PART 29

1.3K 105 44
                                    

In abhira's room

Akshara enters and sees abhimanyu pacing in the room angrily.

Akshara softly- abhi

Abhimanyu stops and looks at akshara. He holds her hands and makes her sit on bed. He kneels in front of her.

Abhimanyu cups her face- akshu...i am sorry...tumne kya socha hoga ki tumhara yaha pehla din aisa hoga...vaisa hoga aur ye log hai ki tumhe acchi wishes dene ke bajaye tumhe udaas kar rahe hai

Akshara holds his hand on her cheek- abhi...kisne kaha ki mera din yaha accha nahi hai...mere sasural me mera pehla din bohot accha beeta aur mujhe yakeen hai ki aage bhi accha beetega...aur tumhe kisne kaha ki mujhe kisi ne acchi wishes nahi di...mujhe sab ne aashirwaad diya hai aur fir tum bhi toh ho...tum toh dil se mujhe good wishes de rahe ho na

Abhimanyu smiles and nods. Akshara hugs him.

Akshara- abhi...taiji ne apna point of view diya...mujhe traditional dresses pasand hai pehenna...iska matlab ye toh nahi ki unhe bhi pasand ho...aur fir aaj mera yaha pehla din hai...mere maayke se ye ghar thoda alag hai par vo toh koi aur ghar bhi hota na...sabke tastes alag hai...routine alag hai...thodi bohot problems toh hogi na...thode adjustments bhi karne padenge

Abhimanyu breaks the hug- vahi toh main keh raha hu akshu...adjustments karne padenge par tum akele ye sab nahi karogi...adjust dono ko karna padega...thoda tum karo...thoda ham sab kare...tabhi toh problem solve hogi na

Akshara sighs- abhi...tum apna mood kyo kharab kar rahe ho...kal hamara reception hai...hamari shadi se related aakhiri function aur fir ham sab normal routine me aa jayenge...hame ise special banana chahiye...khush hona chahiye...naa ki mood spoil karna chahiye...aur rahi baat kapdo ki toh taiji mujhe best dress hi degi na...aur ho sakta hai ki mujhe unki dress pasand aa jaye aur fir jab bhi mujhe koi fashion tips chahiye hongi main unhi ke paas jau...shayad main aur taiji isi topic par bond kare

Abhimanyu chuckles- tum bohot zyada optimistic ho (kisses her forehead) aur bohot acchi bhi

Akshara smiles and kisses his cheeks softly. Abhimanyu looks at her surprised.
Akshara looks down being shy. Abhimanyu looks at her instensely.

Abhimanyu- oye hoye...mujhe nahi pata tha ki mera gussa shaant karne ke liye tum aisa kuch karogi...ab se main zyada gussa karunga

Akshara- tum vaise bhi har baat par gussa karte ho (looks down) aur mujhe tumhare gusse se bohot dar bhi lagta hai

Abhimanyu sighs and makes her look at him- akshu...i agree mujhe gussa jaldi aata hai aur bohot saara aata hai...par itna bharosa toh tum mujh par kar sakti ho na ki kisi galat baat par main gussa nahi karunga

Akshara murmurs- haa par jab tumhe gussa aata hai na toh tumhe kuch samajh nahi aata...kisi ke samne kuch bhi bol dete ho...naa bado ka lihaaz karte ho naa hi rishte ka maan

Abhimanyu looks at her for a minute and then understands- oh...toh tum sir ki baat kar rahi ho...tumse kisne kaha mujhse unki vakaalat karne ko...maa ne kaha ya fir unhone khud sifaarish ki hai (chuckles) sorry...sifaarish nahi order diya hoga na tumhe...

Akshara interrupts softly- abhi...aisa nahi hai...tum galat samajh rahe ho....

Abhimanyu interrupts and cups her face- ab toh main sahi samjha akshu...ye sab sir ka kiya dhara hai...aaj tak maa ko dara kar rakha...neil ko beizzat kiya aur ab tumhe manipulate kar rahe hai (looks at her) akshu tum bohot innocent ho...tum nahi samajh paa rahi sir kya karne ki koshish kar rahe hai...par main samajh gaya (looks at her sternly) aur main unka asar hamare rishte par padne nahi dunga

Akshara tries to explain- abhi

Abhimanyu pulls her closer and hugs her tightly. Akshara too hugs him. Abhimanyu calms his anger but is determined to not let harsh ruin his marriage and manipulate akshara. He kisses her hair. Akshara closes her eyes relaxing in his arms.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now