Love

1K 139 109
                                    

(Not proofread)

It was an hour past sun down when Anubhav came back home all worn out.He has managed to get a job at Haripada's place in Dhananjay's shop and that man makes him work like a horse.

"Aagaye tum...hath muh dhokar aao,hum bhojan lagate hain."Haseena came out of the house smiling and handed him a small earthen pot of water.Anubhav drank the whole pot of water at once and huffed.

"Pita Maharaj sahi kahene the humein sachmein itna sa Gyan nahi tha ki ek gareeb insaan k jeevan mein kitni kathinaiyan hoti hain.Dhananjay sach mein bohot nirdayi hain...aaj chawal ki bori uthate samay humare kamar mein lag gayi thodi si toh humne kaha ki humein kuch kshan vishram karne de...usne Diya parantu aaj ki aadhi tankhwa kaat li.Yadi abhi hum kapatwesh mein naa hote na toh batate usko. "He said walking inside their room followed by Haseena.

"Kya tumhe chot lagi hain?Let jao khat par hum garam sekh kar dete hain."Haseena said worriedly.

"Itna bhi nahi laga hain...pahele Bhojan do..bohot bhook lagi hain.Kya banaya hain aaj?"Anubhav asked.

"Chawal aur uble aloo hi Bane hain bas."Haseena said sadly.

"Udas mat ho..Hari mirch hain toh le aao aur thoda sa sarson ka tel bhi."Anubhav said.

"Kya karoge Inka?"Haseena asked confusedly.

Anubhav mashed the boiled potatoes with a little mustard oil and the green chillies and some salt and mixing them well took a little bit of the mashed potatoes and forwarded it towards Haseena and gestured her to eat.Haseena although a bit skeptical about it ate it from his hands and looked at him surprised.

"Itna swadisht... tumne kaha se sikha?"She asked.

"Aaj dopaher ko jab sab khana kha rahe the toh Batuk chacha ko aise khate huye dekha."Anubhav said starting to eat."Unhone thoda humein bhi Diya toh humein kaafi accha laga tha."He said.
"Par tumhe takleef horahi hain aise khane mein?"He asked seeing her drinking water after each morsel.

"Nahi nahi...bas thoda sukha sukha hain na aur hum sukhi cheezein nahi kha paate hain,parantu yeh atyant swadisht hain kal thoda daal le aana isske saath pakayenge hum."Haseena said smiling.

"Tumhare haath ko kya hua?"Anubhav asked seeing a burnt mark on her wrist.

"Khana banate waqt lag gaya... chhota sa hain.."Haseena said nonchalantly and continued eating but Anubhav's face darkened not with anger but guilt and helplessness.

"Ek mahina hone ko hain humein yaha aaye huye,itni cheshta karrahe hain ki Ghar ki halat mein thodi sudhar aaye parantu kuch nahi kar parahe....thoda sa dhan laate hain toh woh bhi kisi na kisi cheez par kharch ho jata hain."Anubhav said sighing.

"Yahi toh pita Maharaj samjhana chahte the Anubhav,aisa sirf humare saath nahi horaha hain...aadhe se zyada logo k yahi halat hain.Yahi dikhana chahte the woh tumhe...jeevan itna hi kathin hain Anubhav,mahel ki chaar deewariyon ko bhed karke yeh kathinaiyan andar nahi aapate isaliye humein bhanak bhi nhi lagta ki kya horaha hain bahar."Haseena said holding Anubhav's hand.

"Humein accha nahi lagta ki tumhe itna parishram karna padhta hain.Bhor hone se pahele uthna,ghar k saare kaam...humein andaza hi nhi tha ki ek ghar mein itne kaam hote hain,tumhe mahel mein hona chahiye tha aur kaha yaha humari wajah se faansi hui ho."Anubhav said feeling guilty.

"Satya hain,yaha humein bohot saare kaam karne padh rahe parantu Anubhav iss chhote se ghar mein humein jo sukun milraha hain usse tum Nazarandaaz nahi kar sakte.Aise din k anth mein bhojan karte samay sukh dukh ki baatein karna,ekanth mein samay bitana yeh sab mahel  mein hota tha batao?Issliye adhik mat socho...jakar hath muh dho lo...hum bhi bartan saaf karke, snan karke aate hain."Haseena said picking up their dishes.

ANUSEENA- A Marriage Of Convenience✓ Where stories live. Discover now