PART 35

1.2K 127 14
                                    

In evening, goenka house

Arohi comes home and sees everyone having tea and snacks. Arohi sits beside swarna tiredly and puts her head on her lap. Swarna caresses arohi's hair.

Swarna- kya hua aru...bohot thak gayi kya

Arohi- bohot zyada badi mumma...aaj bilkul bhi break nahi mila...bohot zyada thak gayi main

Just then akshara and kairav bring tray.

Akshara- mere haath ki bani hui hot brownies kha le...teri saari thakaan mit jayegi

Arohi sits- brownies...thank god...kuch accha banaya hai...jaldi de...bohot bhook lag rahi hai...bhaiya thoda extra chocolate sauce daalna

All chuckles.

Manish- aaram se beta...brownie kahi bhaag kar nahi jayegi

Akshara- haa aur tujhe itni bhook lag rahi thi toh canteen se kuch khaya kyo nahi

Arohi eats brownies- khati toh tab jab tera pati khane deta...punishment ke naam par torture kar raha tha...pura din koi break nahi diya hame

All controls their laugh as akshara told them how abhimanyu scolded his staff and punished them with extra duty.

Arohi- bhaiya aur do na

Kairav chuckles- haa haa le

Arohi- bohot bhook lagi hai...akshu brownies bohot acchi bani hai

Suhasini notices abhimanyu.

Suhasini- are damadji

All look at entrance and see abhimanyu.

Manish- beta aao na

Abhimanyu comes inside and takes blessings of all elders and hugs kairav and vansh.

Swarna- baitho na beta

All sit. Kairav gives a brownie to abhimanyu.

Kairav- ye lo abhimanyu...brownie...akshu ne banayi hai

Abhimanyu looks at akshara who smiles.

Abhimanyu- akshu agar tum roz aisa meetha banati rahogi na toh mujhe extra gym karna padega

All laugh.

Manish- kha lo beta...biwi ka banaya karela bhi pati ko khana padta...fir ye toh brownie hai

Abhimanyu takes the plate.

Arohi- akshu ek aur brownie de

Swarna- bas kar aru...kitna khayegi

Arohi- badi mumma please khane do na...aaj main bohot thak gayi hu...bohot kaam kiya hai maine...mera boss na bohot bada hitler hai

All hide their laugh while abhimanyu sighs. He looks at akshara who was trying not to laugh.

Abhimanyu- dr arohi...agar aapne aaj pura din kaam kiya hai toh maine bhi pura din kaam kiya hai...aapse bhi zyada...aur jo extra duty aapne ki hai vo aapki hi galti ki punishment hai

Arohi- oh please...main itne din hospital me nahi thi isliye aaj saari galti hui...tumhe bhi pata hai main jaipur me thi...fir bhi bematlab mujhe punish kar diya...jo itne din hospital me the unhe punish karte na

Abhimanyu sighs- agar tum bhul gayi ho toh main yaad dila deta hu jaipur tum jiski shadi me gayi thi...vo shadi meri hi thi...so agar main aaj apni duties resume kar sakta hu toh fir tum kyo nahi...aur galtiya tumne akele ne ki ya fir puri team ne...saza toh sabko milegi

Arohi frowns- akshu dekh na tere pati ko

All laugh.

Akshara- kya hai abhi...kyo meri behen ko pareshan kar rahe ho

Abhimanyu- accha ji...tum toh rejoin karo...fir dekhta hu tumhe...vaise tumhe yaad dila du...tum bhi meri hi team me ho...agli baar inki punishment me tum bhi shaamil hogi

Akshara crosses her hands- dekh lenge

Abhimanyu- dekh lena

All laugh.

Swarna- bas karo tum log...akshu beta abhimanyu ko kamre me le jaa...fresh hone ke baad aa jana...sath me dinner karenge

Akshara nods- ji badi mumma

Akshara and abhimanyu leave.

In akshara's room

Abhimanyu sits on bed while akshara comes near him after closing the door.

Akshara- tumhara din kaisa tha nahi puchungi kyoki pata tumhari shakal aur aru ki complaints se pata chal raha hai kitna tiring tha...tum agar thodi der rest karna chahte ho toh kar lo

Abhimanyu smiles- tumhe dekh liya toh saari thakaan mit gayi meri

Akshara sits beside him. Abhimanyu lies down keeping his head on her lap. Akshara slowly caresses his hair.

Abhimanyu closes his eyes- accha lag raha hai

Akshara smiles. After staying like this they freshen up and they go to hall.

On dining table

All were having their dinner.

Abhimanyu- khana bohot accha bana hai badi maa...ab pata chala akshu ne itna accha khana banana kaha se seekha

Swarna smiles.

Kairav- tumhe accha laga vahi bohot hai Abhimanyu...tum toh jante bhi nahi ki subah se badi maa kitni tension me thi

Abhimanyu frowns- kyo

Kairav- unhe lag raha tha tumhe ye sab khana pasand aayega bhi ya nahi...especially tab jab akshu tumhare liye broccoli bana kar lekar gayi

All laughs.

Abhimanyu- aap logo ke man me doctors ki ek bohot hi galat image hai...vo bhi tab jab aapke ghar me ek doctor hai aur vo itna khati hai...i mean jis tarah se vo brownies kha rahi thi

Manish laughs- are beta...doctor ho ya koi aur...ek thake haare insaan ko jab bhook lagti hai na toh uske samne jo ho vo kha leta hai

Abhimanyu chuckles- ye toh aapne bilkul sahi kaha bade papa

They all have dinner talking and teasing each other. Later goenkas gives gifts to abhimanyu and akshara and bid them bye.

In car

Abhimanyu was driving while akshara was sitting beside him.

Akshara- mujhe laga tha tum bike lekar aaoge

Abhimanyu chuckles- seedhe seedhe kaho na tumhe bike ride par jana hai

Akshara looks away.

Abhimanyu- aaj toh bike nahi laya par agar tum chaho toh ham ghar jakar ek long bike drive par jaa sakte hai

Akshara's excitedly- sacchi...ham jaa sakte hai abhi

Abhimanyu nods with a smile- ofcourse jaa sakte hai

Akshara nods happily- tumhe pata hai mujhe bikes hamesha se bohot pasand hai par Kairav bhaiya chalane hi nahi dete the

Abhimanyu smiles- ab tumhara jab bhi man ho keh dena...ham log bike rides par jayenge aur vaise bhi main toh mostly bike hi use karta hu

Akshara- ye hui naa baat...jo maza bike par hai vo aisi band gaadiyo me kaha

They laugh together. They reach birla house.   Abhimanyu gets the keys of bike while akshara waits for him.

Abhimanyu sits on bike and starts it- chale mrs birla

Akshara nods- yes dr birla

Akshara sits on bike while abhimanyu helps her with the saree. Akshara holds his shoulders. Abhimanyu holds her hands and makes her hold his waist. Akshara blushes.

Abhimanyu- acche se pakdo varna gir jaogi

Abhimanyu starts the bike. He drives in a little speed. Akshara comes closer to him and keeps her head on his shoulder making him smile. They enjoy the ride.

ABHIRA:- ARRANGED TO LOVEWhere stories live. Discover now