52. Fighting with the demon

826 64 108
                                    

HEY !

     Many were unhappy with the way Shehry came out in the previous chapter so i felt it's tit bit necessary to explain something. There's a huge difference in ways man and woman display their emotions. When women tends to hide it,Man most often doesn't know how to display them,that results in coming out as anger or frustration. I think that's how Shehry reacted in the previous chapter. And i highly appreciate that you people are just not reading but reading it closely. I love how you guys try to connect with the characters,and you people are my favourite kind of people <3

Happy Reading :3

~~~~~~~~

Aliya,

       Main jaanta hun,jab tak tumhe yeh letter milega bohot dayr hogayi hogi,magar better late than never,right? ;-)

        Kuch bohot zaroori baat karni hai tumse aur fatafat karni hai kyun ke waqt bohot kam hai. Kitni ajeeb baat hai,jab waqt tha mauqa tha main baat nahi karpata tha tumse,ab mann karraha hai sirf tumse baat karun,duniya jahan ki saari baatein karun,hamare guzre hue kal ki aur aane waale dinon ki,apni aulaad ki..hamari beti ki ! Beti se yaad aaya,kesi hai woh? Yaqeenan tumhari tarah bohot pyaari hogi,main chahta hun uski muskurahat bilkul tumpe gayi ho kyun ke tum muskurati bohot kam ho,iss tarah se atleast tumhare aks nazar aajaenge,kya pata kal woh tumhe dobara muskurana sikhade?

    Main iss waqt duniya ka sabse khush insaan hun. Mujhe yaqeen nahi aaraha meri beti paida hui hai,main baap bana hun. Thank you Aliya! And sorry. Ab mujhe yeh nahi pata main apni kin harkotein ke liye sorry kehraha hun..list bohot lambi haina :D

      Anyways. Mudde ki baat karta hun. Tumhe pata hai,yahan Singapore me meri kisse mulaqat hui? Shehryaar Asif se. Haan,wohi Shehry se jiske haath ko thukra kar mera haath thaam kar mere saath chali aayi thi tum. Pata hai jab mujhe uska pehli baar pata chala,bohot gussa aaya tha mujhe..aisa laga jaise woh meri koi cheez chinne aaya ho.Magar woh meri kisi cheez ko kaise cheen sakta hai jab maine uss cheez ko kabhi apna banaya hi nahi? Ek din,do din..ek hafte se zyada uske saath raha,kabhi aisa nahi laga ke woh koi ghayr hai,apna pan sa taaluq bangaya uske saath,jaise doobte ko sahara miljata haina usi tarah ek khoye hue insaan ko uska pehla dost.

    Uska asar hogaya hai mujhpar,mann karraha hai dorh kar tumhare paas aajaun ;) Ironic,right? Magar yeh sach bhi hai. Jee chahraha hai sab chor kar ghar aajaun,aur sab kuch theek kardun. Kuch aur din Allah se maanglun aur unn chand dinon me saari zindagi jee loon tumhare saath Lekin kambakht,machines ne baand ke rak diya hai. Meri beti ko godh me lekar use yaqeen dilana chahta hun ke main uske paas hun,uska saaya banke rahunga,use har woh khushi dunga jo uska haq hai,use har azaadi dunga jisse uska baap mehroom raha hai,uski maa ko hamesha khush rakne ka waada karna chahta hun,har woh pyaar aur izzat jo sirf aur sirf uska hai woh saare uss par nichawarh karna chahta hun

       Tum soch rahi hogi na ke kaise pagalon ki tarah baatein karraha hun? Begum sahiba,death bed pe log aksar satak hi jaate hain x) Sach toh yeh hai ke,yeh saari ehsaas mujhme Shehry ne hi paida kiye hain. Use andaaza bhi nahi,woh jis shohar ko apni biwi ke pyaar ka ehsaas dilaraha hai woh usi ka pyaar hai. Maine uske saath rehte aankhein parhna seekh liya hai aur dekha ke woh tumhe bhoola nahi hai,woh abhi bhi tumse pyaar karta hai,Aliya. Yeah,that's your husband telling you !

      Woh tumhe letter dene aaya hoga,main kehne wala hun usse ke khud dene aaye tumhe. Letter leke bhej na mat,rok lena use Aliya. Apne liye,apni beti ke liye..meri khaatir. Baba ke ghusse se darr lagta haina tumhe? Jaanta hun. Kehdena unse,ke yeh unke bete ki sab se pehli aur aakhri khwahish hai. Unho ne kabhi mujhe ijazat nahi di ke main apni khwahish unke saamne rak sakun magar pehli baar main sach me unse kuch maangta hun,apni biwi aur bacchi ke liye. Main unse apni biwi aur beti ki khushiyan maangta hun.

SUN SAATHIYA   #MissionDesiUnde poveștirile trăiesc. Descoperă acum