BRAHMADEV ORDERS HIS SONS

666 65 9
                                    

The bal-rishis after a long debate took Mahadev with them to their ashram. This worried the our group in vaikunth, they weren't expecting it to go this far.

"Yeh humse kaisi bhul hogayi ?" Mata Parvati cried.

"Aapne wahi galti ki jo Mata Laxmi ne ki thi, aapne yeh socha ki Mahadev par keval aapka adhikar hai." Amarsri said coming towards her.

"Kya kuch kiya nahi jaa sakta ?" Mata Parvati asked.

"Isme mai aapki sahayata nahi kar sakti, Aapko iska hal swayam nikalna hoga." Amarsri said.

"Samasya humne utpan ki hai toh hal bhi hum hi karenge." Mata Parvati said with determination in her eyes.

--

The Bal-rishis and Mahadev were walking through a forest.

"Mahadev, humare paas koi guru nahi hai aap kripiya hume apna shishya bana le." Sanandan said.

"Guru ke bina kisi ka Jeevan safal ho hi nahi sakta, kripiya hume apne Shishya ke roop mai swikar kare, prabhu." Sanat-kumar requested.

"Awashya, mai tum Brahmaputro ko apne shishya ke roop me swikar karta hu." Mahadev said.

Suddenly Brahmadev appears out of nowhere in front of them.

"Pranam Pitashree." The Bal-rishies greeted.

"Ayushman bhava. Yeh tum kya kar rahe ho putro ? Mahadev ko mukt kardo." Brahmadev said.

"Pitashree, Mata Parvati ne Mahadev ko hume swayam daan kiya hai. Aur daan ki vastu kabhi lautayi jati hai bhala ?" Sanak said.

"Mahadev ka sthan Devi Parvati ke Jeevan mai hai, kailash mai hai, yeh toh samast sansaar ke hai. Agar tum log inhe apne paas rok loge toh anarth ho jayega." Brahmadev reasoned.

"Nahi Pitashree, yeh toh Mata ko daan dene se pehle sochna chahiye tha." Sanat-kumar said.

"Toh kya tum charo meri baat nahi manoge ?" Brahmadev asked.

"Brahmadev, dosh inka nahi hai. Daan ke pashchat mujh par keval inka hi adhikar hai." Mahadev said.

"Yeh kaise ho sakta hai Mahadev ? Aap bhali-bhati jaante hai ki iska parinaam sansaar ke liye vinashkari sidh ho sakta hai." Brahmadev said.

'Aap nishchint rahe Brahmadev, aap bhi jaante hai jo hota hai acche ke liye hi hota hai.' Mahadev said telepathically. Brahmadev smiled.

"Agya de." Mahadev said and Brahmadev disappeared.

They all resumed their journey.

--

Here in Swarglok, Indradev was laughing like a maniac.

"Mahadev ! Jinke karan hum sab hai, aap hai, mai hu, yeh samast shrishti hai. Aaj unki patni ne unka hi daan kardiya." Indradev chuckled.

"Aisa naa hi kabhi dekha na suna, jo vidhi meri patni ne apnayi thi woh Mahadev par ulti pad gayi ?!" Indradev mocked. The rest of the gods looked at him in disbelief.

"Yeh hasya ka vishaye nahi hai devraj ! Yeh ek bahut badi samasya hai jiska aapko abhas bhi nahi hai ! Agar hum par koi sankat aagaya toh kaun humari raksha karega ?! Sankat aayega toh sabse pehle aap hi 'MAHADEV-MAHADEV' karke bhagenge !!" Devguru Brihaspati scolded. Indradev scoffed.

-----------------------------
A/N
BHAI AMARSRI MAIN CHARACTER HAI ISKA YEH MATLAB TOH NAHI KI SARE PROBLEM WOH HI SOLVE KARE.

BRIHASPATI HAD A POINT, SABSE PEHLE INDRADEV HI 'MAHADEV !! BACHAHIYE MAHADEV !!' KARKE BHAGTE HAI.

HARIHARESHWARI 2 : BHAKT AUR BHAGWAAN Where stories live. Discover now