PART 31

1.3K 129 16
                                    

Later on dining table

Everyone comes for dinner. Manjiri and akshara serve them.

Manjiri happily- aaj akshu ne pehli rasoi ki rasm me gajar ka halwa banaya hai...vaise toh lunch ke samay ke liye banaya tha par aap sab aa nahi paye isliye socha dinner me  paros de

Anand- haa...actually aaj na ek bus ka accident ho gaya tha...toh kaafi emergencies thi...we are sorry

Manjiri- koi baat nahi bhaisaab...ham ab rasm kar lete hai...akshu paros beta

Akshara nods and serves everyone while abhimanyu was only admiring akshara. Neil pinches on abhimanyu's arm. Abhimanyu flinches and glares at neil raising his eyebrow.

Neil whispers- bhai thoda control kar lo...bhabhi aapki hi hai

Abhimanyu glares her. Neil chuckles. Akshara serves everyone. All taste it.

Neil- wow...bhabhi halwa toh bohot tasty bana hai...awesome

Akshara smiles.

Parth- haa akshara...halwa vakai bohot accha bana hai

Anand- its delicious akshara...agar tum aisa hi khana banaogi na toh mujhe tumhari taiji se bohot daat padegi...main toh control nahi kar paunga

All laugh.

Mahima- oh please...akshara fir toh tum roz khana banana hi mat...varna sabki diet out of control ho jayegi

All laugh.

Harsh- it is very tasty...agli baar na tum koi healthy dish try karna...kam se kam ham sab kha toh payenge

Akshara smiles wholeheartedly and nods. She looks at abhimanyu who was only interested in halwa. Manjiri notices it.

Manjiri slightly slaps abhimanyu's head- abhi...kam se kam ek baar apni biwi ki tareef toh kar de...kab se halwa khaye ja raha hai

Abhimanyu looks at akshara- halwa bohot accha bana hai...tum please roz banana haa...its awesome akshu

Akshara blushes hearing his compliment.
Abhimanyu again starts eating. Akshara serves a bowl and makes manjiri sit. All were surprised seeing her actions. Akshara forwards the bowl.

Akshara- ye lijiye maa

Manjiri- beta main baad me kha lungi

Akshara frowns- baad me kyo...maa abhi garam garam khaiye na...baaki sab ko accha laga hai toh matlab khane me safe hai...aap kha sakte ho

Manjiri smiles and takes a spoon and eats it- akshu halwa toh sach me bohot accha bana hai (takes a spoon and feeds akshara) tu bhi kha

Abhimanyu admires akshara as she first serves manjiri dinner and then joins all. Abhimanyu serves akshara surprising her.

Abhimanyu whispers near akshara's ear- thankyou for making my favourite dish...aur meri maa ko apni maa maan kar pyaar karne ke liye double thankyou

Akshara feels good hearing him and smiles. They all have dinner.

In Abhira's room

Akshara was arranging her things and abhimanyu was helping her as she couldn't complete her work earlier. Manjiri comes and knocks on door.

Abhimanyu- maa...aaiye na

Manjiri walks in and gives akshara a pair of kangan- beta ye meri saas ne mujhe diye the...meri pehli rasoi ki rasm par...aaj main tujhe ye de rahi hu...tera neg

Manjiri makes akshara wear them. Akshara touches her feet and manjiri blesses her.

Manjiri- accha tum dono aaram karo...main chalti hu

Abhimanyu- good night maa

Akshara- good night maa

Manjiri- good night

Manjiri leaves.

Abhimanyu- akshu tumhara aadha samaan toh arrange kar diya hai...baaki baad me kar lenge...aur agar tumhe kuch aur chahiye ho toh please mujhe bol dena...main le aaunga...ok

Akshara nods.

Abhimanyu- kal reception hai toh main kal na hospital se jaldi aa jaunga...tum ready rehna

Akshara lies down on the bed- hmmm...abhi aaj main bohot thak gayi hu

Abhimanyu too lies beside her- thak toh main bhi gaya

Abhimanyu spreads his arm and akshara snuggles into him. Abhimanyu pulls her more closer to himself.

Abhimanyu- akshu tumhe pata hai na do din baad se tumhari rejoining hai

Akshara- hmmm...abhi aaj maa ne badi maa se baat ki...unhone kaha ki vo mujhe kal reception se hi pag phere ke liye le jaye...fir tum parso mujhe lene aa jana

Abhimanyu kisses her forehead- ok...akshu vaise aaj na hospital me sab tumhare baare me puch rahe the...wish kar rahe the...rohan hamare liye gift bhi laya tha par vo hame sath me dena chahta tha isliye aaj nahi diya

Akshara smiles- how sweet...abhi tumhara pura staff tumhari kitni respect karta hai...khaas kar rohan...he really idolises u

Abhimanyu smiles- i am lucky ki meri team bohot acchi hai

Akshara- aur tum usse bhi zyada acche team leader...haa thode khadoos ho lekin bohot encouraging bhi

Abhimanyu- akshu...main janta hu tum mind nahi karogi par fir bhi main clear karna chahta hu...hospital me main tumhara pati nahi senior hi rahunga...tumhe mere orders follow karne honge...galti karne par main tumhe vaise hi daatunga jaise kisi aur ko daat ta hu...utna hi strict aur professional rahunga

Akshara smiles- aur main bhi yahi chahti hu...main nahi chahti koi mere pati par ilzaam lagaye ki vo apni wife ke liye bias ho rahe hai

Abhimanyu- aur main nahi chahta ki koi bhi mere wife ke talent ko nazar andaaz kare sirf isliye kyoki vo meri wife hai...accha suno...mujhe ek aur baat karni hai tumse

Akshara- kya

Abhimanyu- kal hamare reception par sir aur tauji ne bohot saare doctors...itne saalo se jo hamare colleagues hai...medical association ke directors...birla hospital ke board of directors...hamara pura staff...sab ko invite kiya hai...unme se bohot log aise honge jinke liye sirf medicine hi best profession hai...vo log tumhe demean karne ki koshish karenge...par tum unki baato se influence mat hona...vo unki soch hai jise ham badal nahi sakte...but unki ghatiya soch ki vajah se ham khud ko kisi se kam samjhe...ye galat hai...akshu tum apne career ki initial stage par ho...is waqt tumhe kisi aur ki nahi apne man ki baat sunni chahiye...tumhara career graph tumhe decide karna chahiye kisi aur ko nahi

Akshara smiles- abhi...jab tak tum mere sath ho mere sath kuch galat nahi ho sakta...tum hone hi nahi doge

Abhimanyu pulls her closer and kisses her forehead- vaise kal toh tum apne ghar chali jaogi...mujhe miss karogi na

Akshara teases him- miss toh tab karungi na jab time milega...ghar jakar toh main sabke sath bohot maze karungi...badi mumma...badepapa...buami...mamu...kairav bhaiya...vansh bhaiya...aru...main sabke sath itni busy ho jaungi ki tumhe miss karne ka mauka hi nahi milega

Abhimanyu raises his eyebrow- accha (holds her chin and turns her face making her look at him) oye...tum shayad bhul rahi ho ab tum miss akshara goenka nahi balki mrs abhimanyu birla ho (pecks near her lips making her shocked)

Akshara lowers her gaze getting shy. Abhimanyu turns towards her and leans towards her.

Akshara moans- abhi

Abhimanyu kisses her earlobe. Akshara closes her eyes breathing heavily. Abhimanyu kisses her neck. Akshara moans in pleasure and hugs abhimanyu tightly. Abhimanyu too holds her close to himself. He caresses her bare back. Akshara smiles shyly and kisses Abhimanyu near his lips making him shocked. Akshara turns quickly making him face her back.

Akshara- good night abhi

Abhimanyu comes in his senses and smiles brightly. He back hugs her and kisses her hair.

Abhimanyu- good night to u too wifey

They sleep in each other's arms.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now