53. Mera Saath Nahi Chodega?

442 70 31
                                    

Sana- Tu batayega hum kya karne ja rahe hai? Batayega ki nahi...

Sid- Ek second ruknnnaa yaar...(he then carefully took out the mug cake from the oven, and took a spoon from the drawer. He was doing all of this while holding out one of her wrist and she was just following him wherever he was going.) 

Sana- Kahaan jaana hai bebu???

Sid- Chalna chal raha hu na mein bhi kyun itna wo kar rahi hai...chal ab (they went towards the grass bed in the garden area)

Sid- Le ab kha aur beth aram se...

Sana- yummmyy hai Sidharth kitna....tune banaya?

Sid- Haan mein aur Naira hamesha raat ko ye banaake khaate the jab raat ko bhuk lagti thi aur ghar pe kuch hota nahi tha tab. 

Sana- waao yaar mereko bhi seekhna hai ye...mujhe ice-cream banaane aate h mast waali ek din mein banaake khilaungi hum jab Punja-...*coughs* jab mein apna ghar le lungi na Bombay m tab

Sid- Kyun tu mere ghar m aake nahi bana sakti kya?

Sana- ohhh han wo toh meine socha hi nahi wo kar lungi

Sid- Ek baat puchu

Sana just nodded her head in a yes, while devouring the mug cake and feeding every next bite to Sid. 

Sid- Tu thik hai Sana? Sach sach bata please mujhse matt chupaana

Sana- Sachi bata rahi mein bilkul thik hu aur koi wajah v nahi hai thik na hone ki

Sid- Jo kuch v hua wo sab se-

Sana- wo sab se kya? Mein aur wo wali Sana nahi rahi na

Sid was just now getting annoyed that she was not really answering him and she was carelessly eating her cake, then talking in gibberish which he was failing to understand. He took the cup in his hands and hid it behind him, holding her arms tightly.

Sid- dard ho raha hai toh chupa kyu rahi hai Sana? isko bottle-up matt kar tereko baad m problem hoga...I don't want you to faint again in 2-3 days. You remember right? Last time jab tujhe stress hua tha and you hid it from everyone aur you have fainted. I don't want that, meri jaan nikal jaati hai yaar tujhe wese dekh ke

Sana- olee mera bebu...par mein sachi keh rahi hu merreko koi stress nahi hai na hi mein thik hone ki acting kar rahi hu...ye nahi bolungi ki fark nahi pada...uss time bahut pada...fir meine Baaz ko dekha. Wo darr raha tha Sidharth...usko sab puraani baat yaad aa rahi thi...mein bhale koi sa bhi jahannum chali jau mere bhai ko uski bhanak tak nahi lagni chhaiye...kya kehte hai usse??Mein bahut wo hu usse leke...protective. Meine dekha ki agar mein tuti toh akele mein nahi tutungi...wo mere saath bikhar jayega...aur mein aage badhna chaahti hu Sidharth. jis atith m mere liye dukh ke alawa kuch nahi tha wahan mujhe nahi rehna na hi sochna hai. Mujhe khush rehna hai

Sid- Toh tu aage badh rahi hai tujhe lagta hai?

Sana- Tujhe pata meine tujhe uss waqt jab mere pairon tale zameen khisak gayi thi Pa- Mr. Santok ko dekh ke tab meine tujhe birthday wish karne kyun kaha?

Sid- Mein khud uss soch m pad gaya tha ki iss waqt tujhe ye kaise yaad hai?

Sana- Kyunki mera naya zindagi ka janam tha wo...jahan se tu hoga mere saath...Tu hai meri khushi...mein wo puraani Shehnaaz banke unke samne nahi jaana chahti thi...Mein teri thi mein teri shehnaaz banke jana chahti thi...isiley mujhe koi fark nahi pada kyunki mein uss wali Shehnaaz ko ab pehchaanti hi nahi jinko unlogo ne pala hai aur jiske baare m wo utna kuch bole jaa rahe the...bas Shehbaaz mera bhai hai itna hi atith se hai mera...baaki jo hai wo aj hai...aur wo aj mera tere saath hai

SIDNAAZ ( An Unforgettable Journey)On viuen les histories. Descobreix ara