PART 22

1.2K 106 6
                                    

Next morning

Keerti wakes up and sees abhira still sleeping. Just then abhimanyu too wakes up. He looks at keerti and then himself and akshara. He gets shocked as he didn't realize when he slept.

Keerti smiles- its ok...tum dono so rahe the isliye nahi uthaya...by the way good morning

Abhimanyu smiles- good morning...aapko mujhe utha dena chahiye tha...i am sorry meri vajah se aapko sofa me itni uncomfortably....

Keerti interrupts- maine kaha na its ok...koi badi baat nahi hui hai...agar main sofa me uncomfortable thi toh tum bhi comfortably nahi soye the...aur vaise bhi important toh ye hai na ki ham dono jisse pyaar karte hai vo comfortable hokar so rahi hai

Keerti points at akshara and abhimanyu too smiles agreeing with her.

Keerti looks at abhimanyu- vaise agar tum chaho toh meri ek help kar sakte ho

Abhimanyu looks at her- haa haa kahiye na...ek minute...main akshu ka sar takiye par rakh deta hu fir aapki help kar dunga

Keerti- are nahi nahi tum baithe raho...meri help tum baithe baithe bhi kar sakte ho

Abhimanyu confused- aisi kya help chahiye aapko

Keerti- bohot choti si help hai...infact tum meri help nahi kar rahe ho...balki main tumhari help kar rahi hu

Abhimanyu surprised- matlab

Keerti hides her smile- apni hone wali patni ko uthao...aur aadat daal lo...ab roz akshu ko tumhe hi uthana hai after all

Abhimanyu is surprised and looks at akshara sleeping peacefully holding his blazer.

Keerti giggles- kya hua...help nahi karoge

Abhimanyu smiles- aaj kya zindagi bhar akshu ko uthaunga...vo bhi bohot pyaar se...aap tension mat lo...main help zaroor karunga

Keerti smiles knowing that abhimanyu has fallen head over heels in love with akshara.

Keerti- good confidence...tum apna mission continue karo...main ready hone ja rahi hu...accha ek serious baat...agar akshu tumhe uthne me pareshan kare na toh uske chehre par paani daal dena par use utha dena...tum dono ki rasme shuru hone wali hai...bohot kaam hai...ok

Abhimanyu smiles- uski zaroorat nahi padegi...main akshu ko utha dunga

Keerti nods and goes. Abhimanyu looks at akshara and careses her hair.

Abhimanyu- hmmm...toh meri pyaari si akshu ko subah jaldi uthna pasand nahi hai...tumhare baare me jitni nayi baat janta hu utna hi tum par pyaar aane lagta hai...i love u so much akshu...tum kab is dil ke doctor ka dil chura le gayi...mujhe pata hi nahi chala...i promise u akshu tumhare chehre par jo sukoon abhi hai na vo main kabhi hatne nahi dunga

Abhimanyu pats her hair and a little loudly yet softly- akshu...akshu utho...subah ho gayi (akshara squirms) utho baba...sab wait kar rahe hai

Akshara sleepily- sone do na buami

Abhimanyu chuckles- main buami nahi hu akshu...main abhi hu

Akshara sleepily- abhi mujhe sona hai

Abhimanyu laughs- akshu baba utho...hamari haldi shuru hone wali hai

Akshara opens her eyes hearing this and immediately gets up. She was surprised seeing herself sleeping keeping her head on his lap. She was still holding his blazer.

Akshara- abhi tum

Abhimanyu smiles- good morning

Akshara- good morning par tum subah subah yaha (she remembers everything that happened yesterday night and got flashbacks of how abhimanyu came to treat her) abhi...kal raat ke liye thankyou aur sorry bhi...pata nahi kaise.....

Abhimanyu interrupts- ssshhhh...ab kaisa lag raha hai...better feel ho raha hai

Akshara lowers her head and nods slightly. Abhimanyu takes a glass of water from bedside table and gives akshara the glass and signs her to drink. Akshara takes a sip. Abhimanyu keeps the glass back.

Abhimanyu- kal raat aisa kuch bhi nahi hua jiske liye tumhe mujhe sorry ya fir thankyou kehna pade (tucks her hair behind her ear) aaj hamari shadi hai...ham hamesha ke liye ek ho jayenge...aage zindagi me aise bohot si situations aayengi jo hame milkar face karni padegi...kal raat jo hua vo toh kuch bhi nahi tha...ok

Akshara nods and hugs him. Abhimanyu too hugs her and kisses her hair. They break the hug.

Abhimanyu- ab tum jaldi se tayyar ho jao...haldi ka time ho raha hai...uske baad fir hamari shadi ke liye jo hame tayyar hona hai...tum ready hona mera dil dhadkane ke liye

Akshara blushes. Abhimanyu smiles and leans and kisses her cheeks. Akshara gets more shy. Abhimanyu chuckles. Just then the door opens and keerti comes in.

Keerti- kya baat hai Abhimanyu...tumne toh sach me akshu ko utha diya aur vo bilkul bhi irritated nahi lag rahi...i am impressed

Abhimanyu- kaha tha na maine...main akshu ko utha dunga

Keerti nods with a smile and cups her face- akshu ab kaisa lag raha hai baccha...tu thik hai na

Akshara nods. Keerti smiles.

Keerti- ab chalo tum bhi jao Abhimanyu...haldi ka waqt ho raha hai

Abhimanyu nods and goes after bidding bye.

Keerti looks at akshara- abhimanyu ko bataya

Akshara nods in no.

Keerti sighs- dekh akshu...abhimanyu tujhse bohot pyaar karta hai...kal uske samne itna kuch hua fir bhi usne tujhse kuch nahi pucha...iska matlab toh yahi hua na ki use tere ateet se koi lena dena nahi hai...vo tera jeevan saathi banne ja raha hai...use tere baare me sab pata hona chahiye...vo tujhe kabhi nahi chodega...iska yakeen hai mujhe

Akshara is in thoughts.

Keerti- accha chal ab tayyar ho ja

Akshara goes in washroom to get ready.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now