Arzoo Chapter 8

3 1 0
                                    

زبان تو کہہ نہیں سکتی، تمہیں احساس تو ہو گامیری آنکھوں کو پڑھ لینا مجھے تم سے محبت ہے

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

زبان تو کہہ نہیں سکتی، تمہیں احساس تو ہو گا
میری آنکھوں کو پڑھ لینا مجھے تم سے محبت ہے

aur tab say may aur Ali exam khatam honay ka intezar kar rahe the jo ab jaa ke khatam howe Ali bhi aaj apnay parents say baat karga aur may bhi ammi abu say per mujhe buhat dar lag raha hai k may kaise un ko bataon waise to muje yaqeen hai k woh mujhe samjhengay q k may ne kabhi aisa kuch nahi kiya jo un ko bura lage par phir aisi baatin kabhi nahi ki mujhe  sara aur Ali dono zoor day rahe hain k may aaj baat zaroor karon jo mere liye buhat mushkil hai per kiya karon karni to paregi kabhi na  kabhi to aaj hi himmat kar lon q k Ali say b aur intezar nahi ho raha aur such pucho to mujh say b aab sabar nahi hota per mujhe dar is baat se lag raha k ammi abbu ka kiya reaction hoga is baat pe.

to may kahan thi haan!!!!!! ammi abu gawon ja rahe hain aaj wahan aik shadi attend karne kuch relatives ke haan may jaanti kum hi logo ko wahan q k may peshawer may zyada rahi hon to may kuch giny chuny log hi hain jin ko jaanti hon

aaj waqt say pehle meri ankh khul gayi kaal raat b tension ki wajah say need nahi a rahi thi ghanto karwatin le le k soyi thi aur ab phir jaldi ankh khul gayi mushkil say 2 ghante soyi hon side table pe rakha mobile phone utha k time check kiya to 5;am show ho raha tha to nimaz parnay ke khayal say side pe para dupatta utha kar kanday pe rakha aur bad say utar kar  bathroom may  chali gayi  aur wadu kar ke jaynimaz bicha diya aur sar per duppata theek kiya aur nimaz perne lag gayi nimaz khatm hone ke bad dua ke liye hath uthy to aik hi dua dil o dimagh may thi

ALI .....ALI...ALI... aur yun ALLAH say dua may Ali ko mangne lag gai aur yeh k aaj meri baat jub may ammi abu ke samne rakhon to woh mujhe samjhy aur meri baat rad na kar dain aur yun may dair tak dua may mashgool rahi aur jub dua khatam ki to dil may aik rahat mehsoos honay lagi aisa laga jaise meri dua qabool hogayi ho

us ke bad kuch dair telawat ki aur jub tak may farigh hoti 6;00 baj chuke the to room say nikal kar kitchen ka ruh kiya is irade say k nashta aaj may hud banaon aur un ko zara khush kar don aur yun kitchen puanchte hi may kaam per lag gayi aur daikhte hi daikhte nashta tayar ho gaya may buss sari cheezain try may rakh kar dinning room may le jaane wali hi thi k ammi kitchen may dahil ho gayi aur mujhe daikh ke zara hayran b thi shayad may kabhi un say pehle subah kitchen may nahi ayi iss wajah say

ammi nay khairat say kaha wah bhai...... aaj suraj ulti taraf say nikla hai jo meri baiti mujh say pehle kitchen may hai aur nasha b tayar hai kiya baat hai bhai...... hmmmmm un ke  chehre per halki si muskurahat thi

mujhe chratee howe abbu ko b awaz di jo apne room say abhi abhi hi nikle the 

bashir dakhiye na humari baiti bari hogayi hai aaj humare liye nashta banaya hai woh b akile

 abu sun kar agy barhe aur mujhe gale lagaya aur phir pyaar say balon may hath phirtay howe mathe per bosa diya aur bole haan bhai mare baiti waqai bari hogayi hai i'm proud of u baita 

❤️آرزو ❤️Where stories live. Discover now