PART 44

724 68 10
                                    

In birla house

Abhira enters happily but were shocked seeing harsh shouting on manjiri who was crying.

Abhimanyu- maa

Abhimanyu immediately stands in between harsh and manjiri covering her fully while akshara stands near manjiri. Birlas were shocked seeing abhira.

Abhimanyu angrily- ab kya ho gaya sir jo aap meri maa par chilla rahe hai...ab kya kar diya unhone...aapki shirt nikalna bhul gayi...aapka coat iron nahi hua ya fir aapka breakfast aapko late mila

Harsh angrily- tum mere aur manjiri ke beech me naa bolo toh behtar hai...we are husband and wife...tumhe koi hak nahi hai hamare beech me bolne ka....

Abhimanyu interrupts- i am sorry...kya kaha aapne (chuckles) husband and wife...aapne subah subah pi hai kya...mazaak accha kar rahe hai (angrily) are bachpan se dekhta aa raha hu ki aap dono me kya rishta hai...kam se kam mujhse toh jhooth mat boliye aap

Manjiri holds her head and looks at akshara. She holds akshara's hand and signs her to take abhimanyu away. Akshara nods.

Akshara holds abhimanyu's hand- abhi please shaant ho jao...ham aaram se baith kar bhi toh baat kar sakte hai na...aur fir papa sach hi toh keh rahe hai...pati patni ke beech ki baat hai......

Abhimanyu glares her making her scared and she stops speaking.

Abhimanyu sternly- agar pati patni ke beech ki baat hai toh vo band kamre me chaar deewaro ke beech honi chahiye...is tarah puri family ke samne kaunsi baat...aur ye kis tarah ki baat hai jaha sirf pati chillata rahe aur patni chup khadi reh kar sunti rahe (looks at harsh) main aakhiri baar bol raha hu aapse aap meri maa se izzat se baat karenge aur nahi kar sakte toh baat hi mat kijiye....

Manjiri holds his shoulder- bas kar abhi...bas kar beta

Abhimanyu stops and feels helpless. Harsh goes from there angrily. Mahima and anand too leave. Parth shefali nishtha follows them.

Abhimanyu looks at manjiri- kya hua tha maa

Manjiri wipes her tears- kuch nahi...kuch nayi baat nahi thi...vahi purana sab...tu ye sab chod...unka toh roz ka hai (smiles) tu ye bata tu kaisa hai aur akshu (holds her hand) tujhe accha laga greece me...tum dono ne enjoy kiya na...tum dono khush ho

Abhimanyu cups her face- maa ham dono khush hai...bohot khush hai par ham chahte hai aap bhi khush ho...ye sab.....

Manjiri interrupts- jab bacche khush hai toh kya maa khush nahi hogi...abhi...tu janta hai...maine hamesha yahi chaha hai ki jis tarah main apni shadi me ghut ghut ke jee rahi hu...vo zindagi main mere beto ko nahi dungi...mere bete khush rahe...bas mere liye vahi zaroori hai baaki mujhe kisi aur ki koi parvah nahi hai...sach

Abhimanyu sighs. Manjiri hugs abhimanyu and neil. She signs akshara to join as well. Akshara too joins them.

Manjiri breaks the hug- accha ye sab chodo...akshu tu bata na beta...tune greece me enjoy kiya na...tujhe accha laga na vaha jakar...beta mere liye jitni zaroori mere beto ki khushi hai utni hi zaroori teri khushi bhi hai

Akshara- maa main sach me khush hu aur (blushes) Greece me bhi sab bohot accha tha...abhi ne mera bohot dhyaan rakha maa

Manjiri gets happy and kisses her forehead- tum dono thak gaye honge...aaram karo...baad me baat karenge...jao

Abhira nods and goes in their room.

In abhira' room

Abhimanyu was lying on the recliner and akshara was lying on him. Abhimanyu was holding akshara's waist and balancing her on himself. Akshara's cheek was touching abhimanyu's cheek and she was holding an album and they were seeing the pictures.

Akshara- abhi...maa ne tumhari life ke har moment ko capture kiya hai...dekho na...tum jab pehli baar khud chale the...tumhara first day at school...first day at medical college...tumhari graduation ceremony...tumhara hospital me pehla din...tumhari first independent surgery...jis din tum birla hospital me cardiology department ke head bane...sab kuch maa ne is album me kaid kara hai

Abhimanyu smiles and pecks her cheeks- aage ke special moments bhi toh dekho (shows her pictures) hamara tilak ka din...engagement day...aur fir shadi...meri life ka sabse special day

Akshara- hamari life ka sabse special day

Abhimanyu smiles.

Akshara- hamari puri life ko ek album me saja sirf hamare parents hi kar sakte hai (gets upset) agar aaj mumma papa hote toh vo bhi mere liye ek aisa hi album banate na

Abhimanyu pulls her more closer- vo nahi hai iska matlab ye nahi ki tumhare special moments par tumhare sath nahi hai...mumma papa tumhare sath hamesha hai...tumhare dil me

Akshara smiles- abhi

Abhimanyu- hmmm

Akshara- ham hamare babies ke liye bhi aisi hi album banayenge...unke saare moments capture karenge

Abhimanyu looks at her amusingly.

Akshara looks at him- kya

Abhimanyu teases her- hamare babies...matlab tum ready ho...hamare babies ke liye

Akshara realises what she spoke and blushes hard. She hides her face in his chest making him laugh loudly. He tightens the hug.

Abhimanyu- vaise babies toh hone hi hai...accha hua tumne ye baat start kar di...khaas kar jab ham abhi abhi honeymoon se laute hai

Akshara whines- abhi stop it

Abhimanyu laughs. Akshara hits him slightly. She snuggles into him. Abhimanyu kisses her forehead.

Abhimanyu- hmmm...kal music therapy department ka inauguration hai...yaad hai na tumhe

Akshara- haa...papa ne kaha hai ki kal se music therapy department officially start ho jayega...individually patients bhi lenge but mostly doctors ke through hi aayenge...aur papa ne kisi senior music therapist ko appoint bhi kara hai...tum jante ho unhe

Abhimanyu- dr kunal khera...medical field me unse behtar therapist filhaal koi nahi hai...vo alag alag techniques use karte hai for therapy...music being one of them...tum unke under kaam karogi...he is going to head the department

Akshara nods. Abhimanyu kisses her forehead.

Abhimanyu- dr khera is very experienced...unke experience se seekhne ki puri koshish karna

Akshara nods- tum mere sath rahoge na

Abhimanyu pecks her nose- hamesha

They hug each other.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now