Arzoo Chapter 5

4 1 0
                                    

Alam Shah Zafar Durrani

dawood jo mera faisla sun ke mere paon may gir gaye aur bekhari ki tarhan apni baiti ki zindagi ki beekh mangnay lag gaye

Rất tiếc! Hình ảnh này không tuân theo hướng dẫn nội dung. Để tiếp tục đăng tải, vui lòng xóa hoặc tải lên một hình ảnh khác.

dawood jo mera faisla sun ke mere paon may gir gaye aur bekhari ki tarhan apni baiti ki zindagi ki beekh mangnay lag gaye

 khuda ka wasta aap ko Shah sahib meri baiti ko maaf kar do may usay yahan say door le jawonga per yeh zulam mat karo may nay sari zindagi aap ki wafadari say hidmat ki hai aur kuch nahi usi ka ahsan kar dain mujh per 

 kuch hi door mare admi jo mere sirf ishare ka intezar kar rahe the aur jaise hi un ko ishara mila do admi agge bare aur gaseetay howe usay meri nazron say door le gaye baba khamosh sub daikh raha tha per bole kuch nai jub ke mere chachajan jo k dil say zara kumzoor hain uth kar mere peeche anay lagy mujhe pata tha k ab woh kiya kahengay mere chote chacha jan buhat naram mizaj admi hai jo mujhe bilkul pasand nahi may  apne chacha jan ki buhat izzat karta hon per un ki naram mizaji mujhe bilkul pasand nahi qk yeh insan ko kamzoor banati hai is liye may ruka nahi aur baithak ki hadood say nikal kar ghar may dakhil hogaya chacha jan bhi mera peecha karte howe peeche a gaye aur awaz di

......... Alam.........Alam.......... Alam meri baat suno

ji chacha jan kahiye may ruka aur peche mur ki kaha jante howe bhi may anjan bana raha

mere chacha jan ke khayal may yeh sub theek nahi hai humare yahan ka nizaam chalta dar say hai dunya may jo taqatwr hai wahi raaj karta hai aur jis may dum nahi ussay paon ki dhool bhi nahi samjha jata aur in logon may agar may dar aur khoof ki lakeer khainch k na rakhon to yeh meri izzat karna chor daingay jo may apne jeetay ji to hone nahi donga chahe kuch bhi ho jaye

chacha jan jub mere qareeb puhanche to kaha Alam yeh sub theek nahi hai tum aisa mat karo please woh meri taraf aik umeed ki nigah say daikh rahe the jub k un ko pata tha may apni baat say kabhi peeche nahi hatta may nay kuch dair khamoshi say unhay daikha aur phir dono haton ko peeche band kar gahar ke andher jaate jate kaha kiya theek nahi hai chacha jan kiya aap nahi jante yahan ke rules un ko yeh sub karne say pehle suchna chahiye tha is ke bad in ke sath jo bhi howa wo to hona hi tha aur aap ko pata hai jo faisla may kar don may ussay kabhi nahi badalta to aap apna aur mera dono ka time waist na karen

chacha jan kuch deer to kuch na bole khamoshi say mere peeche living room may a gaye aur jaise may sofe per baitha woh b baith gaye or bole tum un ko gawon say waise b nikal rahe ho to larki ko b nikal do us ki jaan mat lo woh bachi hai 17 saal ki 

sidra say bhi choti hai agar khuda na kare sidra say aisi koi ghalti hogayi to tum us ke sath bhi aisa hi karogay kiya un ki is baat per mujhe b ghussa a gaya

CHACHA JAN may ne taish may a kar kaha aap hosh may to hain aap kaise apni baiti ke liye aisa keh sakte hain aur aap ke is sawal jawab b haan hai may izzat ki khatir kuch b kar sakta hon mar b sakta hon aur maar bhi aur ghusse say uth kar apne kamre ki taraf barha chacha jan to wahi baithe reh gaye may teez teez qadam lete kamre ki taraf barha seriyan charte ammi jan ka samna howa mujh say. un ke kareeb say guzar kar may agge barha hi tha k unhon nay awaz di per ghusse ki wajh say un ko undaikha kar ke may  kamre may ander jate hi zoor say darwaza band kar diya aur jaldi say kameez utar kar karpit pe painkh di aur bathroom may chala gaya aur ander jate hi shawer on kar diya bina temperture dikhe cold paani k niche khara ho gaya bathroom ka darwaza khulla tha q k waise b mere kamre may koi bina ijazat ke nahi a sakta aur koi aata b nai hai qk ghar may b sub muj say darte hain aur mujhe ghussa b jaldhi ata hai to jub may gusse may hota hon to phir to koi b mere qareeb say guzarne say b darte hain jab tak may shaant na ho jawon mere  pass koi nahi aata.

❤️آرزو ❤️Nơi câu chuyện tồn tại. Hãy khám phá bây giờ