CHAPTER 5

703 65 33
                                    

The 4 Bal-rishis, Sankadik Kumaras came to Vaikunth to do the darshan of Narayan. They passed through all the gates but were stopped at the last one, by Jay and Vijay.

"Theheriye, kaun hai aap ?" Jay asked.

"Hum hai Sankadik kumar." Sanat Kumar said.

"Kis udeshya se yaha aaye hai ?" Vijay asked.

"Prabhu ke dwar par bhakt kis udeshya se aata hai Dwarpalo ? Hume unke darshan karne hai." Sanak Kumar said.

"Aap unse abhi nahi mil sakte." Jay said.

"Kyu nahi ?" Sanatan Kumar asked.

"Prabhu abhi Shreeshaktiswar aur devi Harihareshwari ke saath hai." Vijay said.

"Prabhu toh sadev sabhi ke saath hote hai. Tum hume jane do." Sanandan kumar said.

"Vichitra prani hai aap, jab ek baar aapse keh diya ki aap prabhu se nahi mil sakte toh fir laut kyu nahi jate ?" Jay said.

"Hey dwarpal, hum bahut dur se apne Laxmi-narayan ke darshan hetu aaye hai. Kripya hume jane de." Sanat Kumar said.

"Ek baar keh diya ki aap abhi bhitar nahi jaa sakte toh hatt kyu kar rahe hai ?" Vijay asked.

"Dwarpalo, path ka abhimaan uchit nahi hota chahe woh kitna bhi ucha oath kyu na ho." Sanatan Kumar said.

"Aur tum dono toh Dwarpal ka chhota sa path paake itrane lage ? Yeh uchit nahi." Sanak Kumar said.

"Oh ? Ab Narayan ke Dwarpalo ko balaji se gyaan lena padega ?" Jay scoffed.

"Rusht na ho Brahman-devta, aap kahe toh hum aapke liye divya khilone le aaye ?" Vijay mocked.

Both Jay and Vijay laughed but seeing such arrogance the Sankadik Kumaras were not happy, they were angered by the ignorance of the dwarpals who insulted the first Manas putras of Brahma.

"Bas Dwarpalo !" Sanak Kumar said.

"Kya tum nahi jaante ki atithi ka apmaan kitna bada paap hota hai !?" Sanat Kumar scolded.

"Tumne humara apmaan kar uchit nahi kiya !" Sanandan kumar said.

"Tumhe iska dand awashya milega !" Sanatan Kumar said.

The four Bal-rishis, poured water from their kamandal in their hands. Seeing this Jay and Vijay panicked.

"Jay aur Vijay ! Hum Sankadik Kumar yeh shraap dete hai ki tum dono 7 baar Asur-pravriti mei janm loge !" The kumaras cursed throwing the sacred water on them.

At that moment the last door of Vaikunth opened, Bhagwaan Vishnu, Mata Laxmi, Amarsri and Srinav came out and payed their respects to the 4 rishis.

"Vaikunth mei aapka swagat hai Sankadik kumar." Narayan said with utmost humility.

"Hey prabhu ! Inn rishiyo ne hume shraap de diya hai." Jay said.

"Kripiya hume iss vidambana se ubhare Shri Hari. Hum toh keval apne kartavya ka palan kar rahe the." Vijay said.

"Kartavya palan ? Kartavya palan ka yeh arth toh nahi ki tum dono mere aur mere bhakto ke bich ki diwaar ban jaye." Bhagwan Vishnu said.

"Jay Vijay, aap dono se ghor apraadh huya hai. Aur iss apraadh ka dand toh milna hi tha. Hey Chatursan Kumar, inke udandata ke liye mai, Vaikunth-swamini aapse kshama maangti hu." Mata Laxmi said.

"Jay-Vijay, jis prakar vriksh aur uski jado ka nata koi nahi tod sakta, uss prakar bhagwaan aur bhakt ke bich koi nahi aa sakta." Srinav said.

"Jab bhi koi ishwar aur bhakt ke bich aane ka prayas karega, kisi na kisi roop mei awashya dand payega." Amarsri said.

"Mere darshan-aabhilashi meri sampatti hai, aur mai swayam unki sampatti hu. Hum dono ka ek dusre par samaaj adhikar hai. Hey rishi-gan aapke saath Vaikunth mei jo kasht huya, uske liye mai aapse kshama maangta hu." Narayan said.

"Nahi nahi prabhu ! Aap hume lajjit na kare !" The kumaras said.

"Prabhu, hum apni bhul swikarte hai." Jay said.

"Hey param-pita, humara uddhar kijiye." Vijay said.

□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□□
A/N

In the previous chapter I asked you a Trivia as to why Vaikunth is right above Chaitanya lok ?

Answer - Chaitanya means consciousness, spiritual consciousness in this case. And when someone is spiritually conscious only then they can be free of Maya and all the material miseries.

And thus Vaikunth comes above Chaitnya lok, it signifies once you get spiritually conscious then you level up to Vaikunth, the state free of anxiety.

HARIHARESHWARI 7 : VARDAAN AUR VIKALPWhere stories live. Discover now