Dil Ki Baatein

227 11 18
                                    

Aaj Sanyasi ji bahut late se ghar aaye. Mausam badal raha hai kya?

Said yuvi when he saw sid who enter in home late night.

Sid - Meri chhod tu itni raat tak kyu jaag raha hai?

Yuvi - Abhi abhi lauta hu. Lekin main to aksar late ho jata hu per tu to good boy hai na. Tu itni raat tak bahar kya kar raha tha? Kahi tera affair to nahi chal raha?

Sid - Yuvi tu bhi na...Nitya ke sath tha. Wo ghar pe akeli thi.

Yuvi - To tu kya uska akelapan door kar raha tha. (Yuvi gave him a wink with naughty smile)

Sid - Bus kar Yuvi tujhe her baat mazak lagti hai. Tere liye life masti mazak parties bus yahi hai na. Kyuki teri life me koi problem nahi hai. Koi struggle nahi hai. Tere bolne se pehle tere samne her cheej hazir hoti hai. Tujhe kuch pane ke liye kabhi sochna nahi pada kyuki tere paas sab kuch hai. Tu un logo ki category se aata hai jo log bina kisi tension ke apni life jeete hai kyunki unke paas paisa hai. Tune zindagi me kabhi dard dekha hi nahi isliye her cheej tujhe mazak lagti hai. Per sabke liye zindagi mazak nahi hoti. Kuch log apni life me itna struggle karte hai khud ko is duniya me zinda rakhne ke liye. Apni hifazat karne ke liye. Lekin tu ye sab nahi samjhega kyunki tere paas to sab kuch hai na. Aadi teri her demand sahi galat jo bhi ho puri karta hai. Tere liye khada rehta hai. Tujhe sochne ki zaroorat hi nahi. kyu sochega tu.

Yuvi - Wah... kya baat kahi hai. Main life bekifar hokar jeeta hu. Kisi baat ki tension nahi leta. Kyunki mere paas paise hai. So true... lekin ek baat kahu main aisa hu iska matlab ye nahi hai ki mere paas dard nahi hai. Tu janta hai apne dard se bhag kar main yaha aaya hu.

Sid realised that he was so rude to Yuvi and it's hurt him.

Yuvi - 10 saal ka tha jab mom ki death ho gayi. Papa ne apni ex girlfriend se shadi kar li. Ghar me unki biwi aayi or meri maa ki jagah us ghar se humesha ke liye khatam ho gayi. Papa ki new wife ko mera wazood hi bardasht nahi hota tha. Unhe mere her kaam se problem thi. Isliye main jyada waqt ghar se bahar rehne laga. Late night parties friends bus yahi meri duniya ban gaye. Bada hua tab Papa ko dhyan aaya ki main unka beta hu Kyunki unki ex girlfriend unki wife to ban gayi per unke bacche ki maa nahi ban payi. Isliye as his waris wo mujhe apne business me lagana chahte the. Lekin mera interest her us cheej se khatam ho gaya jo mere Papa se judi thi. Mujhe ye kehne me bilkul sharam nahi aayegi ki main mere Papa ko kuch khas pasand nahi karta. Isliye to maine unka surname Singhaniya apne naam se alag kar ke apni mom ka surname laga liya or ban gaya "Yuvraj Khurana". Itna napasand karta hu main apne Papa ko Kyunki unhone mujhe tab pyaar nahi diya jab mujhe zaroorat thi. Wo to new wife or apne business me busy the. Wo pyaar maine bahar dhoondha. Or fir yaha aa gaya apni dadu ke paas. Apne bhaiyo ke paas. Yaha aakar mujhe wo pyaar mila jo mere Papa ne meri maa ke marne ke baad mujhe kabhi nahi diya. Aaj hai mere paas paisa lekin bus paisa hi hai.... mummy Papa nahi hai. Aadi khada rehta hai mere liye her waqt lekin fir bhi Papa ki kami to mehsoos hoti hai na. Ye zaroori nahi ki paisa hai to insan khush hai. Aadi bhi to apne mom dad ke toote rishte ka dard jhel raha hai na. Us dard ne uske andar pyaar shabd ke liye zehar bhar diya hai. Or tu khud ko dekh na. Tu bhi Bua ji or Fufa ji ke us rishte ko bachane ki kosis me laga rehta hai jo andar se khokhla ho chuka hai. Bus tere naam ki ek patli si dor hai jiske sahare wo tika hai.

Sid - Such hai Dard to hum sabki life me hai. Bus usase nibatne ke trike alag alag hai. Aadi apne gusse me tu masti me or main apne art me unhe kum karne ki kosis karte hai. Bahar se logo ko lagta hai ki in bade bade gharo me rehne walo ko koi problem hoti hi nahi hogi. Lekin inke band darwazo se jhaak kar koi dekhe in mehlo ki deeware bhi dard se rangi hoti hai. Or funny baat pata hai kya hai hum na cheekh sakte hai na to ro sakte hai kyunki status hai humara. Bus andar hi andar apne dard ke sath jeete hai muskura kar parties me poses dete hai taki logo ko lage all is wel. Humara khandan itna bada hai na ki rishte chhote pad gaye. Or itna paisa hai ki pyaar ke liye jagah hi nahi bachi.

Love Ne Bana Di Jodi Where stories live. Discover now