19. HIS STORY

189 36 60
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊
......................................................................
Both of them were sitting on the couch in each other's arms. She was resting her head over his chest and he was hugging her while caressing her hair. She said...

Naina (Cupping his left cheek) - To ab batao, jo tum batana chahte the. Is duniya me tumhari shuruaat kaha se hui thi, Rajveer?

Rajveer (Holding her hand) - Uske liye tumhe mere past version ko jaanna hoga, Naina... Jo ki kabhi dil ka bahot hi acha tha aur kuch had tak innocent bhi.

Naina (With a smile) - I'd love to meet that young Rajveer. Batao na...!!!

Rajveer (Taking a deep breath) - Main shuru se is line of work me nahi tha, Naina. Lekin mujhe pata tha ke mujhe kabhi na kabhi to apne Dad ki jagah leni hi padegi as mere Dada Ji se ye sab shuru hua tha. Magar mujhe ye nahi pata tha ke vo waqt mujhe apne Dad ko khokar dekhna padega.

Khair... Ye to bahot baad ki baat hai. Uske pehle... (With a broad smile) Meri bhi ek hasti - khelti family thi. Main, Mom aur Dad... Hum teeno ek dusre ka jeene ka zariya the. Ab isse pehle ke tum Ruhaana ke baare me puchho, main tumhe bata du ke vo meri sagi behen nahi hai. Mom aur Dad ne use god liya tha.

Tab karib main tera ya chuada saal ka raha houga. Main apne dosto ke sath bahar khel raha tha. Achanak se mujhe kisi chhoti bachi ke rone ki aawaz sunayi di. Jab hum sare dost us taraf gaye to humne vaha karib teen ya char saal ki ek chhoti si, pyaari si bachi ko dekha. Vo bahot zyada ro rahi thi kyuki shayad vo apni maa ko nahi dhoondh paa rahi thi. Vo bas idhar - udhar dekhe hi jaa rahi thi.

Mujhse raha nahi gaya aur maine use turant apne haatho me utha liya. Pata nahi tab aisa kya hua, usne achanak se mere haathon me aate hi rona bandh kar diya. Vo mujhe itni curiosity ke sath dekh rahi maano... Maano mere chehre me use kuch familiar sa dikh raha ho.

Maine aaspass pata kiya us bachi ke baare me, par kuch bhi pata nahi chala. Mujhe laga shayad vo bachi kho gayi hai ya uske parents use kisi wajah se yaha chhod gaye hoge, to main use sidha ghar hi le aaya.

Naina (Curiously) - Aur tumhare parents? Unhone tumse kuch nahi kaha is baare me?

Rajveer (After a short laugh) - Mujhe bhi daat padi thi bahot. Magar jab maine puri baat samjhayi, to vo samjh gaye aur un dono ne us bachi ko god le liya... Aur mujhe bhi ek chhoti behen mil gayi. Uska ye naam... Ruhaana... Ye maine hi rakha tha.

Ruh bachpan se hi bahot tezz thi. Padhayi me hamesha first aati thi vo... (With a smile) Jab chhoti thi to hamesha mere aage - pichhe, meri puchh bankar ghumti rehti thi. Sab bahot hi acha chal raha tha, lekin meri kismat ko vo bhi manzoor nahi tha.

Naina (Putting a hand over his chest) - Kya hua tha, Rajveer?

Rajveer (Snuggling more to her) - Us waqt Ruh karib bara saal ki thi aur maine apni college just finish hi ki thi. Dad Ruh ko aur Mom ko lekar bahar nikale the aur mujhe unhe directly join karna tha. Us waqt unpe achanak se hamla ho gya aur unhone Ruh ko pakad liya.

Humari Mom bahot zyada dar gayi thi aur humare Dad, jo kabhi kisi se bhi nahi dare, vo bhi Ruh ke liye bahot dar gaye the. Fir unme se ek ne Dad ko is tarah se dare hue dekhkar, haste hue kaha ki agar vo apni beti ko bachana chahte hai, to unhe khudko goli maarni hogi.

Naina (Looking at him in shock) - What...!!!

Rajveer (With some tears) - Aur Dad ne unki baat maan li. Mom ne unhe rokne ki bahot koshish ki but vo nahi ruke aur unhone khudko goli maar di... That's how, I saw them but couldn't do anything. Vo meri life me pehli baar tha, jab maine kisiko maarne ke liye hathiyaar uthaya tha.

Naina (Holding his hand) - Yaani... Tumne un logo ko...

Rajveer (Without any expressions) - Maar diya...!!! (With sadness) Par us din se Mom me badlav hone shuru ho gaye. Vo Ruh se kati - kati si rehne lag gayi. Vo mere sath to baatein karti but koshish karti ke vo Ruh se dur rahe. Maine unse is baare me baat karne ki bhi koshish ki but vo thi ke is baare me baat hi nahi karna chah rahi thi.

Fir baat jab mujhpe aayi, tab had hi ho gayi. Main Ruh ki safety ko lekar hamesha sure rehna chahta tha, to main use hamesha uske school chhodne aur lene jaaya karta tha. Aise hi kisi din... Jab main use uske school se vapas laa raha tha, tab humpe achanak se hamla hua. Dad ki sudden death ki wajah se mujhe unki jagah sambhalni padi aur isiliye vo hamla mujhpe hua tha.

Goliyaan chal rahi thi aur Ruh bahot zyada dari hui thi. Achanak se ek aadmi samne aa gya aur usne Ruh ki taraf apni gun point karke kaha ke ab mujhe pata chalega ke kisi apne ko khone ka kya matlab hota hai. Mujhe samjh nahi aaya ke usne kya kaha kyuki hum chahe jo bhi karte ho, lekin mujhe yaad hai tab tak to humne kisiko chot nahi pohochayi thi.

Par mujhe pata tha ke vo goli chala hi dega, to main Ruh ko bachane ke liye un dono ke beech aa gya aur mujhe goli lag gayi. Jab tak mere gang members vaha pohoche, mujhe kafi bleeding ho chuki thi. Magar maine fir bhi use maar diya tha, jo meri behen ke liye khatra ban sakta tha... (Scoffing a bit) But I guess... That was the last straw for Mom.

Jab unhe pata chala ke kya hua hai, to unhone Ruh ko hume chhodkar jaane ko keh diya. Unhone use bahot kuch ulta sidha suna diya. Maana unhone kuch khoya tha aur aage bhi kho sakti thi but Ruh... Vo to ek bachi thi. Uski in sab me kya galti thi, Naina? Vo ek maa hokar aisa kaise keh sakti hai apne dusre bache se?

Maine unhe bahot samjhane ki koshish ki but vo nahi maani. Ulta unhone mere aage ye ultimatum rakh diya ke yaa to main Ruh ko hume chhodkar jaane bolu yaa vo khud hi hume chhodkar chali jayegi... (Holding her both hands) Maa to naram dil ki hoti hai na apne bacho ke liye, Naina? Vo hume aise chhodkar jaane ke liye ya apne kisi ek bache ko ghar se nikal dene ke baare me kaise bol sakti hai? Koi bhi maa itni kathor kaise ho sakti hai, Naina?

Maine unhe bahot samjhane ki koshish kari, par vo maani hi nahi. Fir unhone achanak se hum dono ko chhodkar jaane ka faisla kar liya. Maine aur in fact, Ruh ne bhi unhe rokne ki bahot koshish ki but vo nahi maani aur hume chhodkar chali gayi. Vo din tha aur aaj ka din hai. Humne Mom ko fir kabhi nahi dekha. Vo hamesha se aisi nahi thi, Naina. Magar jab unhone apne Pati ko kho diya aur apne Bete ko almost khonewali thi, to shayad unki himmat aur mamta... Dono ne hi jawaab de diya.

Uske baad se Ruh aaj tak is baat ke liye khudko blame karti hai ke uski wajah se Mom hum dono ko chhodkar chali gayi. Maine Mom ko dhoondhne ki to bahot koshishein ki but uska koi fayda nahi hua.

By now, he had put his head in her lap and she was just caressing his hair. He said...

Rajveer (Pleading her) - Please, tum mujhse kabhi dur mat jaana. Us waqt to Ruh ki wajah se maine khudko sambhal liya tha. Par agar is baar tum chali gayi to main buri tarah se tut jauga, Naina. Mujhe kabhi akela mat chhodna. Mujhe akele rehne se ab dar lagne laga hai.

Naina (While kissing his forehead) - Main yahi hu, Rajveer. Main kahi nahi jaa rahi, okay...!!! Just relax... (After thinking for a few seconds) Acha Rajveer... Kya naam tha Aunty ka?

Rajveer (With a broad smile) - Khushi Singh Rajput...!!!

She creased her brows but didn't say anything. She kept caressing his hair and because of that, he fell asleep in a matter of a few seconds.
......................................................................
Here's the 2nd last part guys...😊

Jab isme 30 votes ho jayege, to main next part de dugi varna you'll have to wait for the next part, guys...🤷‍♀️

How was it???🤔🤔🤔

Silent readers, please stay away from my stories...😡😡😡

Please, vote and comment on my story and share your opinions and ideas...😊😊😊

Till the next part... Take care, be happy, be healthy & bye - bye, dear readers...❤❤❤

HIS DESTINYWhere stories live. Discover now