41 B

3.9K 193 21
                                    

Before starting the chapter I wanna know who is your most favourite supporting character from this story? Do let me know in the comments below

Also really sorry for late updates but you know my papers going on. I'm trying my best do vote and support this. Enjoy the new chapter

1 month after,

It's been one month, since Rameen came to London but due to some important project, Aariz had to go to Liverpool.
His whole family was upset but again he managed his family.

It's been 3 week since Aariz left for Liverpool. Due to sudden trip to Liverpool, Aariz didn't get the chance to shift Rameen to his penthouse, as a result Rameen has been staying in the Khan mansion which made all the ladies of Khan mansion really happy.

But rameen has been stuck to a particular routine

Wakeup, hang out with family, sleep, eat, someone read books

Today was also nothing different as Rameen didn't have any idea when Aariz's comeback she was pissed off on her shohar e naamdar

After almost taking a deep nap for 4 hours, Rameen woke up and decided to

Wake up and decided to ring her best friend maha

After ringing for a minute Maha picked up call

"Hello Assalamualikum meenie uth gaye?"

"Haan yaar, lekin bohat bored hoon."

"Kyun bhai? Aariz bhai kaha hain?"

"Unke pehli begum key sath."

Rameen said nonchalantly

"ALLAH! KYA BOL RAHI HO MEENIE?

"Aur kya bolu? Jab sey paunch hain tab sey office mey pare hain."

"Waise ek baat kahu? Bura nah manna jaani."

"Nahi bolo."

"Aisa toh nahi kih Aariz bhai ka kisi key sath chakkar bakkar chal raha hain. Matlab unhone apne pura life yaha bitaya hain. Sayd unka koyi girlfriend aur family pressure ki wajah sey unhone tumhe shadi ki ho."

"Kaise baate kaar rahi ho! Aariz aise thori hain?"

"Nahi nahi bura nahi mano! Meine ussdin ek drame pey dekha hain."

Rameen for a second gave thought on the words of huma

"Areh! Nahi yaar! Tum na khamkha ka fikaar kar rahi ho. Larkiya unsey pyaar kar satte hain lekin woh! Hah! Kinte bare ariyal aur saru hain unko sirf bejaan files sey pyaar ho satta hain. Insaan sey pyaar karna unka baas ka baat nahi hain."

"Tor phir kya baat hain? Mujhe nah tumhare liye bara bura lagta hain. Matlab kaha socha tha kih tum London jane baad jaldi khala banne ki khusi milegi. Yaha toh lagta jaisa tumhare train speed hain mere do bache ho jane hain."

"Areh meri jaan itna fikar na karo, unko nah romance ka phobia hain."

"Maslan?"

"Areh usne kaha honge romance wagera agar woh romance karne lag jayenge toh laptop sey ishq mashukiya kon larayega? Tum choro yeh saab cheeze tumhe nah baad mein call karti hoon amma call kar rahi hain."

"Thik hain apna khayal rakhna."

"Haan tumbhi."

"Allah hafiz meenie."

"Allah hafiz."

With that Rameen hung up the call but soon it rang again it was yusra

Rameen picked up the call

"Haan amma kya hua?"

"Puttar tu na yeh apne piyo naal puch."

"Hain? Abba ko kya hogaya?"

"Puttar tere abba nu sara chara nana banne ka?"

"Toh bane mujhe kyon suna rahi hain?"

"Puttar mera Baas na chale meine iss video call ki under sey tujhe do jutti lagao."

"Amma, ki kogaya? Aise kyun gussa kar rahi hain? Bhule nahi shadi shuda hoon."

"Yeh baad agar tu samaj jata nah toh woh bano chachi aj baatesi nikal nikal key yeh hame mithaye na deta."

"Kya bol rahi hain amma? Bano chachi ney mithai layi? Toh junaid Chacha ko dil ka daura nahi para?"

"Wese toh par jana tha lekin khabar hi aisi hain kih isse samne junaid bhai hazaro rupee ki mithayi bhi dede na toh kaam par jaye."

"Lekin baat kya hain?"

"Rukhsana aur huzaifa ummed sey hain."

"Kya? Kaab? Kaise?"

"Meen puttar inta bhi beghairt na ho ki apni amma sey yeh saab cheezo ke process puche."

"Allah ka vasta amma! Maine apse process kaab pucha? Mein toh yeh puch raha hoon ki unki sulai kaab huyi mujhe javi bhabhi kaha tha ki rukhsana baji ka huzaifa bhai k sath bohat bara masla huwa aur woh khud rukhsana baji ko junaid chacha k ghar chorke gaye they."

"Areh puttar isbaar huzaifa ney jinni baddi tamasha lagaya tha na mohalle mein hame toh confirm ki thi ki is baar rishta tooth hi jana hain. Lekin sayad junaid bhai k ache karam ka fal hoga aur rishta toothe toothe bach gaya. Lekin tu woh saab chor pata hain jabsey javera ummed sey hain uske baad woh hamari dusre mahalle mein jo Shanno thi uski bahu aur is ruksana ki good news suni na tabsey tere abba ko hauka chara hain nana banne ka."

"Amma, nana mein akele nahi bana satta uske liye apke damad ka mojudgi jarurat hain."

"Astagfirullah puttar aise-"

Rameen cut off yusra

"Nahi amma apke jo damad haina woh na jake baithe huye hain Liverpool buisness meeting mein toh meine kya man o salwa karu ki good news ap logo ko de doon."

"Haye puttar bache koyi khana thori hote hain? Ki maan o salwa karke ajana hain?"

"Toh amma mein kya karu? Mujhe bhi khelne hain apne baby k sath."

"Hello? Hello? Puttar pata nahi iss jahil net ko kya hogaya? Hello?"

With that yusra cut off the call

Even though yusra said it was net issue but rameen was well aware yusra did it only to avoid her questions 

This the half part chapter 41 and last part with only 1000 word from the upcoming chapters there will be 1500 words. So stay tuned people, see you soon. Khuda hafiz

Uns E HarfWhere stories live. Discover now