The Lost Epistle...(Part 3)

91 6 25
                                    

"Dekho bhai, humare paida hone se khuch saal pehle hi Bose Babu hamesha ke liye Indore choodh kar chale gaye"

Oops! This image does not follow our content guidelines. To continue publishing, please remove it or upload a different image.

"Dekho bhai, humare paida hone se khuch saal pehle hi Bose Babu hamesha ke liye Indore choodh kar chale gaye"

"Kahan ?"

"Shayad Kolkata"

Sidhant sighed.

He looked at Chandu kaka who was busy in fixing the antina of the almost dead radio.

Both of them were sitting on that long bench of that old Nukkad.

"Arey khuch aur toh pta hoga na unke baare mein apko?", Sidhant again asked him.

Tired of that vintage radio, Chandu kaka kept the radio aside and now shifted his entire concentration on him.

"Vaise maine kai baar apni Maa se Bose Babu ke vishay mein pucha , par har baar unhone yahi kaha ki Bose Babu aur unki ek lauti beti ke sath bhout bura hua tha. Meri maano, iss ghar ke baare mein bhul jao, iski kahani sunoge toh man dukhi ho jayega"

"Arey kaka meri baat ko samajhiye na!", Sidhant pleaded and then ordered the nukkad wala for another two cups of tea.

"Accha , mujhe jo khuch bhi pta hai main bta deta hoon , par ab iske baad is vishay mein tum mujhse koi charcha nhi karoge!"

"Thikh hai! Ab aap shuruwat se bataiye,( to the chai wala) arey bhai kaka ki chai mein adrak zyada dalna!"

Chandu kaka scoffed at his fake hospitality and started with the saga of Bose Babu ka makan.

"Toh ye baat hamari maa ne hame batai thi. Shubhsen Bose naam ke ek vyapari apni ek lauti beti ke sath yahan Indore mein rehne chale aye. "

"Unki beti ka kya naam tha?"

"Tchh! Dekho bhai bich mein na toka karo! Hame nhi pta ki unki beti ka kya naam hai! Hamne kaha na hum wahi batayeinge jo hame pta ho!"

"Accha sorry kaka! Aap aage boliye!",Sidhant joined his hands together.

Kaka sighed and continued,"Log unhe Bose Babu keh kar bulate the. Vo Kolkata ke sabse bade aur prasidh vyapari the aur lokpriye krantikari bhi the. Unki sabse zyada shatruta angrezon se thi. Ek din khuch firangiyon ne unke ghar par akraman kiya. Us akraman se unki patni ka dehant ho gya. Tab bhi Bose Babu kranti ki rah par chalte rahe. Par jab unki 2 saal ki beti ki jaan par baat ai, tab unke bhitar ka pita jaag gya aur vo apni beti ke sath yahan chale aye.

Vo Kolkata ko chodh aye aur unke pich - piche unki kranti ki jwala bhi sath ai.

Unhone khuch hi varshon mein yahan par bhi apna vyapar shuru kar diya.

Ye Vikram Seth hai na?"

"Haan, toh?"

"Toh Vikram Seth ke pita, Narayan Seth aur Bose Babu ghanishth mitra ban gaye the.

Abhi us samay hamare pita Pankaj, Seth sahab ki seva karte the.

Narayan Seth, Bose Babu, Vikram Seth, aur hamare pita ke alawa Vikram Seth ki behen aur Bose Babu ki beti ne kai krantikari morchon mein bhagh liya.

Maano iss colony mein ek nai kranti ki jwala dhadhakne lagi. Pure 20 varshon tak vo yahan par rahe. Aur jab tak rahe,tab tak angrezon ki naak mein dum kar rakha tha.

Phir azadi se thikh 3 varsh purv ek bhout badi durghatna ghati"

"Kya hua tha? Kaisi durghatna?",Sidhant anxiously asked him.

"Hua ye tha ki...",he was interrupted by the voice of his phone.

His old nokia keypad was ringing, flashing an alarm setting.

Chandu kaka punched the keys to switch off the alarm.

"Bhai ab Seth ji ke uthne ka time ho gya hai, hum baad mein baat kareinge",he said and got up from the bench, stretched himself and grabbed that old radio and headed off towards the house.

Siddhant hated this. Now he had to survive with this cliffhanger till god knows what time.

******************************

Sidhant wanted to run away. This endless shopping was driving him crazy.

His wife and sister were roaming around the local market with Sidhant helplessly following them.

Finally for Sidhant's relief both the ladies decide to halt at a cafe.

Natasha excused herself as she got a call from her fiance. As she left an uncomfortable silence grew between the two.

In order to break the ice , Anchal initiated a conversation," Tum aaj Chandu kaka se kya baat kar rhe the?"

"Why? Keeping an eye on your hubby?",he teased her.

"Ohh please! ",Anchal scoffed and said," Chandu kaka ne bataya mujhe"

"Ye kaka ke pet mein ek baat nhi pachti!", Sidhant mumbled.

"Anyways, I can understand. That house is intriguing!"

Sidhant was both surprised and glad on knowing that even she was inclined towards the Bose's house.

"I am surprised tumne uss ghar ke baare mein Chandu kaka se pucha jabki tum sidha Vikram uncle se bhi puch sakte the?",Anchal asked .

"Vo buddha....",Sidhant started but suddenly received a small smack on his shoulder from Natasha who occupied her seat.

Sidhant glared at her as he rubbed his shoulder while she glare back him.

All while Anchal was enjoying this cute fight between these siblings.

"Tum Vikram Seth ki rishte mein khuch lagti ho kya? I am sure mummy papa ne tumhe unhi se adopt kiya hai!"

"Of course jab apna khudh ka beta nikamma ho toh phir dusra baccha adopt karna hi padta hai!". *Thug life*

******************************

"Vaise Bose Babu aur Vikram uncle ki kahani prior independence par based hai, tum bore toh nhi ho jaoge?"

"Tum kahani shuru toh karo!", Sidhant said .

"Okay. Vikram uncle apne parents aur sister Kusum Seth ke sath kafi krantikari plans mein shamil hue the. Par peer pressure mein akar.

Unke parents aur sister ko desh se saccha payaar tha aur Vikram uncle ko sirf.....",she stopped midway.

She realized that she was about to break a promise.

Both Natasha and Sidhant kept looking at her , wondering what the story had stored for them.

©Midnight Story Over A Cup Of CoffeeWhere stories live. Discover now