𝐊𝐚𝐫𝐳

383 41 10
                                    

Continued from the previous part of the story.....

Yukti kuch kehna chahti thi. Lekin uske bolne se pehle hi Gulki ne uski kamar pe pinch kiya. Woh dard se chok gayi.

Yukti : Shh! Gulki mein toh tumhari bachpan ki dost hu, tum mujhe ese treat kaise kar sakti ho.

Tabhi baaki sab zor se hash pade.

Gulki : Shut up !!

Harne ke baad Yukti ka mood bigad chuka tha. Yukti ko chup karake Gulki Rahil ki taraf mudi.

Gulki : Mujhe maaf kardo. Joh bhi karz hain mein woh sara chuka dungi. Meri dost bas mazak kar rahi thi. Please iski baat ka bhura mat manyega.

Yeh kehkar Gulki Rahil ke reaction ka intezar karne se pehle hi, Yukti ko lekar waha se nikal gayi. Rahil aankhon mein gussa liye apni jagah par hi khada reh gaya.

Usme itna confidence. Itna bada amount hain aur woh kehti hain ki chuka dengi. Usne pehle hi logo ko Gulki ke piche lagakar uski financial condition ke bare mein jaan liya tha.

Gulki ki family ek middle class family thi. Uske liya itna bada amount chukana koi aasan baat nahi thi. Usne jaldbaazi mein itna sara amount chukane ka itna bada decision liya.

Gulki Yukti ko ghasit te hue bahar le gayi aur usko apne chote chote haathon se punch marte hue boli.

Gulki : Tumhara dimaag kharab ho gaya hain Rahil ko sabke samne chunauti kyu de rahi hain. Tumhe zara si bhi aakal nahi hai ki pure college mein iske kitne sare pagal fans hain. Aur agar woh tumhe usse bhidte hue dekhenge toh chodenge nahi, idiot.

Yukti ke upar uss punch ka zara sa bhi asar nahi hua. Phir bhi woh chillate hue boli, ahh ouch! 

Yukti : Kitna zor se punch mara hain tune mujhe, kitna dard ho raha hain. Mujhe abhi isi waqt Gulki ki japi chahiye varna mein mar jaungi.

Gulki : Toh phir ek kaam karo abhi yahi mar jao.

Yukti : Kya yaar tumhe toh apni iss dost ki or uske baskimti praan ki kuch padi hi nahi hai haina, ki chahe woh jiye ya ma...

Isse pehle ki Yukti kuch bol pati, Gulki ne uske muh par apna haath rakh diya. Aur usko kashke apne sine se laga liya.

Gulki : Bas bas itna bhi drama karni ki koi jarurat nahi hain. Aur aayinda esi baatein ki toh yaad rakhna isi hathon se tujhe jhadu se dho dalungi.

Yukti : Haww!! Tu apni is nanhi si jaan par itna atyachar karegi.

Gulki : Kya kare agar yeh nanhi si jaan kuch jyada hi shaitani karne lage toh atyachar bhi karna padta hain. Yeh sab chod aur chal.

Jab gulki ne socha ki woh itne baade amount ka intezam kaise karegi, yeh sochkar hi uske Sine mein dard hone laga. Usne socha ki agar papa ko sach bata de toh woh kuch na kuch arrange jarur karenge.

Yukti : Gulki sach sach batao tum par kis baat ka karz hain.

Gulki : Paiso ka, bohot sare paiso ka. Meine tumhe uss din bataya tha na ki Bhavika ki gadi se mujhse ek bohot badi gadi ko scrach lag gaya tha.

Gulki ne tension se apna haath sar par rakha aur phir ek umid bhari nazaron se Yukti ko dekha.

Gulki : Yukti kya tumhare paas savings hogi. Kya tu meri madad karegi. Soch le yahi samay hain jab tu apni dosti prove kar sakti hain.

Yukti do second chup rahi aur apni zeb check ki. Aur thodi der baad usme se ek sau ka naya note aur ek rupaye ka chamkta hua sikka nikala aur Gulki ko dete hue kaha.

Yukti : Mere paas filhal yeh hi savings hain, yeh note market mein bilkul abhi hi aaya hai . Aur mera sabse lucky coin hain. Aur ab yeh mein tumhe de rahi hu.

Yukti ka chahra esa tha ki jaise isko koi bada thazana dena ho.

Gulki : Tum, umm.. ghadi kahi ki, nahi chahiye rakho apne paas. Aur nikal jao yaha se ab hamari dosti khatm.

Yukti : Acha thik hain dosti khatm, par pyaar toh khatm nahi kiya na. Please naraz mat ho.

Gulki : Nahi tum bohot bhadi ho isliye pyaar ki request se inkaar kiya jata hain.

Dono ke hi bich mein inkaar, izhaar chal raha tha. Aur dono hi iss baat se bekhabar the ki koi dur khada Gulki ko ghur raha hain.

Yukti ke sath thodi nok-jhok ke baad Gulki ko apna kharab mood thoda behtar hota mehsus hua. Aur usne locker room mein jakar gym costume change kar li. Usne socha pehle washroom mein jakar fresh hokar, phir Yukti ke saath lunch par jayegi.

Jaise hi woh washroom mein aayi, uske piche kuch saye bhi aagaye aur zor se darwaza bandh kar diya. Gulki ne piche mudkar dekha, waha Aditi khatarnak thang se mushkurate hue khadi thi.

Aditi : Kyu Gulki Rahil ke saath flirt karke maza aa raha haina!?

Gulki : Kya bakwash hain yeh. Mein samjhi nahi tum kya kehna chahti ho.

Ahana : Natak karna bandh karo. Sabko pata hain ki tum hamare captain Rahil ke saath lagatar flirt karti rahi ho.

Aditi : Tum bohot acha drama kar leti ho, tum jaisi dramebaaz se esi hi ummid hain.

Third Girl : Tum sab iske saath behes kya kar rahi ho, isko sabak sikhao.

Gulki abhi bhi samjh nahi pa rahi thi ki yeh sab uske saath kya ho raha hain. Lekin unki baato se yeh saaf pata chal raha tha ki unlogo ke irade ache nahi the. Aditi ne apna haath uthaya aur Gulki ko marne ke liya tezi se daudi.

Aditi ka chehra gusse le laal ho raha tha. Aur uski aakhon mein badle ki aag jal rahi thi. Woh Rahil ko pagalpan ki had tak chahti thi. Jab usko yeh pata chal ki uska most favourite role model bhi usi ke college mein enroll hua hain toh uske excitement ki to koi limit hi nahi rahi.

Lekin uss din jab balcony ke pass, Gulki ne use Rahil ke saamne jaise sarminda kiya. Woh baat voh bhuli nahi thi. Aur aaj subha jab Rahil Gulki ko kuch personal baat karne ke liye, sab ke saamne apne sath bahar lekar gaya. Toh isse uske Sine mein aag aur bhi jyada bhadak gayi.

Uska prince charming ek sadharan si ladki mein interest kaise le sakta hain. Gulki ne zarur use apni cheap harkaton se rhizaya hoga. Jab ek aurat mein dusre ke liye esi feeling aa jati hain toh uska nature sabse khatarnak ho jata hain.

Aditi ne apni do saheliyon ko lekar Gulki ka picha kiya, aur jab woh kapde badalne ke liye washroom gayi. Toh wahi use akela pakar rok liya. Agar Aditi ka thapad Gulki ko lagata toh uska chehra kayi dino tak suz jata. Gulki aur Yukti ek saath hi bade hue the, isliye Yukti ke jaisi hi sports spirit thodi bohot Gulki mein bhi agayi thi aur woh kisi simple ladki ki tarah nahi balki ladko ki hi tarah strong thi.

Isliye woh ekdam se furti dikhakar side mein hat gayi. Aur Aditi ka haath usko na padkar, washroom ke darwaze par pada. Aur ulta uske haath mein chot lag gayi.

Aditi(angrily) : Teri itni himmat.

Gulki : Aditi ruko mujhe lagta hain ki tumhe koi galatfehmi hui hain. Tum mujhe kyu mar rahi ho?

Kya Aditi Gulki ki baat ko samjh payegi? Kya inn dono ke bich mein jo galat fehmi hui hain woh dur ho payegi?

Let's see what will happen next in this story. Till then goodbye and take care 😘✌️.

Thanks for taking out your precious time for me. And reading this story. I will really be grateful if u appreciate my work & also tells me was was the story. Was it nice or I need to improve. Your suggestions will be so valuable for me..

Watch Maddam Sir from Monday to Saturday at 7:30 pm only on Sab Tv. And repeat telecast at 10:30 pm.

𝘼𝙣 𝙐𝙣𝙘𝙤𝙣𝙙𝙞𝙩𝙞𝙤𝙣𝙖𝙡 𝙇𝙤𝙫𝙚Where stories live. Discover now