Karishma's Past (Part 2)

390 30 11
                                    

Karishma is lying injured badly when she sees a man.

Karishma: Baba. ( she imagines her father.)

Keshav: Utho Kashi aur ladho, tum aise haar nahi maan sakti. Utho aur humare matrabhumi ki raksha karo. Tum humari sherni ho Kashi, sherni ki tarah dahadke desh ke dushmano ka astitva humesha keliye mitado.

Karishma(weakly): Nahi baba ab hum aur nahi ladh sakte, aapki sherni ab thakk chuki hai. Humko ab chaen ki neend sona hai, waise bhi sab log wahi pe hai Vani Anu Hasu aur aap, hum yaha pe akele kahe rahe?

(In this story Karishma is a widow, her husband Vyom died in a road accident 1 year ago, they have a 2 year old son named Krishna who is called Krish by everyone. Kaushalya husband's name is Aditya, the couple live in Chennai.)

Keshav: Nahi beta tumko jeena hoga apne bete Krish keliye, apne maa keliye, Pushpa ji keliye agar tumko kuch hogaya toh unka ka hoga?

Karishma: Baba maa ka khyaal Kashish aur Aditya rakhenge woh bhi bohut acche se toh humko maa ki kono chinta nahi hai, Krish ko sambhalne keliye sab log hai aur humare Cheete Santu toh hai hi amma ka dhyaan rakhne keliye. Waise bhi apne pyaari Pushpee ko maa maante hain.

Keshav: Aur hum sabka kya? Jis vyakti ne humari hatya kardi, Anu ki hatya kardi aur bahu ki bhi hatya karwadi usko tum aise hi bakshdoge. Utho Kashi aur satya keliye ladho, tumhe humsabko nyaay dilwana hai, hum teeno ki mrityu ka pratishodh lena hai. Anu ke mastiksh se deshrohi ka kalank mithana hai. Jaake maardo uss Urmila ko isse pehle ki woh shaheed Haseena Malik ke izzat ki dachiya uda de sheher mein. Bakshi ko mat bakshna Kashi, woh dhokebaaz kuch bhi kar sakta hai. Tumko ka lagta hai Kashi ki captain aur Ajay Bakshi tumhare marne ke baad aisi hi baaki sabko chodenge, nahi beta woh humare pure parivaar ko maar denge. Aur unka nishana pehle Krish hi hoga kahe ki woh tumhara beta hai Kashi, ek sacche deshbhakt ka beta. Deshbhakti uske rago mein janam se daudti hai joh usse apni maa, mama, nana aur apne dada se virasat mein mili hai aur issi deshbhakti ka khatma karna chahta hai woh sarkar. Jao aur maardo uss sarkar ko.

Karishma: Kintu baba hum aisa kaise kar payenge, hum apne hi bhai ko kaise maarde apne haathon se? Nahi yeh humse na hopayega, hum nahi maar sakte apne Abhi ko.

Keshav: Jis din Abhinav ne tumhare saath woh apradh kiya tha ussi din humare pariwar ka rishta tut gaya usse, ab woh humara beta Abhi ya tumhara bhaiya nahi. Woh ab sirf deshrohi Abhinav Singh hai joh apne pita, bhai aur bhabhi ka kaatil hai. Jao aur raksha karo apne matrabhumi ki, ayushmaan bhava.

Karishma: Dhanyawad baba humko punah margdarshan dene keliye, sadev ki tarah aap aaj duvidha ke samay humko uchit maarg dikhadete ho.

Keshav pats her head and she closes her eyes. When she opens her eyes again she sees her baba is gone. Her eyes then fall on Urmila who is on a call with her back facing her.

Urmila: Ji Sarkar jaise aapne kaha maine iss Karishma Singh ko maar diya, ha woh mere saamne hi mari padi hai,aap aake khud hi dekh lijiye iski laash. Theek hai 15 minute mein aarahe hai na aap, main idhar ich ruki hoon.

Urmila finishes her call and turns back, she gets shocked seeing Karishma alive.

Urmila: Ae tu abhi bhi zinda hai, kis mitti ki bani hai re tu marne ka naam ich nahi leti.

Karishma starts thrashing Urmila.

Karishma:(punches her)Yeh humari maddamsir ke chavvi ka churan karne ki koshish karne keliye(another punch)yeh humari swargiya Hasu ki beizzati karne keliye(punches again)yeh SHO Haseena Malik ke naam pe rishwat lene keliye(fourth punch)yeh desh se gaddari karne keliye(fifth punch)aur yeh iss vardi ka apmaan karne keliye.

Urmila's mouth is bleeding and her jaws are badly bruised due to Karishma's continuous punches. Karishma then takes her gun and shoots Urmila killing her on the spot. After sometime Abhinav reaches there, he sees Urmila's dead body and gets shocked. He looks for Karishma's dead body but doesn't find it anywhere. Karishma comes and stands behind him at a distance.

Maddam Sir OS BookWhere stories live. Discover now