PART 1

2.4K 93 4
                                    

In goenka house

Akshara was sitting in garden when kairav comes to her tensed.

Kairav- akshu...mimi ne bataya tujhe fir se panic attack aaya tha...tune bataya kyo nahi hame

Akshara sighs- oho bhaiya...main thik hu...kuch nahi hua

Kairav sighs and sits beside her- tu hamesha aisa karti hai...pichli baar bhi jab main tere hostel aaya tha aur tujhe attack aaya tha...maine kaha tha ki chal doctor se milte hai...ek baar consult karte hai...par nahi...sunna nahi hai tujhe...zid karne lagi ki nahi jayegi...par ab main teri ek baat nahi sununga...main kal hi doctor ka appointment leta hu

Akshara holds his hand and smiles- bhaiya jab kuch hua hi nahi toh doctor ko bologe kya...main thik hu...bas thodi si thakaan ho gayi thi

Kairav seriously- ye tu bhi janti hai aur main bhi ki ye thakaan ki vajah se nahi tha...kisi ne fir tujhe vo sab yaad dila diya na...bol kisne kya kaha tujhse...kahi aru ne toh....

Akshara interrupts- nahi bhaiya...aru ne kuch nahi kaha...in fact meri aur uski toh is baare me baat bhi nahi hui

Kairav- toh fir kisne kaha tujhse...bol na

Akshara was about to say something when they heard manish calling kairav inside.

Akshara- bhaiya aap jao...main thodi der yahi baithna chahti hu...please

Kairav cups her face- accha thik hai...main aata hu

Kairav goes inside while akshara remembers mahima's words to her.

In birla house, Abhimanyu's room

Abhimanyu was lying on his bed and seeing the bracelet. He remembers akshara on the bed and her singing.

Abhimanyu- ajeeb sa jaadu hai tumhari aawaz me...jitna tumhe bhulna chahta hu...utna hi tumhari taraf kheecha chala jata hu...kaun ho tum

Just then manjiri enters. Abhimanyu sees her and quickly hides the bracelet. Manjiri sits beside him. Abhimanyu keeps his head on her lap. Manjiri caress his head.

Manjiri- kaisa raha aaj ka din

Abhimanyu closes his eyes and remembers hearing the song twice- bohot accha...sukoon se bhara

Manjiri is surprised- aisa kya hua

Abhimanyu realises and covers up- nahi kuch nahi...aapko kuch baat karni thi na

Manjiri excitedly- haa...par pehle tu vaada kar meri baat puri sunega aur fir kuch kahega...aur gussa toh bilkul bhi nahi karega

Abhimanyu- maa main kabhi aap par gussa kar sakta hu kya

Manjiri- tu fir bhi vaada kar

Abhimanyu- accha baba...vaada...ab bolo

Manjiri excitedly- abhi tere liye na ek rishta aaya hai (abhimanyu was about to react angrily but manjiri interrupts) tune vaada kiya tha tu meri baat sunega puri (abhimanyu sighs) beta log bohot acche hai aur rahi baat ladki ki toh vo bhi bohot pyaari hai...suna hai ki vo music therapist hai...uska naam akshara goenka hai

Abhimanyu opens his eyes hearing the name. He remembers suhasini telling the same name to nurse when he was convincing her to sing. He gets up.

Manjiri- beta pati patni ka rishta aisa hota hai jo zindagi bhar aapka sath dega...baaki saare rishte kabhi na kabhi khatam ho jayenge par jo saath teri patni tujhe degi...vo koi aur nahi de sakta...tu bas hamare ghar ke shadi ke rishte dekh raha hai...lekin beta duniya me kitne logo ne shadi ki hai aur use nibhaayi hai...tu un logo ko dekh na

Abhimanyu- maa mujhe thoda waqt chahiye

Manjiri smiles- jitna waqt lena hai...le le...teri zindagi ka faisla hai...ise lene ka hak tujhe hi hai...main bas tujhe samjha sakti hu

She caresses his head and goes. Abhimanyu once again lies down on the bed and takes out the bracelet.

Abhimanyu looks at the bracelet- kahi tum aur jiska rishta aaya hai...vo ek hi toh nahi...pata lagana padega...magar kaise...maa se bhi nahi puch sakta...sharam aayegi...neil se puchta hu...par kahunga kya...bohot chidayega mujhe...aur use bataya toh ghar par sabko pata chal jayega

Abhimanyu gets an idea. He takes his phone and searches for akshara goenka on social media. He gets akshara's pics with her family. He was mesmerized seeing her face. He also recognizes suhasini as he had seen her face in the hospital. Now he was sure that akshara was the only one he was thinking for so long.

Abhimanyu smiles- akshara goenka (looks at the bracelet) akshara abhimanyu birla

Abhimanyu smiles brightly. He listens manjiri calling him for dinner. Abhimanyu goes down.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now