FORGOTTON MEMORIES

1.1K 72 7
                                    

Mata Laxmi just returned after meeting her father, Samudradev. He informed her that her sisters consider Narayan as their husband and are doing Hard penance to get him. This for some reason made her feel insecure, she feared that Narayan will listen to their prayers and give them the title of wives. She knew that Narayan who is meditating with closed eyes and a charming smile always meditates either about her, Mahadev or his devotees. But right now she was nervous if his smile is about her sisters who are also his devotees.

"Kya hua devi aap itni vyakul kyu lag rahi hai ?" Narayan asked opening his eyes.

"Swami, pitaji ne mujhe bataya ki kis tarah meri paacho behen aapko apna pati maan kar pujti aa rahi hai, tab se meri vyakulta badh gayi hai. Satya kahiye swami kya unke vichar aapke muskurahat ka karan nahi the ?" Mata Laxmi asked. Narayan looks at her in disbelief.

"Swami aaj aap vishwas dila dijiye ki aapke hridaye mai keval mai hu, meri vyakulta dur ho jayegi." Mata Laxmi said.

"Yeh aap kya keh rahi hai devi ? aap iss satya se anabhigya nahi hai ki mere aadhe hridaye mai keval Mahadev rehte hai. Toh mai aapki vyakulta shaant karne ke liye yeh kaise keh du ki mere purn hridaye mai keval aap hai ?" Narayan said.

"Toh thik hai, yadi aapke aadhe hridaye mai Mahadev hai toh uske atirikt aadhe hridaye mai keval mera sthan hai. Keh dijiye yeh satya hai." Mata Laxmi said.

"Ha yeh satya hai, mere hridaye ke dusre bhaag mai aap bhi hai devi." Narayan said.

"Mai bhi ?! arthat aur kaun rehta hai swami ?" Mata Laxmi asked.

"Mere bhakt jo mujhe priye hai, Amarsri jo mujhe priye hai, yeh sansaar jo mujhe priye hai. Yeh sab bhi mere hridaye ke aadhe bhaag mai aapke saath rehte hai." Narayan said.

"Kintu mere hridaye mai keval aap rehte hai ! yeh sansaar, Amarsri aur mere bhakt mujhe bhi priye hai swami, kintu mera hridaye keval aapke liye hai. Usme aapke saath maine kisi aur ko sthan nahi diya hai ! Fir apne Hridaye mai mujhe apne Bhakto ke saath kyu rakhte hai aap ?!" Mata Laxmi said.

"Kintu yahi satya hai." Narayan said.

"Toh iss satya ko badalna hoga, aaj se aapke hridaye keval mera sthan hoga !" Mata laxmi said.

"Yeh asambhav hai." Narayan said.

"Jagat ke palanhar se yeh 'asambhav' shabd sunke ashcharya ho raha hai. Aap chahe toh kuch bhi ho sakta hai, kintu aap yeh chate hi nahi ! mujhe aapka prem sampoorn swaroop mai chahiye aur yadi yeh sambhav nahi hai toh aap mujhe apne hridaye se nikal dijiye !" Mata Laxmi said. Narayan looked at her in disbelief, how can she say that ?

"Rahiye apne bhakto ke saath, jo aapko mujhse adhik prem karte hai aur jo aapko mujhse adhik priye hai." Mata Laxmi said.

"Yeh aapne kya keh diya devi ? aap aur mai ek dusre se alag kaise ho sakte hai ? aap abhi krodhit hai, jab aapka man shaant hojayega tab hum iss vishaye par punah charcha karenge. Aur mujhe vishwas hai aapko apni bhul ka abhas Awashya hoga." Narayan said.

"Nahi mera yeh nirnaye atal hai !" Mata Laxmi said and Narayan disappeared from their.

Down in patal lok, the sisters of Laxmi were about to kill themselves in the fiery pits because they couldn't get Narayan in this life. They thought maybe after death they might get him. They were about to jump in the fiery pits but Narayan stopped them.

"Rukiye, mai aap sabki tapasya se prasnn huya." Narayan said, they both turned and were delighted to see him.

"Hey Narayan aapne humari prathna sunli !" first sister said.

"Kya aap hume man-chaha vardaan denge ?" the second sister asked

"yadi nahi toh hume Mrityu ko prapt hone dijiye, kyuki aapko milke bhi agar humari iccha purn nahi huyi toh isse kathor dand humare liye kuch bhi nahi hoga." third sister said.

"vardaan mangiye mai Awashya dunga." Narayan said.

"Vardaan ke swaroop mai hum pacho aapko pati ke roop mai paana chahti hai." The fourth sister said.

"Yadi aap humse prasnn hai toh hume apni patni ke roop mai swikar kijiye aur yahi humare saath rahiye." The fifth sister said

"Aur agar aap humari iccha puri karte hai toh aapko samast sansaar ko bhulana hoga, abhi tak ki sabhi smritiya aapko apne hridaye se mitani hogi. Taki aapka atit aapko humse kabhi dur na kar paye." The first sister said.

"Yadi yahi aapki iccha hai toh aapki yeh iccha Awashya puri hogi. Mai abhi issi shan apne atit ko purn tarah bhulata hu." Narayan said as he closed his eyes forgetting all his memories, forgetting everyone even Mahadev and Amarsri. Now he even forgot who he was and thus the 2 hands of behind vanished with the Sudarshan Chakra, the Shankhnaag, the kaumodiki gada and the lotus in his hands, all vanished.

In Kailash everyone was sitting and talking when Amarsri suddenly winced as she felt a sudden pain in the right side of her head, Mahadev too frowned as he came to know about the circumstances.

"Amarsri kya hua ?" Mata Parvati asked.

"Pitashree Narayan.." Amarsri half-whispered, the right side of her body was of Narayan therefore she immediately came to know something was off.

-----------------------
A/N
HEY MAA !!!! MATAJI !!!!! YEH KYA HOGAYA ?!?!

(Iska idea mujhe devo ke dev Mahadev se mila)

HARIHARESHWARI 2 : BHAKT AUR BHAGWAAN Where stories live. Discover now