Part -15

261 36 51
                                    

Continue from last part .

At Lucknow.

At one room.

Karishma ( in mind) : Abb hume aaj hi khud ko innocent prove karna hoga hamaare pass jyada time nahi hai. Hmm aur aaj hi karenge hum khud ko innocent prove aur apna suspension bhi cancel karwa ke rahenge. Abb apna kaam shuru karte hai .

Then Karu di footage again dekhti hai

After watching footage.

Karishma ( in mind) : Hmm hamara shak sahi tha isne S letter ka bracelet pehna hua hai aur sath mein hamare chahre ka mask bhi lag rakha hai aur usne golden earing bhi pehna hai . Hmm aur uske haath mein ek bag bhi hai jarur woh drugs bhi ismein hi leke aayi hogi Hmm uska hi kaam hoga yeah. Ab ek kaam karte hai JKJ jewellers ke pass jaake pata karne ki koshish karte hai ki yeah hai kon

Then Karu di scarf se face cover karke nikal jaati hai.

After 30 minutes.

Karishma reached at JKJ jewellers .

Karishma : Excuse me ( to salesgirl)

Sales girl : Jii Mam batayea kya lena hai apko bracelet necklace bangles kya dikhaun aapko?

Karishma : Hume kuch nahi lena hum aapse kuch puchna hai.

Salesgirl : Jii puchiyea mam.

Karishma : Aap yeah bata sakti hai kya ki yeah earing aapki shop se hi liya hua hai kya? ( show golden earing to the girl) .

Salesgirl : Yes Mam yeah earing hamari shop se hi liya hua hai.

Karishma : Okk aur kya yeah ladki aayi thi yeah kharidne? ( shows her photo to sales girl)

Salesgirl : No madam koi aur thi.

Karishma : Accha

Karishma ( in mind) : Woh jarur yeah kharidne ke baad hamara mask laga kar thane gayi hogi . Hmm yahi hua hoga.

Karishma : Accha usne bill kiske naam se pay kiya tha?

Salesgirl : Let me check mam.

Karishma : Okk

After Checking

Salesgirl : Mam usne bill Rani ke naam se pay kiya tha .

Karishma: Acha.
Karishma ( in mind) : Rani... Rani iska matlab Rani jail se bahar aa gayi hai magar kaise. Humne kudh use jail mein dalwaya tha phir kase. Pata karna padega.

Karishma : Kya aap Rani ka sketch banwane mein meri help kar sakti hai please?

Salesgirl : But why kyunki aap toh police se bhi nhi hai shyd.

Karishma : Hum police se hi hai.

Then Karu remove scarf from her face.

Karishma : SI Karishma Singh from Mahila Police Station Lucknow .

Salesgirl : Arre Karishma madam aap aapko kon nahi jaanta appki wajah se toh hum jaisi job wali ladkiyaan raat ko bhi safely ghar pahunch jaati hai but Madam aap ese scarf mein?

Karishma : Thanks woh humne ek case ke silsile mein face scarf se cover kiya hua hai

Salesgirl : Okk mam. Aur haa mai aapki help karungi.

Karishma : Thanks.

Salesgirl : Arre ismein thanks ki koi baat nahin hain madam yeah toh hamara farz hai aur sach kahu toh mai bhi aapki tarah ek acchi police officer banna chahti thi but family ki financial condition weak hone ki wajah se nahi ban payi.

Hum hi kyu ?( Anushma) Where stories live. Discover now