VAAHAN

1.3K 92 13
                                    

Amarsri was currently at Kailash as Mata Parvati and Mata Laxmi had called her for some surprise.

"Narayan-Narayan, Devi Amarsri aap yaha ?" Narad muni asked, appearing out of nowhere.

"Mata Parvati aur Mata Laxmi ne bulaya hai, munivar. Mujhe kuch dena chahti hai." Amarsri said.

"Narayan-Narayan ati uttam. Waise kya dengi woh aapko ?" Narad muni asked.

"Mujhe gyath nahi." Amarsri said.

"Kya !? Aap toh Mahadev ke bhati trikal-darshi aur trikal-gyaani hai Narayan-Narayan aapko gyath nahi ?" Narad muni said in disbelief.

"Awashya hu, kintu bhavishya dekhna mujhe pasand nahi. Jeevan aaj mai jeena chahti hu, aane wale kal ki chinta mai nahi." Amarsri said.

"Uttam vichar hai aapke Narayan-Narayan." Narad muni said.

"Putri tum sahi samaya par aayi ho ! Tumhara uphar tumhari pratiksha kar raha hai." Mata Parvati said coming out of a cave.

"Kya mai bhi woh uphar dekh sakta hu Mata Parvati ?" Narad muni asked.

"Awashya munivar." Mata Parvati said.

The three went inside the cave and Amarsri jaw dropped seeing the majestic creature in front of her.

The three went inside the cave and Amarsri jaw dropped seeing the majestic creature in front of her

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Putri maine aur Devi Parvati ne socha ki tumhe koi uphar de jo humara pratik ho. Sher Devi Parvati ka pratik hai aur iske pankh mere Vahan ullu ki tarah shwet hai." Mata Laxmi said.

"Yeh teevra gati se sansaar ke ek kone se dusre kone mai jaa sakta hai. Maine aur Devi Laxmi ne Brahmadev se keh kar tumhare liye nirmit kiya hai. Tumhare iss vahan jaisa na koi hai aur naa hi koi hoga." Mata Parvati said.

"Tumhe pasand aaya ?" Mata Laxmi asked.

"Adbut hai." Amarsri said as she went closer to her Vahan.

The flying lion bowed and touched her feet with his head, Amarsri kept a hand on his forehead and caressed it. He was huge compared to ordinary lions. Suddenly a bright light emerged from him and from a lion he turned into a man. In his manly form he was muscular and had long black hair.

 In his manly form he was muscular and had long black hair

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Kya naam hai tumhara ?" Amarsri asked.

"Jab janm huya tha toh mera tej surya ke saman tha, iss liye Mata Saraswati ne mera naam Suvarchas rakha tha." Suvarchas said.

"Adbhut." Amarsri said.

"Devi Amarsri mere Jeevan ka ek hi udeshya hai aapki sewa karna, mujhe apne vahan ke roop mai swikar kare." Suvarchas said joining his hands.

"Mai tumhe swikar karti hu, kintu tum rahoge kaha ?" Amarsri said.

"Iska hal hai humare paas." A voice echoed. They all turned their heads and saw Brahmadev and Devi Saraswati, they all greeted them.

"Putri Amarsri jab Mahadev aur Narayan, Harihar swaroop se alag huye the tab uski urja se tumhara janm huya tha, uss samaye uss urja se ek Lok ka janm bhi huya tha. Woh Lok iss sansar ek bich mai hai toh se tum sansaar ka santulan bhi banaye rakh sakti ho." Mata Saraswati said.

"Kya uss Harihar lok mai koi nahi rehta ?" Amarsri asked.

"Rehte hai, 4 brahman yuvan jo varsho se tumhari pratiksha kar rahe hai." Mata Saraswati said.

"Kaun hai yeh brahman yuvaan ?" Amarsri asked.

"Rishi Guptacharya ke 4 putra the Adhrit, Chitraksh, Divit aur Virabh. Apni Mrityu se pehle Rishi Guptacharya ne charo bhaiyo se kaha tha ki woh kisi ek bhagwan ko apna aradhya banale, taki unme ekta ka bhav bana rahe. Adhrit aur Divit chahte the ki Mahadev unke aradhya bane kintu Chitraksh aur Virabh chahte the ki Narayan unke Aradhya bane. Bhaiyo mai aapsi jhagda na ho iss liye unki Mata ne unhe sujhav diya ki woh Brahmadev ki aradhna kar unse inka hal mange." Mata Parvati said.

"Fir kya samadhan mila ?" Amarsri asked.

"Maine unhe hal diya ki woh Harihareshwari ko apna aradhya maan le jo Narayan bhi hai aur Mahadev bhi. Aur kaha ki woh Harihar lok ki dekh-bhal kare bas tab hi se woh charo wahi rehte hai." Brahmadev said.

"Jao putri Harihar lok mai reh kar sansaar ka santulan sambhalo." Mata Saraswati said, Amarsri nodded.

"Awashya." Amarsri said.
---------------------------------
A/N
I GOT THE IDEA OF BRAHMINS FROM SHAIVATIS AND VAISHNAVATIS. SHAVATIS HINDU WORSHIP SHIVA AND VAISHNAVATIS HINDU WORSHIP VISHNU. BUT HARIHAR SWAROOP IS WORSHIPPED BY BOTH.

NARAYAN-NARAYAN CHAPTER ACHA LAGA TOH VOTE KARDO.

HARIHARESHWARI 2 : BHAKT AUR BHAGWAAN Where stories live. Discover now