EPILOGUE - 2

2.9K 156 91
                                    

Hey guys...

Enjoy this part...😊

.............................................................

After 3 years,

Karan, Khushi and Faizi were standing in front of Monami and Koel. They were looking down as they were getting scolded. Kairaa, Faiyaz, Mira and Kabir were busy in their world, playing around.

They haven't had any slightest idea that because of them, their Mummas are scolding their elder sister and their Papas. They all glared at their juniors but Koel said in between...

Koel (Glaring at Karan, Faizi and Khushi) - Unhe aise ghurna bandh karo.

Monami (To Koel) - Khushi ko mat daat Koel. Vo to bachi hai but ye dono to bade hai na, samajhdaar hai. (To Karan and Faizi) Aap dono bhi bacho ke sath bache ban gaye?

(To Karan) Aapko to pata hai na Karan ke kitni Mushkil se bachaya tha humne Mira aur Kabir ko??? Pure 1 month 2 days pehle aaye the ye bache. Hum apne bacho ko khonewale the. Aapne unhe gila kaise rehne diya itne waqt tak.

Koel - Tumhe pata hai na Faizi ke Faiyaz ko gile hone se jaldi sardi lag jaati hai to tumne unhe itne waqt tak pani me kyu khelne diya???

Monami - Unhe bas nehlana tha, pani me khelne nahi dena tha, jo itni der tak unhe Pani me rehne diya. What's wrong with you guys???

Koel (To Monami) - Maine bola tha na Mona ke bacho ko sambhalna inke bas ki baat nahi hai. Inhe to bas apne business ko sambhalne bol do utna kafi hai.

Monami (To Karan & Faizi) - Ab aap dono niche kya dekh rahe hai? Kuch boliye bhi...

Koel took her children and Monami her's in their bedrooms, out of anger towards Faizi and Karan, respectively.

Karan (To Faizi) - Shadiyan karne ke liye bhi hume ye bhukhi sherniyan hi mili thi yr??? Main ek acha khasa Mafia King tha log darke hi sahi but respect karte the meri aur ab dekh sara khauf hi khatam ho gya hai mera. Bheegi billi banke rehna padta hai apne hi ghar me.

Faizi (To Karan) - Aapki halat to fir bhi sahi hai janaab. Aap apniwali ko jakar ek sorry pyaar se bol dege to vo to maan jayegi. Humare palle to babbar sherni padi hai aur ye babbar sherni hume kitna nachati hai, aapko kya bataye janaab.

Karan - Tujhe lagta hai ke ye sirf sorry se manegi??? Mujhe nahi lagta.

And they both sat on the sofa with a thud. Suddenly, they felt a hand on their shoulder in a hugging manner. It was Khushi.

Karan - Ab aapko bhi Dada ko kuch bolna hai?

Faizi - Dekhiye Khushi.... Kam se kam apne Chachu pe to rehem kha lijiye.

Khushi - Offo.... Dada and Chachu, aap dono kitne bade darpok ho. Mumma aur Chachi se aise hi dar jaate ho yr.

Karan pulled her in front of him and made her sit in his lap. Faizi smiled seeing this and said....

Faizi - Beta hum aapki Mumma aur Chachi se darte nahi hai, hum un dono ko khone se darte hai. Isliye hum unhe kisi bhi tarah se gussa nahi dilana chahte aur na hi hurt karna chahte hai.

Karan - Hum na aapki Mumma aur Chachi se bahot pyaar karte hai isliye hum chahte hai ke vo hamesha humare sath rahe. Mumma - Dada and Chacha - Chachi ke beech koi dar nahi hota hai bache.

Faizi - Jaise aapki Chachi aapko pamper karti hai, aapko gifts deti hai, vo isliye ke vo aapse bahot hi zyada pyaar karti hai aur aapki care karti hai.

Karan - Jaise kisi bhi anjaan ke samne Mumma aapko protect karti hai, aapke liye lad bhi leti hai, vo isliye kyuki aap unke pehle bache ho aur bahot important ho hum sabke liye. Hum sabhi aapse bahot hi pyaar karte hai.

Aur Mumma sahi bhi thi, aapke dono chote bhai - behen ko humne bahot hi mushkil se bachaya tha. To zahir si baat hai ke, aapki Mumma dar to jayegi hi.

Faizi - Aur vaise hi, Faiyaz ki bhi tabiyat kharab hoti rehti hai, atmosphere change me. To isliye Koel Chachi bhi thodi si dar gai thi.

Khushi - Are to fir to aapki hi galti hai. Aap dono ko unko jakar sorry bolna chahiye. Jao - jao jaldi.

Karan and Faizi laughed heartily, listening Khushi. They didn't know that Monami and Koel were there only and heard the whole conversation. They were there after putting their children to sleep. Suddenly, Monami spoke up....

Monami (To Khushi) - Bilkul.... Sorry to aapke Dada ko mujhe bolna hi chahiye.

Koel (To Khushi) - Aur aapke Chachu ko mujhe.

Faizi (To Khushi) - Khushi beta, aap apne room me jakar apna homework kariye....

Karan (To Khushi) - Tab tak hum aapki Mumma aur Chachi ko mana ke aate hai.

Khushi got down from Karan's lap and ran into her room. Karan and Faizi got up from the sofa and went towards there respective partners. They said at the same time....

Karan/Faizi - Monami/Koel.....

They both looked at eachother. Monami and Koel smiled at them. Monami spoke up....

Monami - Aapko sorry bolne ki koi zaroorat nahi hai, Karan. Gusse me, main ye bhul gai thi ke ye HUMARE bache hai, naki mere akeli ke. Main ye bhul gai thi ke jab hum apne bacho ko khone ki kagar pe the tab sabse zyada aap roye the. I'm sorry, Karan. Mujhe aap pe aise nahi chillana chahiye tha.

Karan didn't say anything but hugged her. Koel and Faizi smiled at them and Koel said....

Koel - Mujhe bhi maaf kar do Faizi. Main pata nahi ye kaise bhul gai ke jab - jab Faiyaz bimaar pada hai, tum hamesha uske sath uski parchhai banke rahe ho. Infact itni umra ke bache hamesha apni maa ke pas zyada rehte hai but Faiyaz hamesha tumhare sath hi comfortable mehsoos karta hai. Mujhse zyada vo tumse attached hai.

Faizi also hugged her but didn't say anything. Karan said....

Karan - Chalo matlab is baar tum logo ko manane ki mehnat se hum to aise hi bach gaye, nahi Faizi???

Faizi - Bilkul sahi kaha tumne, Karan. Varna humne to socha tha ki pata nahi is baar humari biwiyan humse kya - kya karvayegi...!!!

Monami and Koel hit Karan and Faizi respectively. Karan and Faizi laughed heartily and Monami and Koel joined them. Suddenly, they heard Khushi's call....

Khushi (Shouting loudly) - Mumma, Dada, Chachu, Chachi.... Mere chhotu bhai - behen jag gaye. Jaldi aayiye....!!!

They all laughed listening this and they all went towards their children, in their bedrooms.....
.............................................................

Here's the last part of an epilogue guys...

How was it???

Here's the final end guys....

Please like and comment and share your opinions and ideas...😊😊😊

Good bye for this story dear readers...❤️❤️❤️

MY SALVATION (COMPLETED)Where stories live. Discover now