkatain shareef aur masoom larkiyan nahi karti to aisa na hi kaho to behter hoga dawood murad ki baat sun k phir say ro pare khuda ka wasta hai tum ko murad meri bachi ko maaf kar do mujh per yeh zulam na kare may bardasht nai kar sakonga may tab tak khamosh baitha daikh raha tha kuch b nahi kaha per dawood ki is baat per mujhe b ghussa agaya aur kaha dawood tum kitne waqt say meri zameen per reh rahe ho.... 

 ji Shah sahib may to paida hi yahi howa hon...  to phir to tum yahan k usool ache say jante hogay na.... 

 jis per us nay sar haan may hilaya ji janta hon us ki ankhon ki bybasi bata rahi thi k woh kuch nahi kar sakta wahi hoga jo may chahta hon aur yahi woh baat hai jo mujhe sukoon daiti hai .

 haan logon ki bybasi mujhe taqatwr hone ka ahsas dilati hai logon ki ankhon may mere liye khoof mujhe sukoon dita hai aur mujhe aqaa hone ka aur yeh mere ghulam hain  hone ka ahsas dilata hai aur yun may uth kar baithak ke darwaze tak puhanch k ruk gaya aur apna faisla suna diya ..................... 

dawood tumhari baiti ko to marna hi hoga jo gunah us nay kiya hai us ki saza sirf mut hai aur b kuch nahi....

----------------------------------------------------------------------------------------------------------------------------

aaj itna hi phir milengay khuda khafiz








































❤️آرزو ❤️Where stories live. Discover now