King and his Queen

747 129 137
                                    

Bonus Update!!Raat k dhai baje.😅
(Not Proofread)

"Acharya hum jaante hain aap humse rushth hain,humein kshama kar dijiye Acharya...humein sach mein gyat nahi tha Maya ne Haseena ko itni badi saza di hain."Amarendra asked for forgiveness sitting near Chandrabhan's feet.

"Humse kshama maangne ka koi matlab nahi hain Amarendra.Rajkumari Haseena ne apne prano ki parwah na karte huye apne pati ko bachaya hain aur uske badle unhe kya Mila...Dand? Samajh ki stree o ko kya Sikh milegi isse..yahi ki kisi k prano se adhik niyam aur bandhan mahetvapurn hain?Sab suna hain humne Amarendra,Haseena ne Anubhav ki raksha karke uske samarthya ka apmaan Kiya hain kyunki woh ek stree hain?Phir jab wahi stree har roz unke liye bhojan banakar unka pet bharti hain,aswasth hone par seva karke unhe thik karti hain tab unke samarthya ko thes nahi pohunchta?Stree jab pati k Maan k liye apne gahene utarkar bhi bech deti hain tab unke maan ko aaghath nahi lagta?"Chandrabhan question but Amarendra had no answer.

"Acharya hum aapki baat samajh rahe hain,hum khud Haseena ko dand dena nahi chahte the."

"Parantu tumne roka bhi nahi,Vidroh k Bhay se chale Gaye tum waha se.Raja ho tum,tumhara kartavya hain chahe Jo bhi ho..sahi ka saath Dena.Abb toh sab yahi sochenge ki vidroh karenge toh Maharaj bhaybhit hokar galat maange bhi puri kar denge."Chandrabhan said.
"Aur Rani Maya ko daitwa saunp diya Haseena ko dand dene ka?Dekho Amarendra main tumhara guru hoon, isliye Rajpath k vishay mein tumhe mashwara deta hoon aur sadev hi tumhare niji jeevan k vishay se dur rakhta hoon khudko parantu aaj bolna padh Raha hain mujhe...Sadev hi tumne apni dono Raniyo mein bhedbhav kiya hain.."

"Nahi Acharya hum apni dono patniyo se saman prem karte hain."Amarendra said.

"Shayd.Parantu lagav tumhe avashya hi Rani Maya se adhik hain.Main uss vishay mein kuch nahi kahunga.Parantu Amarendra kisi k aakarshan mein itna bhi andha nahi hona chahiye ki sahi aur galat ka antar hi na samajh aaye.Apne ghar mein chal rahe kalesh yadi tum nahi dekh paye,sacche jhootein ki parakh nahi kar paye phir bhavishya k Raja ka chayan bhi kaise karoge tum thik se?Abhi bhi samay hain Amarendra,aankhein kholo apni...shayad Raj Singhasan ka sahi uttaradhikari ka chayan karna aasan ho jaye tumhare liye."Chandrabhan said.

🌿☘︎☘︎☘︎🌹🌹🌹☘︎☘︎☘︎🌿

Anubhav came back to his room to find his mother and Anandi sitting on both sides of Haseena and they were casually chatting,they noticed him and Maa and Anandi got up.Maa went to Anubhav and cupped his cheeks and kissed his forehead and said "khyal rakhna humari putri ka" before leaving the room with Anandi leaving Anubhav all confused.He looked at his wife who was looking at him only but immediately casted her eyes down as he looked at her.He went and sat beside her.

"Thik ho tum?"He asked her softly.

"Hmm.."She hummed nodding her head without looking at him.

"Kyun chhupaya humse ki dand mila hain tumhe...teen din kya ek kshan k liye bhi tumhe dand bhogne nahi dete hum.Himmat kaise Hui Rani Maya ki tumhare saath aisa karne ki."He said getting angry again.

"Tum pita banne Wale ho."Haseena said at once closing her eyes.

"Haan wahi...pita Maharaj woh kaise...ek kshan..kya kaha tumne?"He aske looking at her.

"Tum pita banne Wale ho."Haseena said again but still without looking at him,she was all shy today.

"Tum satya kahe rahi ho?"Anubhav asked holding her by her shoulders and made her look at him.

ANUSEENA- A Marriage Of Convenience✓ Where stories live. Discover now